Sher on Mehndi
The green leaves of
menhdi bring lovely shades of the red on the beloved’s palm and body. Naturally, they have become the theme of poetry which appropriates love and its celebration. Menhdi, as such, is pleasant in appearance and has an aroma of its own which makes it a subject for Urdu poets to dwell upon.
mehñdī ke dhoke mat rah zālim nigāh kar tū
ḳhuuñ merā dast-o-pā se tere lipaT rahā hai
mehndi ke dhoke mat rah zalim nigah kar tu
KHun mera dast-o-pa se tere lipaT raha hai
ham gunahgāroñ ke kyā ḳhuun kā phīkā thā rañg
mehñdī kis vāste hāthoñ pe rachā.ī pyāre
hum gunahgaron ke kya KHun ka phika tha rang
mehndi kis waste hathon pe rachai pyare
lab-e-nāzuk ke bose luuñ to missī muñh banātī hai
kaf-e-pā ko agar chūmūñ to mehñdī rañg laatī hai
lab-e-nazuk ke bose lun to missi munh banati hai
kaf-e-pa ko agar chumun to mehndi rang lati hai
-
Tags : Kissand 1 more
mal rahe haiñ vo apne ghar mehñdī
ham yahāñ eḌiyāñ ragaḌte haiñ
mal rahe hain wo apne ghar mehndi
hum yahan eDiyan ragaDte hain
mehñdī ne ġhazab donoñ taraf aag lagā dī
talvoñ meñ udhar aur idhar dil meñ lagī hai
mehndi ne ghazab donon taraf aag laga di
talwon mein udhar aur idhar dil mein lagi hai
mehñdī lagāne kā jo ḳhayāl aayā aap ko
sūkhe hue daraḳht hinā ke hare hue
mehndi lagane ka jo KHayal aaya aap ko
sukhe hue daraKHt hina ke hare hue
kushta-e-rañg-e-hinā huuñ maiñ ajab is kā kyā
ki mirī ḳhaak se mehñdī kā shajar paidā ho
kushta-e-rang-e-hina hun main ajab is ka kya
ki meri KHak se mehndi ka shajar paida ho
allāh-re nāzukī ki javāb-e-salām meñ
haath us kā uTh ke rah gayā mehñdī ke bojh se
allah-re nazuki ki jawab-e-salam mein
hath us ka uTh ke rah gaya mehndi ke bojh se
donoñ kā milnā mushkil hai donoñ haiñ majbūr bahut
us ke paañv meñ mehñdī lagī hai mere paañv meñ chhāle haiñ
donon ka milna mushkil hai donon hain majbur bahut
us ke panw mein mehndi lagi hai mere panw mein chhaale hain
-
Tags : Aablaand 1 more
mehñdī lagā.e baiThe haiñ kuchh is adā se vo
muTThī meñ un kī de de koī dil nikāl ke
mehndi lagae baiThe hain kuchh is ada se wo
muTThi mein un ki de de koi dil nikal ke