Sher of Nazeer Siddiqui
abhī se vo dāman chhuḌāne lage ho
jo ab tak mire haath aayā nahīñ hai
abhi se wo daman chhuDane lage ho
jo ab tak mere hath aaya nahin hai
jis darja nek hone kī miltī rahī hai daad
us darja nek banñe kā armāñ kabhī na thā
jis darja nek hone ki milti rahi hai dad
us darja nek banne ka arman kabhi na tha
aa.e to dil thā baaġh baaġh aur ga.e to daaġh daaġh
kitnī ḳhushī vo laa.e the kitnā malāl de ga.e
aae to dil tha bagh bagh aur gae to dagh dagh
kitni KHushi wo lae the kitna malal de gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aur hī vo log haiñ jin ko hai yazdāñ kī talāsh
mujh ko insānoñ kī duniyā meñ hai insāñ kī talāsh
aur hi wo log hain jin ko hai yazdan ki talash
mujh ko insanon ki duniya mein hai insan ki talash
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo log maut ko zālim qarār dete haiñ
ḳhudā milā.e unheñ zindagī ke māroñ se
jo log maut ko zalim qarar dete hain
KHuda milae unhen zindagi ke maron se
kisī kī mehrbānī se mohabbat mutma.in kyā ho
mohabbat to mohabbat se bhī āsūda nahīñ hotī
kisi ki mehrbani se mohabbat mutmain kya ho
mohabbat to mohabbat se bhi aasuda nahin hoti
raat se shikāyat kyā bas tumhīñ se kahnā hai
tum zarā Thahar jaao raat kab Thahartī hai
raat se shikayat kya bas tumhin se kahna hai
tum zara Thahar jao raat kab Thaharti hai
ham se shikāyateñ bajā ham ko bhī hai magar gila
pahle se ham nahīñ agar pahle se aap bhī nahīñ
hum se shikayaten baja hum ko bhi hai magar gila
pahle se hum nahin agar pahle se aap bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download