Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jaun Eliya's Photo'

Jaun Eliya

1931 - 2002 | Karachi, Pakistan

One of the most prominent modern Urdu poets. Popular among masses for his unconventional ways

One of the most prominent modern Urdu poets. Popular among masses for his unconventional ways

Sher of Jaun Eliya

509.8K
Favorite

SORT BY

dād-o-tahsīn ye shor hai kyuuñ

ham to ḳhud se kalām kar rahe haiñ

dad-o-tahsin ka ye shor hai kyun

hum to KHud se kalam kar rahe hain

shab jo ham se huā muaaf karo

nahīñ thī bahak ga.e hoñge

shab jo hum se hua muaf karo

nahin pi thi bahak gae honge

ham kahāñ aur tum kahāñ jānāñ

haiñ ka.ī hijr darmiyāñ jānāñ

hum kahan aur tum kahan jaanan

hain kai hijr darmiyan jaanan

kaise kaheñ ki tujh ko bhī ham se hai vāsta koī

ne to ham se aaj tak koī gila nahīñ kiyā

kaise kahen ki tujh ko bhi hum se hai wasta koi

tu ne to hum se aaj tak koi gila nahin kiya

ham-nafasān-e-vaz.a-dār mustami.ān-e-burd-bār

ham to tumhāre vāste ek vabāl ho ga.e

ham-nafasan-e-waza-dar mustamian-e-burd-bar

hum to tumhaare waste ek wabaal ho gae

vo jo na aane vaalā hai us se mujh ko matlab thā

aane vāloñ se kyā matlab aate haiñ aate hoñge

wo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha

aane walon se kya matlab aate hain aate honge

maiñ rahā umr bhar judā ḳhud se

yaad maiñ ḳhud ko umr bhar aayā

main raha umr bhar juda KHud se

yaad main KHud ko umr bhar aaya

tujh ko ḳhabar nahīñ ki tirā karb dekh kar

akasr tirā mazāq uḌātā rahā huuñ maiñ

tujh ko KHabar nahin ki tera karb dekh kar

akasr tera mazaq uData raha hun main

ham ko hargiz nahīñ ḳhudā manzūr

ya.anī ham be-tarah ḳhudā ke haiñ

hum ko hargiz nahin KHuda manzur

yani hum be-tarah KHuda ke hain

ḳhīra-sarān-e-shauq koī nahīñ hai jumba-dār

shahr meñ is giroh ne kis ko ḳhafā nahīñ kiyā

KHira-saran-e-shauq ka koi nahin hai jumba-dar

shahr mein is giroh ne kis ko KHafa nahin kiya

ḳharch chalegā ab mirā kis ke hisāb meñ bhalā

sab ke liye bahut huuñ maiñ apne liye zarā nahīñ

KHarch chalega ab mera kis ke hisab mein bhala

sab ke liye bahut hun main apne liye zara nahin

ye bahut ġham baat ho shāyad

ab to ġham bhī gañvā chukā huuñ maiñ

ye bahut gham ki baat ho shayad

ab to gham bhi ganwa chuka hun main

apnā rishta zamīñ se rakkho

kuchh nahīñ āsmān meñ rakkhā

apna rishta zamin se hi rakkho

kuchh nahin aasman mein rakkha

yaad use intihā.ī karte haiñ

so ham us burā.ī karte haiñ

yaad use intihai karte hain

so hum us ki burai karte hain

kitnī dilkash ho tum kitnā dil-jū huuñ maiñ

kyā sitam hai ki ham log mar jā.eñge

kitni dilkash ho tum kitna dil-ju hun main

kya sitam hai ki hum log mar jaenge

sābit huā sukūn-e-dil-o-jāñ kahīñ nahīñ

rishtoñ meñ DhūñDhtā hai to DhūñDā kare koī

sabit hua sukun-e-dil-o-jaan kahin nahin

rishton mein DhunDhta hai to DhunDa kare koi

ho kabhī to sharāb-e-vasl nasīb

piye jā.ūñ maiñ ḳhuun kab tak

ho kabhi to sharab-e-wasl nasib

piye jaun main KHun hi kab tak

paḌī rahne do insānoñ lāsheñ

zamīñ bojh halkā kyuuñ kareñ ham

paDi rahne do insanon ki lashen

zamin ka bojh halka kyun karen hum

merī har baat be-asar rahī

naqs hai kuchh mire bayān meñ kyā

meri har baat be-asar hi rahi

naqs hai kuchh mere bayan mein kya

us se har-dam mo.āmla hai magar

darmiyāñ koī silsila nahīñ

us se har-dam moamla hai magar

darmiyan koi silsila hi nahin

husn se arz-e-shauq na karnā husn ko zak pahuñchānā hai

ham ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahuñchā.ī hai

husn se arz-e-shauq na karna husn ko zak pahunchana hai

hum ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahunchai hai

ye mujhe chain kyuuñ nahīñ paḌtā

ek shaḳhs thā jahān meñ kyā

ye mujhe chain kyun nahin paDta

ek hi shaKHs tha jahan mein kya

kaun se shauq kis havas nahīñ

dil mirī jaan tere bas nahīñ

kaun se shauq kis hawas ka nahin

dil meri jaan tere bas ka nahin

mujhe ab hosh aatā rahā hai

ḳhudā terī ḳhudā.ī rahī hai

mujhe ab hosh aata ja raha hai

