Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Lala Madhav Ram Jauhar

1810 - 1889

Contemporary of Mirza Ghalib, famous for many of his oft-quoted shers.

Contemporary of Mirza Ghalib, famous for many of his oft-quoted shers.

Sher of Lala Madhav Ram Jauhar

37.2K
Favorite

SORT BY

dekhiye kyā dikhātī hai taqdīr

chup khaḌā huuñ gunāhgāroñ meñ

dekhiye kya dikhati hai taqdir

chup khaDa hun gunahgaron mein

barsāt mazā tire gesū dikhā ga.e

aks āsmān par jo paḌā abr chhā ga.e

barsat ka maza tere gesu dikha gae

aks aasman par jo paDa abr chha gae

niiñd aañkh meñ bharī hai kahāñ raat bhar rahe

kis ke nasīb tum ne jagā.e kidhar rahe

nind aankh mein bhari hai kahan raat bhar rahe

kis ke nasib tum ne jagae kidhar rahe

ilāhī kyā khule dīdār raah

udhar darvāze band āñkheñ idhar band

ilahi kya khule didar ki rah

udhar darwaze band aankhen idhar band

kū-e-jānāñ meñ na ġhairoñ rasā.ī ho jaa.e

apnī jāgīr ye yā-rab na parā.ī ho jaa.e

ku-e-jaanan mein na ghairon ki rasai ho jae

apni jagir ye ya-rab na parai ho jae

Thahrī jo vasl to huī sub.h shaam se

but mehrbāñ hue to ḳhudā mehrbāñ na thā

Thahri jo wasl ki to hui subh sham se

but mehrban hue to KHuda mehrban na tha

aa gayā 'jauhar' ajab ulTā zamāna kyā kaheñ

dost vo karte haiñ bāteñ jo adū karte nahīñ

aa gaya 'jauhar' ajab ulTa zamana kya kahen

dost wo karte hain baaten jo adu karte nahin

va.ada nahīñ payām nahīñ guftugū nahīñ

hairat hai ai ḳhudā mujhe kyuuñ intizār hai

wada nahin payam nahin guftugu nahin

hairat hai ai KHuda mujhe kyun intizar hai

is qamar ko kabhī to dekheñge

tiis din hote haiñ mahīne ke

is qamar ko kabhi to dekhenge

tis din hote hain mahine ke

kaun hote haiñ vo mahfil se uThāne vaale

yuuñ to jaate bhī magar ab nahīñ jaane vaale

kaun hote hain wo mahfil se uThane wale

yun to jate bhi magar ab nahin jaane wale

taḌap rahā hai dil ik nāvak-e-jafā ke liye

usī nigāh se phir dekhiye ḳhudā ke liye

taDap raha hai dil ek nawak-e-jafa ke liye

usi nigah se phir dekhiye KHuda ke liye

sadme uThā.eñ rashk ke kab tak jo ho so ho

to raqīb nahīñ aaj ham nahīñ

sadme uThaen rashk ke kab tak jo ho so ho

ya to raqib hi nahin ya aaj hum nahin

samjhā liyā fareb se mujh ko to aap ne

dil se to pūchh lījiye kyuuñ be-qarār hai

samjha liya fareb se mujh ko to aap ne

dil se to puchh lijiye kyun be-qarar hai

muḳhtār maiñ agar huuñ to majbūr kaun hai

majbūr aap haiñ to kise iḳhtiyār hai

muKHtar main agar hun to majbur kaun hai

majbur aap hain to kise iKHtiyar hai

hāl-e-dil sunte nahīñ ye kah ke ḳhush kar dete haiñ

phir kabhī fursat meñ sun leñge kahānī aap

haal-e-dil sunte nahin ye kah ke KHush kar dete hain

phir kabhi fursat mein sun lenge kahani aap ki

do din meñ ye sanam hosh-rubā hote haiñ

kal ke tarshe hue but aaj ḳhudā hote haiñ

do hi din mein ye sanam hosh-ruba hote hain

kal ke tarshe hue but aaj KHuda hote hain

