Sher on Ehsaas
Feelings have many hues.
However, representing them in words is a delicate affair but the poets have done it in ways that are remarkable both for the way they are conceived as well as expressed. Some examples in this selection would bear this out only too well.
maiñ us ke sāmne se guzartā huuñ is liye
tark-e-ta.alluqāt kā ehsās mar na jaa.e
it is for this reason, I often pass her by
the pain of our breaking up, may not ever die
main us ke samne se guzarta hun is liye
tark-e-talluqat ka ehsas mar na jae
it is for this reason, I often pass her by
the pain of our breaking up, may not ever die
mujh ko ehsās-e-rañg-o-bū na huā
yuuñ bhī aksar bahār aa.ī hai
mujh ko ehsas-e-rang-o-bu na hua
yun bhi aksar bahaar aai hai
kaisī biptā paal rakhī hai qurbat kī aur duurī kī
ḳhushbū maar rahī hai mujh ko apnī hī kastūrī kī
kaisi bipta pal rakhi hai qurbat ki aur duri ki
KHushbu mar rahi hai mujh ko apni hi kasturi ki
āgahī karb vafā sabr tamannā ehsās
mere hī siine meñ utre haiñ ye ḳhanjar saare
aagahi karb wafa sabr tamanna ehsas
mere hi sine mein utre hain ye KHanjar sare
-
Tags : Aagahiand 3 more
apnī hālat kā ḳhud ehsās nahīñ hai mujh ko
maiñ ne auroñ se sunā hai ki pareshān huuñ maiñ
apni haalat ka KHud ehsas nahin hai mujh ko
main ne auron se suna hai ki pareshan hun main
mujhe ye Dar hai dil-e-zinda tū na mar jaa.e
ki zindagānī ibārat hai tere jiine se
mujhe ye Dar hai dil-e-zinda tu na mar jae
ki zindagani ibarat hai tere jine se
taklīf miT ga.ī magar ehsās rah gayā
ḳhush huuñ ki kuchh na kuchh to mire paas rah gayā
taklif miT gai magar ehsas rah gaya
KHush hun ki kuchh na kuchh to mere pas rah gaya
ġham se ehsās kā ā.īna jilā paatā hai
aur ġham sīkhe hai aa kar ye salīqa mujh se
gham se ehsas ka aaina jila pata hai
aur gham sikhe hai aa kar ye saliqa mujh se
-
Tag : Gham
har taraf apne hī apne haa.e tanhā.ī na pūchh
kis qadar khaltī hai aksar ham ko bīnā.ī na pūchh
har taraf apne hi apne hae tanhai na puchh
kis qadar khalti hai aksar hum ko binai na puchh
hameñ kam-baḳht ehsās-e-ḳhudī us dar pe le baiThā
ham uTh jaate to vo parda bhī uTh jaatā jo haa.il thā
hamein kam-baKHt ehsas-e-KHudi us dar pe le baiTha
hum uTh jate to wo parda bhi uTh jata jo hail tha
-
Tag : Khudi
dushman-e-dil hī nahīñ dushman-e-jāñ hotā hai
uf vo ehsās jo piirī meñ javāñ hotā hai
dushman-e-dil hi nahin dushman-e-jaan hota hai
uf wo ehsas jo piri mein jawan hota hai
ḳhudā aise ehsās kā naam hai
rahe sāmne aur dikhā.ī na de
KHuda aise ehsas ka nam hai
rahe samne aur dikhai na de
-
Tag : Khuda
reza reza kar diyā jis ne mire ehsās ko
kis qadar hairān hai vo mujh ko yakjā dekh kar
reza reza kar diya jis ne mere ehsas ko
kis qadar hairan hai wo mujh ko yakja dekh kar
maut kī pahlī alāmat sāhib
yahī ehsās kā mar jaanā hai
maut ki pahli alamat sahib
yahi ehsas ka mar jaana hai
mire andar ka.ī ehsās patthar ho rahe haiñ
ye shīrāza bikharnā ab zarūrī ho gayā hai
mere andar kai ehsas patthar ho rahe hain
ye shiraaza bikharna ab zaruri ho gaya hai
auroñ kī aag kyā tujhe kundan banā.egī
apnī bhī aag meñ kabhī chup-chāp jal ke dekh
auron ki aag kya tujhe kundan banaegi
apni bhi aag mein kabhi chup-chap jal ke dekh
-
Tag : Fire
tanhā.ī ke lamhāt kā ehsās huā hai
jab tāroñ bharī raat kā ehsās huā hai
tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai
jab taron bhari raat ka ehsas hua hai
-
Tags : Raatand 1 more