Sher of Manzar Lakhnavi
ghar ko chhoḌā hai ḳhudā jaane kahāñ jaane ko
ab samajh lījiye TuuTā huā taarā mujh ko
ghar ko chhoDa hai KHuda jaane kahan jaane ko
ab samajh lijiye TuTa hua tara mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye insān nādīda ulfat kā maarā
ḳhudā jaane kis kis ko sajda karegā
ye insan nadida ulfat ka mara
KHuda jaane kis kis ko sajda karega
mujhe miTā ke vo yuuñ baiThe muskurāte haiñ
kisī se jaise koī nek kaam ho jaa.e
mujhe miTa ke wo yun baiThe muskuraate hain
kisi se jaise koi nek kaam ho jae
jamā ham karte ga.e chun chun ke tinke baaġh meñ
aur na jaane kis kā kis kā āshiyāñ bantā gayā
jama hum karte gae chun chun ke tinke bagh mein
aur na jaane kis ka kis ka aashiyan banta gaya
ham vahshiyoñ kā maskan kyā pūchhtā hai zālim
sahrā hai to sahrā hai zindāñ hai to zindāñ hai
hum wahshiyon ka maskan kya puchhta hai zalim
sahra hai to sahra hai zindan hai to zindan hai
-
Tag : Zindan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mirī raat kyuuñ kar kaTegī ilāhī
mujhe din ko taare nazar aa rahe haiñ
meri raat kyun kar kaTegi ilahi
mujhe din ko tare nazar aa rahe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kis kā kūcha hai aa gayā huuñ kahāñ
yaañ to kuchh niiñd aa.ī jaatī hai
kis ka kucha hai aa gaya hun kahan
yan to kuchh nind aai jati hai
be-ḳhud aisā kiyā ḳhauf-e-shab-e-tanhā.ī ne
subah se sham.a jalā dī tire saudā.ī ne
be-KHud aisa kiya KHauf-e-shab-e-tanhai ne
subah se shama jala di tere saudai ne
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duniyā ko diin diin ko duniyā kareñge ham
tere baneñge ham tujhe apnā kareñge ham
duniya ko din din ko duniya karenge hum
tere banenge hum tujhe apna karenge hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chune the phuul muqaddar se ban ga.e kāñTe
bahār haa.e hamāre liye bahār nahīñ
chune the phul muqaddar se ban gae kanTe
bahaar hae hamare liye bahaar nahin
do ghaḌī dil ke bahlāne kā sahārā bhī gayā
lījiye aaj tasavvur meñ bhī tanhā.ī hai
do ghaDi dil ke bahlane ka sahaara bhi gaya
lijiye aaj tasawwur mein bhi tanhai hai
kabhī to apnā samajh kar javāb de Daalo
badal badal ke sadā.eñ pukārtā huuñ maiñ
kabhi to apna samajh kar jawab de Dalo
badal badal ke sadaen pukarta hun main
hañsī aane kī baat hai hañs rahā huuñ
mujhe log dīvāna farmā rahe haiñ
hansi aane ki baat hai hans raha hun
mujhe log diwana farma rahe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vaa.iz se na pūchhūñgā kabhī mas.ala-e-ishq
maiñ ḳhuub samajhtā huuñ jo irshād kareñge
waiz se na puchhunga kabhi masala-e-ishq
main KHub samajhta hun jo irshad karenge
ab itnā aql se begāna ho gayā huuñ maiñ
guloñ ke shikve sitāroñ se kah rahā huuñ maiñ
ab itna aql se begana ho gaya hun main
gulon ke shikwe sitaron se kah raha hun main
ek muusā the ki un kā zikr har mahfil meñ hai
aur ik maiñ huuñ ki ab tak mere dil kī dil meñ hai
ek musa the ki un ka zikr har mahfil mein hai
aur ek main hun ki ab tak mere dil ki dil mein hai
guloñ se khel rahe haiñ nasīm ke jhoñke
