Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shakeel Badayuni's Photo'

Shakeel Badayuni

1916 - 1970 | Mumbai, India

Famous poet and film lyricist

Famous poet and film lyricist

Sher of Shakeel Badayuni

96.7K
Favorite

SORT BY

dalīl-e-tābish-e-īmāñ hai kufr ehsās

charāġh shaam se pahle jalā nahīñ karte

dalil-e-tabish-e-iman hai kufr ka ehsas

charagh sham se pahle jala nahin karte

mujhe to qaid-e-mohabbat aziiz thī lekin

kisī ne mujh ko giraftār kar ke chhoḌ diyā

mujhe to qaid-e-mohabbat aziz thi lekin

kisi ne mujh ko giraftar kar ke chhoD diya

merā azm itnā buland hai ki parā.e sholoñ Dar nahīñ

mujhe ḳhauf ātish-e-gul se hai ye kahīñ chaman ko jalā na de

My confidence in self is strong, I'm unafraid of foreign flames

I'm scared those sparks may ignite, that in the blossom's bosom lay

mera azm itna buland hai ki parae sholon ka Dar nahin

mujhe KHauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jala na de

My confidence in self is strong, I'm unafraid of foreign flames

I'm scared those sparks may ignite, that in the blossom's bosom lay

baat jab hai ġham ke māroñ ko jilā de ai 'shakīl'

ye zinda mayyateñ miTTī meñ daab aayā to kyā

baat jab hai gham ke maron ko jila de ai 'shakil'

tu ye zinda mayyaten miTTi mein dab aaya to kya

rahmatoñ se nibāh meñ guzrī

umr saarī gunāh meñ guzrī

rahmaton se nibah mein guzri

umr sari gunah mein guzri

ye adā-e-be-niyāzī tujhe bevafā mubārak

magar aisī be-ruḳhī kyā ki salām tak na pahuñche

ye ada-e-be-niyazi tujhe bewafa mubarak

magar aisi be-ruKHi kya ki salam tak na pahunche

be-piye shaiḳh farishta thā magar

ke insān huā jaatā hai

be-piye shaiKH farishta tha magar

pi ke insan hua jata hai

khul gayā un aarzū meñ ye raaz

ziist apnī nahīñ parā.ī hai

khul gaya un ki aarzu mein ye raaz

zist apni nahin parai hai

na.ī sub.h par nazar hai magar aah ye bhī Dar hai

ye sahar bhī rafta rafta kahīñ shaam tak na pahuñche

nai subh par nazar hai magar aah ye bhi Dar hai

ye sahar bhi rafta rafta kahin sham tak na pahunche

vo ham se duur hote rahe haiñ

bahut maġhrūr hote rahe haiñ

wo hum se dur hote ja rahe hain

bahut maghrur hote ja rahe hain

ham se mai-kash jo tauba kar baiTheñ

phir ye kār-e-savāb kaun kare

hum se mai-kash jo tauba kar baiThen

phir ye kar-e-sawab kaun kare

dil taraf 'shakīl' tavajjoh zarūr ho

ye ghar ujaḌ gayā to basāyā na jā.egā

dil ki taraf 'shakil' tawajjoh zarur ho

ye ghar ujaD gaya to basaya na jaega

ġham duniyā rahe ābād 'shakīl'

muflisī meñ koī jāgīr to hai

gham ki duniya rahe aabaad 'shakil'

muflisi mein koi jagir to hai

bhej tasvīr apnī un ko ye likh kar 'shakīl'

aap marzī hai chāhe jis nazar se dekhiye

bhej di taswir apni un ko ye likh kar 'shakil'

