Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Moin Shadab's Photo'

Moin Shadab

1971 | Delhi, India

known for his Nizamat in Mushairas

known for his Nizamat in Mushairas

Sher of Moin Shadab

4K
Favorite

SORT BY

ye marhala bhī kisī imtihāñ se kam to nahīñ

vo shaḳhs mujh pe bahut e'tibār kartā hai

ye marhala bhi kisi imtihan se kam to nahin

wo shaKHs mujh pe bahut e'tibar karta hai

tujh se mil kar sab se naate toḌ liye the

ham ne bādal dekh ke maTke phoḌ liye the

tujh se mil kar sab se nate toD liye the

hum ne baadal dekh ke maTke phoD liye the

sahāfiyoñ ko kahāñ hāl-e-dil sunā baiThe

ye ek baat ka.ī zāviyoñ se likkheñge

sahafiyon ko kahan haal-e-dil suna baiThe

ye ek baat kai zawiyon se likkhenge

qatl itnā shor huā hai

dekh rahā huuñ ḳhud ko chhū kar

qatl ka itna shor hua hai

dekh raha hun KHud ko chhu kar

ye tez dhuup hameñ kaise sāñvlā kartī

hamāre sar pe duāoñ shāmiyāna thā

ye tez dhup hamein kaise sanwla karti

hamare sar pe duaon ka shamiyana tha

mundamil dil har ik zaḳhm huā jaatā hai

yahī sarmāya thā jo ḳhatm huā jaatā hai

mundamil dil ka har ek zaKHm hua jata hai

yahi sarmaya tha jo KHatm hua jata hai

vo vaqt aur the ki buzurgoñ qadr thī

ab ek būḌhā baap bhare ghar pe baar hai

wo waqt aur the ki buzurgon ki qadr thi

ab ek buDha bap bhare ghar pe bar hai

umr bhar ko mirā honā bhī nahīñ chāhtā vo

mujh ko āsānī se khonā bhī nahīñ chāhtā vo

umr bhar ko mera hona bhi nahin chahta wo

mujh ko aasani se khona bhi nahin chahta wo

muġhālate meñ na rahiyegā kam-nigāhī ke

hamārā chashma nazar nahīñ hai dhuup hai

mughaalate mein na rahiyega kam-nigahi ke

hamara chashma nazar ka nahin hai dhup ka hai

kisī ko dil se bhulāne meñ der lagtī hai

ye kapḌe kamre ke andar sukhāne paḌte haiñ

kisi ko dil se bhulane mein der lagti hai

ye kapDe kamre ke andar sukhane paDte hain

dil ek hai to ka.ī baar kyuuñ lagāyā jaa.e

bas ek ishq bahut hai agar nibhāyā jaa.e

dil ek hai to kai bar kyun lagaya jae

bas ek ishq bahut hai agar nibhaya jae

junūñ pe koī burā vaqt aa paḌā hai kyā

divāne apne garebān kaise siine lage

junun pe koi bura waqt aa paDa hai kya

diwane apne gareban kaise sine lage

zarā der ko tum apnī āñkheñ de do mujhe

ye dekhnā hai ki maiñ tum ko kaisā lagtā huuñ

zara si der ko tum apni aankhen de do mujhe

ye dekhna hai ki main tum ko kaisa lagta hun

maiñ is liye bhī zarā us se come miltā huuñ

bahut milo to mohabbat hone lagtī hai

main is liye bhi zara us se come hi milta hun

bahut milo to mohabbat si hone lagti hai

sardī aur garmī ke uzr nahīñ chalte

mausam dekh ke sāhab ishq nahīñ hotā

sardi aur garmi ke uzr nahin chalte

mausam dekh ke sahab ishq nahin hota

tum sharāfat kahāñ bāzār meñ le aa.e ho

ye vo sikka hai jo barsoñ se nahīñ chaltā hai

tum sharafat kahan bazar mein le aae ho

ye wo sikka hai jo barson se nahin chalta hai

tum abhī āsmāñ ko takte ho

shahr meñ sab ne iid bhī kar

tum abhi aasman ko takte ho

shahr mein sab ne id bhi kar li

maujoñ se laḌte vaqt to maiñ us ke saath thā

sāhil pe us ke haath meñ kui aur haath thā

maujon se laDte waqt to main us ke sath tha

sahil pe us ke hath mein kui aur hath tha

kisī ke saath guzārā huā vo ik lamha

agar maiñ sochne baiThūñ to zindagī kam hai

kisi ke sath guzara hua wo ek lamha

agar main sochne baiThun to zindagi kam hai

is zāviye se peḌ lagāyā hai bhaa.ī ne

aatā nahīñ zarā bhī saaya mirī taraf

is zawiye se peD lagaya hai bhai ne

aata nahin zara sa bhi saya meri taraf

dil se utar jā.ūñgā ye ma.alūm nahīñ thā

maiñ to us ke dil meñ utar kar dekh rahā thā

dil se utar jaunga ye malum nahin tha

main to us ke dil mein utar kar dekh raha tha

na.e tarz colony meñ sab kuchh ek hai

apnā ghar bhī haath baḌī mushkil se aatā hai

nae tarz ki colony mein sab kuchh ek sa hai

apna ghar bhi hath baDi mushkil se aata hai

bahut se dard to ham baañT bhī nahīñ sakte

bahut se bojh akele uThāne paḌte haiñ

bahut se dard to hum banT bhi nahin sakte

bahut se bojh akele uThane paDte hain

shab-e-hijr ab mujh ko khaltī nahīñ

ye rasta mire paañv ko lag gayā

shab-e-hijr ab mujh ko khalti nahin

ye rasta mere panw ko lag gaya

us se milne ḳhushī ba.ad meñ dukh detī hai

jashn ke ba.ad sannāTā bahut khaltā hai

us se milne ki KHushi baad mein dukh deti hai

jashn ke baad ka sannaTa bahut khalta hai

terī nigāh to is daur zakāt huī

jo mustahiq hai usī tak nahīiñ pahuñchtī hai

teri nigah to is daur ki zakat hui

jo mustahiq hai usi tak nahiin pahunchti hai

lamha-ba-lamha paañv se lipTī haiñ hijrateñ

kaise lagāte naam taḳhtī makān par

lamha-ba-lamha panw se lipTi hain hijraten

kaise lagate nam ki taKHti makan par

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now