qafas meñ baiThā huā haath mal rahā huuñ maiñ
gulon se khel rahe hain nasim ke jhonke
qafas mein baiTha hua hath mal raha hun main
kījiye kyuuñ murda armānoñ se chheḌ
sone vāloñ ko to sone dījiye
kijiye kyun murda armanon se chheD
sone walon ko to sone dijiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mohabbat to ham ne bhī kī aur bahut kī
magar husn ko ishq karnā na aayā
mohabbat to hum ne bhi ki aur bahut ki
magar husn ko ishq karna na aaya
khelnā aag ke sho.aloñ se kuchh āsān nahīñ
bas ye ik baat ḳhudā-dād hai parvāne meñ
khelna aag ke shoalon se kuchh aasan nahin
bas ye ek baat KHuda-dad hai parwane mein
aap kī yaad meñ ro.uuñ bhī na maiñ rātoñ ko
huuñ to majbūr magar itnā bhī majbūr nahīñ
aap ki yaad mein roun bhi na main raaton ko
hun to majbur magar itna bhi majbur nahin
huī dīvāngī is darja mash.hūr-e-jahāñ merī
jahāñ do aadmī bhī haiñ chhiḌī hai dāstāñ merī
hui diwangi is darja mashhur-e-jahan meri
jahan do aadmi bhi hain chhiDi hai dastan meri
ek ne.amat tire mahjūr ke haath aa.ī hai
iid kā chāñd charāġh-e-shab-e-tanhā.ī hai
ek neamat tere mahjur ke hath aai hai
id ka chand charagh-e-shab-e-tanhai hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kam-sinī kyā kam thī is par qahr hai shakkī mizāj
apnā nāvak mere dil se khīñch kar dekhā kiye
kam-sini kya kam thi is par qahr hai shakki mizaj
apna nawak mere dil se khinch kar dekha kiye
phir muñh se are kah kar paimāna girā diije
phir toḌiye dil merā phir lījiye añgḌā.ī
phir munh se are kah kar paimana gira dije
phir toDiye dil mera phir lijiye angDai
ik zamāna ho rahā hai ishq meñ ham se ḳhilāf
kis ke kis ke dil meñ dil Dāleñ ilāhī kyā kareñ
ek zamana ho raha hai ishq mein hum se KHilaf
kis ke kis ke dil mein dil Dalen ilahi kya karen
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zulm par zulm aa ga.e ġhālib
aable ābloñ ko chhoḌ ga.e
zulm par zulm aa gae ghaalib
aable aablon ko chhoD gae
shab-e-hijr yuuñ dil ko bahlā rahe haiñ
ki din bhar kī biitī ko dohrā rahe haiñ
shab-e-hijr yun dil ko bahla rahe hain
ki din bhar ki biti ko dohra rahe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chhiḌī hai aaj mujh se āsmāñ se
zarā haT jā.iyegā darmiyāñ se
chhiDi hai aaj mujh se aasman se
zara haT jaiyega darmiyan se
miTāne vaale hamārā hī ghar miTānā thā
chaman meñ ek se ek achchhā āshiyānā thā
miTane wale hamara hi ghar miTana tha
chaman mein ek se ek achchha aashiyana tha
vahshat vahshat tirī tafrīh kā sāmāñ hai abhī
ki garebāñ kā mire naam garebāñ hai abhī
wahshat wahshat teri tafrih ka saman hai abhi
ki gareban ka mere nam gareban hai abhi
mirā beḌī pahannā thā ki duniyā kī havā badlī
zamāne kī bahāreñ phaT paḌīñ aa ke gulistāñ par
mera beDi pahanna tha ki duniya ki hawa badli
zamane ki bahaaren phaT paDin aa ke gulistan par
na dil meñ lahū hai na āñkhoñ meñ aañsū
ġhamoñ kī nichoḌī huī āstīñ huuñ
na dil mein lahu hai na aankhon mein aansu
ghamon ki nichoDi hui aastin hun
haiñ sau tarīqe aur bhī ai be-qarār dil
