Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Natiq Gulavthi

1886 - 1969 | Nagpur, India

Prominent pre-modern poet who was also involved in politics. Elected to the Central Assembly in 1936 and remained member of Nagpur Municipal Committee for 20 years.

Prominent pre-modern poet who was also involved in politics. Elected to the Central Assembly in 1936 and remained member of Nagpur Municipal Committee for 20 years.

Sher of Natiq Gulavthi

5.4K
Favorite

SORT BY

khā ga.ī ahl-e-havas vaz.a ahl-e-ishq ko

baat kis rah ga.ī koī adū sachchā na ham

kha gai ahl-e-hawas ki waza ahl-e-ishq ko

baat kis ki rah gai koi adu sachcha na hum

ab maiñ kyā tum se apnā haal kahūñ

ba-ḳhudā yaad bhī nahīñ mujh ko

ab main kya tum se apna haal kahun

ba-KHuda yaad bhi nahin mujh ko

ai junūñ bā.is-e-bad-hālī-e-sahrā kyā hai

ye mirā ghar to nahīñ thā ki jo vīrāñ hotā

ai junun bais-e-bad-haali-e-sahra kya hai

ye mera ghar to nahin tha ki jo viran hota

rakhtā hai talḳh-kām ġham-e-lazzat-e-jahāñ

kyā kījiye ki lutf nahīñ kuchh gunāh

rakhta hai talKH-kaam gham-e-lazzat-e-jahan

kya kijiye ki lutf nahin kuchh gunah ka

umr bhar saath miTTī meñ milā

ham chale ai jism-e-be-jāñ al-vidā.a

umr bhar ka sath miTTi mein mila

hum chale ai jism-e-be-jaan al-widaa

kuchh nahīñ achchhā to duniyā meñ burā bhī kuchh nahīñ

kījiye sab kuchh magar apnī zarūrat dekh kar

kuchh nahin achchha to duniya mein bura bhi kuchh nahin

kijiye sab kuchh magar apni zarurat dekh kar

kar murattab kuchh na.e andāz se apnā bayāñ

marne vaale zindagī chāhe to afsāne meñ aa

kar murattab kuchh nae andaz se apna bayan

marne wale zindagi chahe to afsane mein aa

mujh ko ma.alūm huā ab ki zamāna tum ho

mil ga.ī rāh-e-sukūñ gardish-e-daurāñ ke qarīb

mujh ko malum hua ab ki zamana tum ho

mil gai rah-e-sukun gardish-e-dauran ke qarib

jur.at-afzā-e-savāl ai zahe andāz-e-javāb

aatī jaatī hai ab is but nahīñ haañ ke qarīb

jurat-afza-e-sawal ai zahe andaz-e-jawab

aati jati hai ab is but ki nahin han ke qarib

naaz udhar dil ko uḌā lene ghātoñ meñ rahā

maiñ idhar chashm-e-suḳhan-go tirī bātoñ meñ rahā

naz udhar dil ko uDa lene ki ghaton mein raha

main idhar chashm-e-suKHan-go teri baaton mein raha

rahtī hai shams-o-qamar ko tire saa.e talāsh

raushnī DhūñDhtī phirtī hai añdherā terā

rahti hai shams-o-qamar ko tere sae ki talash

raushni DhunDhti phirti hai andhera tera

ai zindagī junūñ na sahī be-ḳhudī sahī

kuchh bhī apnī aql se pāgal uThā to

ai zindagi junun na sahi be-KHudi sahi

tu kuchh bhi apni aql se pagal uTha to la

khā.iye ye zahar kab tak khaa.e jaatī hai ye ziist

ai ajal kab tak raheñge rahn-e-āb-o-dāna ham

khaiye ye zahar kab tak khae jati hai ye zist

ai ajal kab tak rahenge rahn-e-ab-o-dana hum

aise bohtān lagā.e ki ḳhudā yaad aayā

but ne ghabrā ke kahā mujh se ki qur.ān uThā

aise bohtan lagae ki KHuda yaad aaya

but ne ghabra ke kaha mujh se ki quran uTha

haañ ye to batā ai dil-e-mahrūm-e-tamannā

ab bhī koī hotā hai ki armāñ nahīñ hotā

han ye to bata ai dil-e-mahrum-e-tamanna

ab bhi koi hota hai ki arman nahin hota

ik harf-e-shikāyat par kyuuñ ruuTh ke jaate ho

jaane do ga.e shikve aa jaao maiñ baaz aayā

ek harf-e-shikayat par kyun ruTh ke jate ho

jaane do gae shikwe aa jao main baz aaya

jo balā aatī hai aatī hai balā 'nātiq'