baaz aa.e ham ye apnā aap chhallā lījiye

har kisī ke haath meñ hai ab nishānī aap

baz aae hum ye apna aap chhalla lijiye

har kisi ke hath mein hai ab nishani aap ki

but kahte haiñ kyā haal hai kuchh muñh se to bolo

ham kahte haiñ suntā nahīñ allāh hamārī

but kahte hain kya haal hai kuchh munh se to bolo

hum kahte hain sunta nahin allah hamari

dekhā huzūr ko jo mukaddar to mar ga.e

ham miT ga.e jo aap ne mailī nigāh

dekha huzur ko jo mukaddar to mar gae

hum miT gae jo aap ne maili nigah ki

dil meñ aao maze hoñ jiine ke

khol duuñ maiñ kivāḌ siine ke

dil mein aao maze hon jine ke

khol dun main kiwaD sine ke

duniyā bahut ḳharāb hai jā-e-guzar nahīñ

bistar uThāo rahne ke qābil ye ghar nahīñ

duniya bahut KHarab hai ja-e-guzar nahin

bistar uThao rahne ke qabil ye ghar nahin

maiñ ne minnat kabhī ho to batā deñ zāhid

kaun se roz sifārish ko gunahgār aayā

main ne minnat kabhi ki ho to bata den zahid

kaun se roz sifarish ko gunahgar aaya

tum shāh-e-husn ho ke na pūchho faqīr se

aise bhare makān se ḳhālī gadā phire

tum shah-e-husn ho ke na puchho faqir se

aise bhare makan se KHali gada phire

ham ishq meñ haiñ fard to tum husn meñ yaktā

ham bhī nahīñ ek jo tum nahīñ koī

hum ishq mein hain fard to tum husn mein yakta

hum sa bhi nahin ek jo tum sa nahin koi

sab ko mahfil meñ nasīb un ke nazāre hoñge

ham kahīñ ġhash meñ paḌe ek kināre hoñge

sab ko mahfil mein nasib un ke nazare honge

hum kahin ghash mein paDe ek kinare honge

terā qusūr-vār ḳhudā gunāhgār

jo kuchh ki thā yahī dil-e-ḳhāna-ḳharāb thā

tera qusur-war KHuda ka gunahgar

jo kuchh ki tha yahi dil-e-KHana-KHarab tha

mausam-e-bārān-e-furqat meñ rulāne ke liye

mor din ko bol uThtā hai papīhā raat ko

mausam-e-baran-e-furqat mein rulane ke liye

mor din ko bol uThta hai papiha raat ko

tark-e-mohabbat to liyā dard-e-jigar mol

parhez se dil aur bhī bīmār paḌā hai

ki tark-e-mohabbat to liya dard-e-jigar mol

parhez se dil aur bhi bimar paDa hai

istiḳhāre ke liye baaġh meñ ham rindoñ ne

bār-hā dāna-e-añgūr hai tasbīh

istiKHare ke liye bagh mein hum rindon ne

bar-ha dana-e-angur ki ki hai tasbih

ba.ad-e-shab-e-visāl na dekhūñ maiñ dāġh-e-hijr

yā-rab charāġh-e-umr bujhā de havā-e-sub.h

baad-e-shab-e-visal na dekhun main dagh-e-hijr

ya-rab charagh-e-umr bujha de hawa-e-subh

tujh koī jahān meñ nāzuk-badan kahāñ

ye pañkhuḌī se hoñT ye gul badan kahāñ

tujh sa koi jahan mein nazuk-badan kahan

ye pankhuDi se honT ye gul sa badan kahan

muñh par naqāb-e-zard har ik zulf par gulāl

holī shaam to sahar hai basant

munh par naqab-e-zard har ek zulf par gulal

holi ki sham hi to sahar hai basant ki

zarra samajh ke yuuñ na milā mujh ko ḳhaak meñ

ai āsmān maiñ bhī kabhī āftāb thā

zarra samajh ke yun na mila mujh ko KHak mein

ai aasman main bhi kabhi aaftab tha

jo dost haiñ vo māñgte haiñ sulh duā

dushman ye chāhte haiñ ki aapas meñ jañg ho