iz.hār-e-shikva shikve ke andāz meñ na ho
hain sau tariqe aur bhi ai be-qarar dil
izhaar-e-shikwa shikwe ke andaz mein na ho
maiñ tinke chuntā phirtā huuñ sayyād tīliyāñ
tayyār ho rahā hai qafas āshiyāñ ke saath
main tinke chunta phirta hun sayyaad tiliyan
tayyar ho raha hai qafas aashiyan ke sath
apnī biitī na kahūñ terī kahānī na kahūñ
phir maza kaahe se paidā karūñ afsāne meñ
apni biti na kahun teri kahani na kahun
phir maza kahe se paida karun afsane mein
dard ho dil meñ to davā kiije
aur jo dil hī na ho to kyā kiije
dard ho dil mein to dawa kije
aur jo dil hi na ho to kya kije
jagmagātī tirī āñkhoñ kī qasam furqat meñ
baḌe dukh detī hai ye tāroñ bharī raat mujhe
jagmagati teri aankhon ki qasam furqat mein
baDe dukh deti hai ye taron bhari raat mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ahl-e-mahshar dekh luuñ qātil ko to pahchān luuñ
bholī-bhālī shakl thī aur kuchh bhalā sā naam thā
ahl-e-mahshar dekh lun qatil ko to pahchan lun
bholi-bhaali shakl thi aur kuchh bhala sa nam tha
vo to kahiye aap kī ulfat meñ dil bahlā rahā
varna duniyā chaar din bhī rahne ke qābil na thī
wo to kahiye aap ki ulfat mein dil bahla raha
warna duniya chaar din bhi rahne ke qabil na thi
mujhe to baḳhshiye aur jiine diije
mubārak aap hī ko aap kā dil
mujhe to baKHshiye aur jine dije
mubarak aap hi ko aap ka dil
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tafrīq husn-o-ishq ke andāz meñ na ho
lafzoñ meñ farq ho magar āvāz meñ na ho
tafriq husn-o-ishq ke andaz mein na ho
lafzon mein farq ho magar aawaz mein na ho
ġham meñ kuchh ġham kā mashġhalā kiije
dard kī dard se davā kiije
gham mein kuchh gham ka mashghala kije
dard ki dard se dawa kije
kuchh abr ko bhī zid hai 'manzar' mirī tauba se
jab ahd kiyā maiñ ne ghanghor ghaTā chhā.ī
kuchh abr ko bhi zid hai 'manzar' meri tauba se
jab ahd kiya main ne ghanghor ghaTa chhai
jaane vaale jā ḳhudā hāfiz magar ye soch le
kuchh se kuchh ho jā.egī dīvāngī tere baġhair
jaane wale ja KHuda hafiz magar ye soch le
kuchh se kuchh ho jaegi diwangi tere baghair
-
Tag : Farewell
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
māñgne par kyā na degā tāqat-e-sabr-o-sukūn
jis ne be māñge atā kar dī pareshānī mujhe
mangne par kya na dega taqat-e-sabr-o-sukun
jis ne be mange ata kar di pareshani mujhe
muddatoñ ba.ad kabhī ai nazar aane vaale
iid kā chāñd na dekhā tirī sūrat dekhī
muddaton baad kabhi ai nazar aane wale
id ka chand na dekha teri surat dekhi
burā ho ishq kā sab kuchh samajh rahā huuñ maiñ
banā rahā hai koī ban rahā huuñ dīvāna
bura ho ishq ka sab kuchh samajh raha hun main
bana raha hai koi ban raha hun diwana
saada varaq javāb meñ ik lā ke de gayā
dīvāna jāntā hai mirā nāma-bar mujhe
sada waraq jawab mein ek la ke de gaya
diwana jaanta hai mera nama-bar mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dāman-o-jeb-o-garebāñ kā nahīñ koī malāl
ġham ye hai dast-e-junūñ kal ke liye kaam nahīñ
daman-o-jeb-o-gareban ka nahin koi malal
gham ye hai dast-e-junun kal ke liye kaam nahin