merī mushkil tarīqa nahīñ āsāñ honā

jo bala aati hai aati hai bala ki 'natiq'

meri mushkil ka tariqa nahin aasan hona

tarīq-e-dilbarī kaafī nahīñ har-dil-azīzī ko

salīqa banda-parvar chāhiye banda-navāzī

tariq-e-dilbari kafi nahin har-dil-azizi ko

saliqa banda-parwar chahiye banda-nawazi ka

pāband-e-dair ho ke bhī bhūle nahīñ haiñ ghar

masjid meñ nikalte haiñ chorī-chhupī se ham

paband-e-dair ho ke bhi bhule nahin hain ghar

masjid mein ja nikalte hain chori-chhupi se hum

vahāñ se le ga.ī nākām badbaḳhtoñ ko ḳhud-kāmī

jahāñ chashm-e-karam se ḳhud-ba-ḳhud kuchh kaam honā thā

wahan se le gai nakaam badbaKHton ko KHud-kaami

jahan chashm-e-karam se KHud-ba-KHud kuchh kaam hona tha

kyā karūñ ai dil-e-māyūs zarā ye to batā

kyā kiyā karte haiñ sadmoñ se hirāsāñ ho kar

kya karun ai dil-e-mayus zara ye to bata

kya kiya karte hain sadmon se hirasan ho kar

ai nigāh-e-mast us naam hai kaif-e-surūr

aaj ne dekh kar merī taraf dekhā mujhe

ai nigah-e-mast us ka nam hai kaif-e-surur

aaj tu ne dekh kar meri taraf dekha mujhe

mil ga.e tum haath uThā kar mujh ko sab kuchh mil gayā

aaj to ghar luuT laa.ī hai duā tāsīr

mil gae tum hath uTha kar mujh ko sab kuchh mil gaya

aaj to ghar luT lai hai dua tasir ki

kījiye kār-e-ḳhair meñ hājat-e-istiḳhāra kyā

kījiye shaġhl-e-mai-kashī is meñ kisī raa.e kyuuñ

kijiye kar-e-KHair mein hajat-e-istiKHara kya

kijiye shaghl-e-mai-kashi is mein kisi ki rae kyun

aa umr-e-rafta hashr ke dam-ḳham bhī dekh leñ

tūfān-e-zindagī vo halchal uThā to

aa umr-e-rafta hashr ke dam-KHam bhi dekh len

tufan-e-zindagi ki wo halchal uTha to la

haath rahte haiñ ka.ī din se garebāñ ke qarīb

bhuul ḳhud ko ki hai ma.arifat-e-nafs yahī

hath rahte hain kai din se gareban ke qarib

bhul ja KHud ko ki hai marifat-e-nafs yahi

tumhārī baat itnā hai e'tibār hameñ

ki ek baat nahīñ e'tibār ke qābil

tumhaari baat ka itna hai e'tibar hamein

ki ek baat nahin e'tibar ke qabil

hamāre aib meñ jis se madad mile ham ko

hameñ hai aaj kal aise kisī hunar talāsh

hamare aib mein jis se madad mile hum ko

hamein hai aaj kal aise kisi hunar ki talash

ab gardish-e-daurāñ ko le aate haiñ qaabū meñ

ham daur chalāte haiñ saaqī se kaho mai

ab gardish-e-dauran ko le aate hain qabu mein

hum daur chalate hain saqi se kaho mai la

haañ jaan to deñge magar ai maut abhī dam le

aisā na kaheñ vo ki ham aa.e to chale aap

han jaan to denge magar ai maut abhi dam le

aisa na kahen wo ki hum aae to chale aap

kaun is rañg se jaame se huā thā bāhar

kis se sīkhā tirī talvār ne uryāñ honā

kaun is rang se jame se hua tha bahar

kis se sikha teri talwar ne uryan hona

ālam-e-kaun-o-makāñ naam hai vīrāne

paas vahshat nahīñ ghar duur hai dīvāne

aalam-e-kaun-o-makan nam hai virane ka

pas wahshat nahin ghar dur hai diwane ka

rah-navardān-e-vafā manzil pe pahuñche is tarah

raah meñ har naqsh-e-pā merā banātā thā charāġh

rah-nawardan-e-wafa manzil pe pahunche is tarah

rah mein har naqsh-e-pa mera banata tha charagh