jo dost hain wo mangte hain sulh ki dua

dushman ye chahte hain ki aapas mein jang ho

chhoḌ kar ham ko milā sham.a-ruḳhoñ se kar

isī qābil hai ai dil ki jalā.eñ tujh ko

chhoD kar hum ko mila shama-ruKHon se ja kar

isi qabil hai tu ai dil ki jalaen tujh ko

jab kahte haiñ ham karte ho kyuuñ va.ada-ḳhilāfī

farmāte haiñ hañs kar ye na.ī baat nahīñ hai

jab kahte hain hum karte ho kyun wada-KHilafi

farmate hain hans kar ye nai baat nahin hai

har ghaḌī ye bigaḌnā nahīñ achchhā ai jaan

rūThne bhī koī vaqt muqarrar ho jaa.e

har ghaDi ka ye bigaDna nahin achchha ai jaan

ruThne ka bhi koi waqt muqarrar ho jae

'jauhar' tumheñ nafrat hai bahut bāda-kashī se

barsāt meñ dekheñge ham inkār tumhārā

'jauhar' tumhein nafrat hai bahut baada-kashi se

barsat mein dekhenge hum inkar tumhaara

nūr-e-badan se phailī añdhere meñ chāñdnī

kapḌe jo us ne shab ko utāre palañg par

nur-e-badan se phaili andhere mein chandni

kapDe jo us ne shab ko utare palang par

kaTte kisī tarah se nahīñ haa.e kyā karūñ

din ho ga.e pahāḌ mujhe intizār ke

kaTte kisi tarah se nahin hae kya karun

din ho gae pahaD mujhe intizar ke

ka.abe to kyā asl hai us kūche se aage

jannat ho to jaa.e na gunahgār tumhārā

kabe ki to kya asl hai us kuche se aage

jannat ho to jae na gunahgar tumhaara

hāl-e-dil yaar ko mahfil meñ sunā.eñ kyūñ-kar

mudda.ī kaan idhar aur udhar rakhte haiñ

haal-e-dil yar ko mahfil mein sunaen kyun-kar

muddai kan idhar aur udhar rakhte hain

thame aañsū to phir tum shauq se ghar ko chale jaanā

kahāñ jaate ho is tūfān meñ paanī zarā Thahre

thame aansu to phir tum shauq se ghar ko chale jaana

kahan jate ho is tufan mein pani zara Thahre

ham bhī kuchh muñh se jo kah baiTheñ to phir kitnī rahe

dekhiye achchhī nahīñ ye bad-zabānī aap

hum bhi kuchh munh se jo kah baiThen to phir kitni rahe

dekhiye achchhi nahin ye bad-zabani aap ki

siine se lipTo galā kaaTo

ham tumhāre haiñ dil tumhārā hai

sine se lipTo ya gala kaTo

hum tumhaare hain dil tumhaara hai

us ne phir kar bhī na dekhā maiñ use dekhā kiyā

de diyā dil raah chalte ko ye maiñ ne kyā kiyā

us ne phir kar bhi na dekha main use dekha kiya

de diya dil rah chalte ko ye main ne kya kiya

baal apne us parī-rū ne sañvāre raat bhar

saañp loTe saikḌoñ dil par hamāre raat bhar

baal apne us pari-ru ne sanware raat bhar

sanp loTe saikDon dil par hamare raat bhar

dil pyaar nazar ke liye be-qarār hai

ik tiir is taraf bhī ye taaza shikār hai

dil pyar ki nazar ke liye be-qarar hai

ek tir is taraf bhi ye taza shikar hai

mal rahe haiñ vo apne ghar mehñdī

ham yahāñ eḌiyāñ ragaḌte haiñ

mal rahe hain wo apne ghar mehndi

hum yahan eDiyan ragaDte hain

ḳhaak meñ dil ko milāte ho ġhazab karte ho

andhe ā.īne meñ kyā dekhoge sūrat apnī

KHak mein dil ko milate ho ghazab karte ho

andhe aaine mein kya dekhoge surat apni

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now