aap ki marzi hai chahe jis nazar se dekhiye

badaltī rahī hai dil duniyā

na.e dastūr hote rahe haiñ

badalti ja rahi hai dil ki duniya

nae dastur hote ja rahe hain

ġham-e-umr-e-muḳhtasar se abhī be-ḳhabar haiñ kaliyāñ

na chaman meñ pheñk denā kisī phuul ko masal kar

gham-e-umr-e-muKHtasar se abhi be-KHabar hain kaliyan

na chaman mein phenk dena kisi phul ko masal kar

be-ta.alluq tire aage se guzar jaatā hai

ye bhī ik husn-e-talab hai tire dīvāne

be-talluq tere aage se guzar jata hai

ye bhi ek husn-e-talab hai tere diwane ka

uThā jo mīnā-ba-dast saaqī rahī na kuchh tāb-e-zabt baaqī

tamām mai-kash pukār uTThe yahāñ se pahle yahāñ se pahle

uTha jo mina-ba-dast saqi rahi na kuchh tab-e-zabt baqi

tamam mai-kash pukar uTThe yahan se pahle yahan se pahle

jaane vaale se mulāqāt na hone paa.ī

dil dil meñ rahī baat na hone paa.ī

jaane wale se mulaqat na hone pai

dil ki dil mein hi rahi baat na hone pai

ḳhush huuñ ki mirā husn-e-talab kaam to aayā

ḳhālī sahī merī taraf jaam to aayā

KHush hun ki mera husn-e-talab kaam to aaya

KHali hi sahi meri taraf jam to aaya

har chiiz nahīñ hai markaz par ik zarra idhar ik zarra udhar

nafrat se na dekho dushman ko shāyad vo mohabbat kar baiThe

har chiz nahin hai markaz par ek zarra idhar ek zarra udhar

nafrat se na dekho dushman ko shayad wo mohabbat kar baiThe

lamha lamha baar hai tere baġhair

zindagī dushvār hai tere baġhair

TRANSLATION

Each moment is a burden, without you,

The life is very difficult, without you.

Sagar Akbarabadi

lamha lamha bar hai tere baghair

zindagi dushwar hai tere baghair

TRANSLATION

Each moment is a burden, without you,

The life is very difficult, without you.