ham paañv bhī paḌte haiñ to allāh-re naḳhvat

hotā hai ye irshād ki paḌte haiñ gale aap

hum panw bhi paDte hain to allah-re naKHwat

hota hai ye irshad ki paDte hain gale aap

kaifiyat-e-tazād agar ho na bayān-e-sher meñ

'nātiq' isī pe ro.e kyuuñ chañg-navāz gaa.e kyuuñ

kaifiyat-e-tazad agar ho na bayan-e-sher mein

'natiq' isi pe roe kyun chang-nawaz gae kyun

phir chāk-dāmanī hameñ qadr kyuuñ na ho

jab aur dūsrā nahīñ koī libās paas

phir chaak-damani ki hamein qadr kyun na ho

jab aur dusra nahin koi libas pas

mujh se nārāz haiñ jo log vo ḳhush haiñ un se

maiñ judā chiiz huuñ 'nātiq' mire ash.ār judā

mujh se naraaz hain jo log wo KHush hain un se

main juda chiz hun 'natiq' mere ashaar juda

guzartī hai maze se vā.izoñ zindagī ab to

sahārā ho gayā hai diin duniyā-dār logoñ

guzarti hai maze se waizon ki zindagi ab to

sahaara ho gaya hai din duniya-dar logon ka

ai shab-e-hijrāñ ziyāda paañv phailātī hai kyuuñ

bhar gayā jitnā hamārī umr paimāna thā

ai shab-e-hijran ziyaada panw phailati hai kyun

bhar gaya jitna hamari umr ka paimana tha

charāġh le ke phirā DhūñDhtā huā ghar ghar

shab-e-firāq jo mujh ko rahī sahar talāsh

charagh le ke phira DhunDhta hua ghar ghar

shab-e-firaq jo mujh ko rahi sahar ki talash

riyā-kārī ke sajde shaiḳh le baiTheñge masjid ko

kisī din dekhnā ho kar rahegī sar-nigūñ vo bhī

riya-kari ke sajde shaiKH le baiThenge masjid ko

kisi din dekhna ho kar rahegi sar-nigun wo bhi

zāhir na thā nahīñ sahī lekin zuhūr thā

kuchh kyuuñ na thā jahān meñ kuchh to zarūr thā

zahir na tha nahin sahi lekin zuhur tha

kuchh kyun na tha jahan mein kuchh to zarur tha

sab kuchh mujhe mushkil hai na pūchho mirī mushkil

āsān bhī ho kaam to āsāñ nahīñ hotā

sab kuchh mujhe mushkil hai na puchho meri mushkil

aasan bhi ho kaam to aasan nahin hota

bandagī kījiye magar kis

hai bhī duniyā meñ koī banda-navāz

bandagi kijiye magar kis ki

hai bhi duniya mein koi banda-nawaz

ahl-e-junūñ pe zulm hai pābandī-e-rusūm

jaada hamāre vāste kāñTā hai raah

ahl-e-junun pe zulm hai pabandi-e-rusum

jada hamare waste kanTa hai rah ka

aa ke bazm-e-hastī meñ kyā batā.eñ kyā paayā

ham ko thā kyā lenā but mile ḳhudā paayā

aa ke bazm-e-hasti mein kya bataen kya paya

hum ko tha hi kya lena but mile KHuda paya

tum agar jaao to vahshat mirī khā jaa.e mujhe

ghar judā khāne ko aa.e dar-o-dīvār judā

tum agar jao to wahshat meri kha jae mujhe

ghar juda khane ko aae dar-o-diwar juda

churāne nahīñ shart dil-e-zār yahāñ

rañj uThāne Thahrī hai to phir dil se uThā

ji churane ki nahin shart dil-e-zar yahan

ranj uThane hi ki Thahri hai to phir dil se uTha

vafā par naaz ham ko un ko apnī bevafā.ī par

koī muñh aa.ine meñ dekhtā hai koī paanī meñ

wafa par naz hum ko un ko apni bewafai par

koi munh aaine mein dekhta hai koi pani mein

ab jahāñ meñ baaqī hai aah se nishāñ apnā

uḌ ga.e dhueñ apne rah gayā dhuāñ apnā

ab jahan mein baqi hai aah se nishan apna

uD gae dhuen apne rah gaya dhuan apna

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now