KHuda teri KHudai ja rahi hai

mujh se ab log kam milte haiñ

yuuñ bhī maiñ haT gayā huuñ manzar se

mujh se ab log kam hi milte hain

yun bhi main haT gaya hun manzar se

tumhārā hijr manā luuñ agar ijāzat ho

maiñ dil kisī se lagā luuñ agar ijāzat ho

tumhaara hijr mana lun agar ijazat ho

main dil kisi se laga lun agar ijazat ho

dil ab duniyā pe la.anat kar ki is

bahut ḳhidmat-guzārī ho ga.ī hai

dil ab duniya pe lanat kar ki is ki

bahut KHidmat-guzari ho gai hai

sochtā huuñ ki us yaad āḳhir

ab kise raat bhar jagātī hai

sochta hun ki us ki yaad aaKHir

ab kise raat bhar jagati hai

zindagī kis tarah basar hogī

dil nahīñ lag rahā mohabbat meñ

zindagi kis tarah basar hogi

dil nahin lag raha mohabbat mein

bahut katrā rahe muġhbachoñ se

gunāh-e-tark-e-bāda kar liyā kyā

bahut katra rahe hu mughbachon se

gunah-e-tark-e-baada kar liya kya

vo munkir hai to phir shāyad har ik maktūb-e-shauq us ne

sar-añgusht-e-hinā.ī se ḳhalāoñ meñ likhā hogā

wo munkir hai to phir shayad har ek maktub-e-shauq us ne

sar-angusht-e-hinai se KHalaon mein likha hoga

mujhe ġharaz hai mirī jaan ġhul machāne se

na tere aane se matlab na tere jaane se

mujhe gharaz hai meri jaan ghul machane se

na tere aane se matlab na tere jaane se

jam.a ham ne kiyā hai ġham dil meñ

is ab suud khaa.e jā.eñge

jama hum ne kiya hai gham dil mein

is ka ab sud khae jaenge

in laboñ lahū na jā.ūñ

apnī tishna-labī se ḳhatra hai

in labon ka lahu na pi jaun

apni tishna-labi se KHatra hai

mohazzab aadmī patlūn ke baTan to lagā

ki irtiqā hai ibārat baTan lagāne se

mohazzab aadmi patlun ke baTan to laga

ki irtiqa hai ibarat baTan lagane se

kis liye dekhtī ho ā.īna

tum to ḳhud se bhī ḳhūbsūrat ho

kis liye dekhti ho aaina

tum to KHud se bhi KHubsurat ho

mujh ko aadat hai ruuTh jaane

aap mujh ko manā liyā kiije

mujh ko aadat hai ruTh jaane ki

aap mujh ko mana liya kije

hai ye vajūd numūd apnī nafas nafas gurez

vaqt saarī bastiyāñ apnī hazīmatoñ meñ haiñ

hai ye wajud ki numud apni nafas nafas gurez

waqt ki sari bastiyan apni hazimaton mein hain

maiñ bhī bahut ajiib huuñ itnā ajiib huuñ ki bas

ḳhud ko tabāh kar liyā aur malāl bhī nahīñ

main bhi bahut ajib hun itna ajib hun ki bas

KHud ko tabah kar liya aur malal bhi nahin

saarī galī sunsān paḌī thī bād-e-fanā ke pahre meñ

hijr ke dālān aur āñgan meñ bas ik saaya zinda thā

sari gali sunsan paDi thi baad-e-fana ke pahre mein

hijr ke dalan aur aangan mein bas ek saya zinda tha

ek to havas rahī hai hameñ

apnī hālat tabāh jaa.e

ek hi to hawas rahi hai hamein

apni haalat tabah ki jae

ḳhudā se le liyā jannat va.ade

ye zāhid to baḌe ghaag nikle

KHuda se le liya jannat ka wade

ye zahid to baDe hi ghag nikle

jaate jaate aap itnā kaam to kiije mirā

yaad saarā sar-o-sāmāñ jalāte jā.iye

jate jate aap itna kaam to kije mera

yaad ka sara sar-o-saman jalate jaiye

maiñ bistar-e-ḳhayāl pe leTā huuñ us ke paas

sub.h-e-azal se koī taqāzā kiye baġhair

main bistar-e-KHayal pe leTa hun us ke pas

subh-e-azal se koi taqaza kiye baghair

jāniye us se nibhegī kis tarah

vo ḳhudā hai maiñ to banda bhī nahīñ

jaaniye us se nibhegi kis tarah

wo KHuda hai main to banda bhi nahin

apne andar hañstā huuñ maiñ aur bahut sharmātā huuñ

ḳhuun bhī thūkā sach-much thūkā aur ye sab chālākī thī

apne andar hansta hun main aur bahut sharmata hun

KHun bhi thuka sach-much thuka aur ye sab chaalaki thi

ab jo rishtoñ meñ bañdhā huuñ to khulā hai mujh par

kab parind uḌ nahīñ paate haiñ paroñ ke hote

ab jo rishton mein bandha hun to khula hai mujh par

kab parind uD nahin pate hain paron ke hote

ab nahīñ koī baat ḳhatre

ab sabhī ko sabhī se ḳhatra hai

ab nahin koi baat KHatre ki

ab sabhi ko sabhi se KHatra hai

kyā kahā ishq jāvedānī hai!

āḳhirī baar mil rahī ho kyā

kya kaha ishq jawedani hai!

aaKHiri bar mil rahi ho kya

ik ajab haal hai ki ab us ko

yaad karnā bhī bevafā.ī hai

ek ajab haal hai ki ab us ko

yaad karna bhi bewafai hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now