Sher of Zubair Ali Tabish
pahelī zindagī kī kab tū ai nādān samjhegā
bahut dushvāriyāñ hoñgī agar āsān samjhegā
paheli zindagi ki kab tu ai nadan samjhega
bahut dushwariyan hongi agar aasan samjhega
ab talak us ko dhyān ho merā
kyā pata ye gumān ho merā
ab talak us ko dhyan ho mera
kya pata ye guman ho mera
ūñche nīche ghar the bastī meñ bahut
zalzale ne sab barābar kar diye
unche niche ghar the basti mein bahut
zalzale ne sab barabar kar diye
hamārā dil to hamesha se ik jagah par hai
tumhārā dard hī rasta bhaTak gayā hogā
hamara dil to hamesha se ek jagah par hai
tumhaara dard hi rasta bhaTak gaya hoga
aaj to dil ke dard par hañs kar
dard kā dil dukhā diyā maiñ ne
aaj to dil ke dard par hans kar
dard ka dil dukha diya main ne
kisī bhūke se mat pūchho mohabbat kis ko kahte haiñ
ki tum āñchal bichhāoge vo dastar-ḳhvān samjhegā
kisi bhuke se mat puchho mohabbat kis ko kahte hain
ki tum aanchal bichhaoge wo dastar-KHwan samjhega
aa.ina kab banāoge mujh ko
mujh se kis din milāoge mujh ko
aaina kab banaoge mujh ko
mujh se kis din milaoge mujh ko
is dar kā ho yā us dar kā har patthar patthar hai lekin
kuchh ne merā sar phoḌā haiñ kuchh par maiñ ne sar phoḌā hai
is dar ka ho ya us dar ka har patthar patthar hai lekin
kuchh ne mera sar phoDa hain kuchh par main ne sar phoDa hai
bas maiñ māyūs hone vaalā thā
aur maulā ne tujh ko bhej diyā
bas main mayus hone wala tha
aur maula ne tujh ko bhej diya
koī titlī nishāne par nahīñ hai
maiñ bas rañgoñ kā pīchhā kar rahā huuñ
koi titli nishane par nahin hai
main bas rangon ka pichha kar raha hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bichhaḌ kar bhī huuñ zinda rahne vaalā
tū hotā kaun hai ye kahne vaalā
bichhaD kar bhi hun zinda rahne wala
tu hota kaun hai ye kahne wala
us ke ḳhat raat bhar yuuñ paḌhtā huuñ
jaise kal imtihān ho merā
us ke KHat raat bhar yun paDhta hun
jaise kal imtihan ho mera
shāyad qazā ne mujh ko ḳhazāna banā diyā
aisā nahīñ to kyuuñ mujhe dafnā rahe haiñ log
shayad qaza ne mujh ko KHazana bana diya
aisa nahin to kyun mujhe dafna rahe hain log
vo jis ne aañkh atā kī hai dekhne ke liye
usī ko chhoḌ ke sab kuchh dikhā.ī detā hai
wo jis ne aankh ata ki hai dekhne ke liye
usi ko chhoD ke sab kuchh dikhai deta hai
tumhārā sirf havāoñ pe shak gayā hogā
charāġh ḳhud bhī to jal jal ke thak gayā hogā
tumhaara sirf hawaon pe shak gaya hoga
charagh KHud bhi to jal jal ke thak gaya hoga
apnā kañgan samajh rahe ho kyā
aur kitnā ghumāoge mujh ko
apna kangan samajh rahe ho kya
aur kitna ghumaoge mujh ko