Sagar Akbarabadi

na paimāne khanakte haiñ na daur-e-jām chaltā hai

na.ī duniyā ke rindoñ meñ ḳhudā naam chaltā hai

na paimane khanakte hain na daur-e-jam chalta hai

nai duniya ke rindon mein KHuda ka nam chalta hai

sunā hai zindagī vīrāniyoñ ne luuT mil kar

na jaane zindagī ke nāz-bardāroñ pe kyā guzrī

suna hai zindagi viraniyon ne luT li mil kar

na jaane zindagi ke naz-bardaron pe kya guzri

nazar-navāz nazāroñ meñ nahīñ lagtā

vo kyā ga.e ki bahāroñ meñ nahīñ lagtā

nazar-nawaz nazaron mein ji nahin lagta

wo kya gae ki bahaaron mein ji nahin lagta

phir vahī johd-e-musalsal phir vahī fikr-e-ma.āsh

manzil-e-jānāñ se koī kāmyāb aayā to kyā

phir wahi johd-e-musalsal phir wahi fikr-e-maash

manzil-e-jaanan se koi kaamyab aaya to kya

ye kis ḳhatā pe ruuTh ga.ī chashm-e-iltifāt

ye kab intiqām liyā mujh ġharīb se

ye kis KHata pe ruTh gai chashm-e-iltifat

ye kab ka intiqam liya mujh gharib se

tum phir usī adā se añgḌā.ī le ke hañs do

aa jā.egā palaT kar guzrā huā zamāna

tum phir usi ada se angDai le ke hans do

aa jaega palaT kar guzra hua zamana

kyā asar thā jazba-e-ḳhāmosh meñ

ḳhud vo khich kar aa ga.e āġhosh meñ

kya asar tha jazba-e-KHamosh mein

KHud wo khich kar aa gae aaghosh mein

kaafī hai mire dil tasallī ko yahī baat

aap aa na sake aap paiġhām to aayā

kafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat

aap aa na sake aap ka paigham to aaya

shaguftagī-e-dil-e-kārvāñ ko kyā samjhe

vo ik nigāh jo uljhī huī bahār meñ hai

shaguftagi-e-dil-e-karwan ko kya samjhe

wo ek nigah jo uljhi hui bahaar mein hai

un zikr un tamannā un yaad

vaqt kitnā qīmtī hai aaj kal

her mention, her yearning her memory

O how precious time now seems to me

un ka zikr un ki tamanna un ki yaad

waqt kitna qimti hai aaj kal

her mention, her yearning her memory

O how precious time now seems to me

mujhe dost kahne vaale zarā dostī nibhā de

ye mutālba hai haq koī iltijā nahīñ hai

mujhe dost kahne wale zara dosti nibha de

ye mutalba hai haq ka koi iltija nahin hai

ġham-e-hayāt bhī āġhosh-e-husn-e-yār meñ hai

ye vo ḳhizāñ hai jo Duubī huī bahār meñ hai

gham-e-hayat bhi aaghosh-e-husn-e-yar mein hai

ye wo KHizan hai jo Dubi hui bahaar mein hai

chāhiye ḳhud pe yaqīn-e-kāmil

hausla kis baḌhātā hai koī

chahiye KHud pe yaqin-e-kaamil

hausla kis ka baDhata hai koi

buz-dilī hogī charāġhoñ ko dikhānā āñkheñ

abr chhaT jaa.e to sūraj se milānā āñkheñ

would be cowardice to stare down at the flame

let the clouds disperse then look upon the sun

buz-dili hogi charaghon ko dikhana aankhen

abr chhaT jae to suraj se milana aankhen

would be cowardice to stare down at the flame

let the clouds disperse then look upon the sun

kaise kah duuñ ki mulāqāt nahīñ hotī hai

roz milte haiñ magar baat nahīñ hotī hai

kaise kah dun ki mulaqat nahin hoti hai

roz milte hain magar baat nahin hoti hai

kyā hasīñ ḳhvāb mohabbat ne dikhāyā thā hameñ

khul ga.ī aañkh to tābīr pe ronā aayā

kya hasin KHwab mohabbat ne dikhaya tha hamein

khul gai aankh to tabir pe rona aaya

vahī kārvāñ vahī rāste vahī zindagī vahī marhale

magar apne apne maqām par kabhī tum nahīñ kabhī ham nahīñ

wahi karwan wahi raste wahi zindagi wahi marhale

magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi hum nahin

sab karishmāt-e-tasavvur haiñ 'shakīl'

varna aatā hai na jaatā hai koī

sab karishmat-e-tasawwur hain 'shakil'

warna aata hai na jata hai koi

mujhe chhoḌ de mere haal par tirā kyā bharosa hai chāragar

ye tirī navāzish-e-muḳhtasar merā dard aur baḌhā na de

Leave me to my present state, I do not trust your medicine

Your mercy minor though may be,might increase my pain today

mujhe chhoD de mere haal par tera kya bharosa hai chaaragar

ye teri nawazish-e-muKHtasar mera dard aur baDha na de

Leave me to my present state, I do not trust your medicine

Your mercy minor though may be,might increase my pain today

shāyad mirī nigāh meñ hai azmat-e-vajūd

qatre se kah rahā huuñ ki dariyā se bach ke chal

shayad meri nigah mein hai azmat-e-wajud

qatre se kah raha hun ki dariya se bach ke chal

jab huā zikr zamāne meñ mohabbat 'shakīl'

mujh ko apne dil-e-nākām pe ronā aayā

Whenever talk of happiness I hear

My failure and frustration makes me weep

jab hua zikr zamane mein mohabbat ka 'shakil'

mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aaya

Whenever talk of happiness I hear

My failure and frustration makes me weep

chhupe haiñ laakh haq ke marhale gum-nām hoñToñ par

usī baat chal jaatī hai jis naam chaltā hai

chhupe hain lakh haq ke marhale gum-nam honTon par

usi ki baat chal jati hai jis ka nam chalta hai

lamhāt-e-yād-e-yār ko sarf-e-duā na kar

aate haiñ zindagī meñ ye aalam kabhī kabhī

lamhat-e-yaad-e-yar ko sarf-e-dua na kar

aate hain zindagi mein ye aalam kabhi kabhi

rind-e-ḳharāb-nosh be-adabī to dekhiye

niyyat-e-mai-kashī na haath meñ jaam le liyā

rind-e-KHarab-nosh ki be-adabi to dekhiye

niyyat-e-mai-kashi na ki hath mein jam le liya

'shakīl' is darja māyūsī shurū-e-ishq meñ kaisī

abhī to aur honā hai ḳharāb āhista āhista

'shakil' is darja mayusi shuru-e-ishq mein kaisi

abhi to aur hona hai KHarab aahista aahista

sidq-o-safā-e-qalb se mahrūm hai hayāt

karte haiñ bandagī bhī jahannam ke Dar se ham

sidq-o-safa-e-qalb se mahrum hai hayat

karte hain bandagi bhi jahannam ke Dar se hum

mirī zindagī pe na muskurā mujhe zindagī alam nahīñ

jise tere ġham se ho vāsta vo ḳhizāñ bahār se kam nahīñ

meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin

jise tere gham se ho wasta wo KHizan bahaar se kam nahin

zahe-nasīb ki duniyā ne tere ġham ne mujhe

masarratoñ talabgār kar ke chhoḌ diyā

zahe-nasib ki duniya ne tere gham ne mujhe

masarraton ka talabgar kar ke chhoD diya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now