Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jaleel Manikpuri's Photo'

Jaleel Manikpuri

1866 - 1946 | Hyderabad, India

One of the most popular post-classical poets and disciple of Ameer Minai and succeeded Dagh as court poet of Hyderabad.

One of the most popular post-classical poets and disciple of Ameer Minai and succeeded Dagh as court poet of Hyderabad.

Sher of Jaleel Manikpuri

106.1K
Favorite

SORT BY

aise chhupne se na chhupnā thā behtar terā

hai parde meñ magar zikr hai ghar ghar terā

aise chhupne se na chhupna hi tha behtar tera

tu hai parde mein magar zikr hai ghar ghar tera

bū-e-gul thā maiñ haath kyā aatā

kitne sayyād le ke daam aa.e

bu-e-gul tha main hath kya aata

kitne sayyaad le ke dam aae

mar ke yaad aa.e maze duniyā ke

ghar se nikle the ki ghar yaad aayā

mar ke yaad aae maze duniya ke

ghar se nikle the ki ghar yaad aaya

aap ne tasvīr bhejī maiñ ne dekhī ġhaur se

har adā achchhī ḳhamoshī adā achchhī nahīñ

aap ne taswir bheji main ne dekhi ghaur se

har ada achchhi KHamoshi ki ada achchhi nahin

dilchasp ho ga.ī tire chalne se rahguzar

uTh uTh ke gard-e-rāh lipaTtī hai raah se

dilchasp ho gai tere chalne se rahguzar

uTh uTh ke gard-e-rah lipaTti hai rah se

vo to kyā us tasavvur bhī 'jalīl'

ba-sad-andāz-o-ba-sad-nāz aaya

wo to kya us ka tasawwur bhi 'jalil'

ba-sad-andaz-o-ba-sad-naz aaya

ab aao rakh luuñ chhupā kar tumheñ kaleje meñ

hue ho ḳhair se sharm o hijāb ke qābil

ab aao rakh lun chhupa kar tumhein kaleje mein

hue ho KHair se sharm o hijab ke qabil

koī kyā jaane ki hai roz-e-qayāmat kyā chiiz

dūsrā naam hai merī shab-e-tanhā.ī

koi kya jaane ki hai roz-e-qayamat kya chiz

dusra nam hai meri shab-e-tanhai ka

jitne the jāñ-nisār vo sab ho ga.e nisār

raunaq raunaq aap mahfil meñ rah ga.ī

jitne the jaan-nisar wo sab ho gae nisar

raunaq hi raunaq aap ki mahfil mein rah gai

is tarah bhes meñ āshiq ke chhupā hai ma.ashūq

jis tarah aañkh ke parde meñ nazar hotī hai

is tarah bhes mein aashiq ke chhupa hai mashuq

jis tarah aankh ke parde mein nazar hoti hai

aatā hai meñ sāqi-e-mah-vash pe baar baar

lab chuum luuñ tirā lab-e-paimāna chhoḌ kar

aata hai ji mein saqi-e-mah-wash pe bar bar

lab chum lun tera lab-e-paimana chhoD kar

sab kuchh ham un se kah ga.e lekin ye ittifāq

kahne thī jo baat vahī dil meñ rah ga.ī

sab kuchh hum un se kah gae lekin ye ittifaq

kahne ki thi jo baat wahi dil mein rah gai

bahār ek dam hai khultā nahīñ kuchh

ye gul khil rahe haiñ ki murjhā rahe haiñ

bahaar ek dam ki hai khulta nahin kuchh

ye gul khil rahe hain ki murjha rahe hain

kar ga.ī dīvāngī ham ko barī har jurm se

chāk-dāmānī se apnī pāk-dāmānī huī

kar gai diwangi hum ko bari har jurm se

chaak-damani se apni pak-damani hui

vo dil meñ aa ke nikalte nahīñ haiñ phir dil se

vahīñ ke ho rahe dam-bhar jahāñ qayām kiyā

wo dil mein aa ke nikalte nahin hain phir dil se

wahin ke ho rahe dam-bhar jahan qayam kiya

vo chāñdnī meñ phirte haiñ ghar ghar ye shor hai

niklā hai āftāb shab-e-māhtāb meñ

wo chandni mein phirte hain ghar ghar ye shor hai

nikla hai aaftab shab-e-mahtab mein

dekhtā maiñ use kyūñkar ki naqāb uThte

ban ke dīvār khaḌī ho ga.ī hairat merī

dekhta main use kyunkar ki naqab uThte hi

ban ke diwar khaDi ho gai hairat meri

piine se kar chukā thā maiñ tauba magar 'jalīl'

bādal rañg dekh ke nīyat badal ga.ī

pine se kar chuka tha main tauba magar 'jalil'

baadal ka rang dekh ke niyat badal gai

zāhid tarah ḳhushk musalmāñ nahīñ 'jalīl'

ishq-e-butāñ bhī dil meñ hai yād-e-ḳhudā bhī hai

zahid ki tarah KHushk musalman nahin 'jalil'

ishq-e-butan bhi dil mein hai yaad-e-KHuda bhi hai

kiyāriyāñ dekh ke phūloñ vo farmāte haiñ

TukḌiyāñ haiñ ye mire chāk-girebānoñ

kiyariyan dekh ke phulon ki wo farmate hain

TukDiyan hain ye mere chaak-girebanon ki

hosh aane thā jo ḳhauf mujhe

mai-kade se na umr bhar niklā

hosh aane ka tha jo KHauf mujhe

mai-kade se na umr bhar nikla

taḌap merī taraqqī kar rahī hai

zamīñ Takrā na jaa.e āsmāñ se

taDap meri taraqqi kar rahi hai

zamin Takra na jae aasman se

husn ye hai ki dilrubā ho tum

aib ye hai ki bevafā ho tum

husn ye hai ki dilruba ho tum

aib ye hai ki bewafa ho tum

mai-kade ye udāsī nahīñ dekhī jaatī

nahīñ ma.alūm hai kyā der bahār aane meñ

mai-kade ki ye udasi nahin dekhi jati

nahin malum hai kya der bahaar aane mein

yuuñ to aatī haiñ saikḌoñ bāteñ

vaqt par ek bhī nahīñ aatī

yun to aati hain saikDon baaten

waqt par ek bhi nahin aati

roz vo ḳhvāb meñ aate haiñ gale milne ko

maiñ jo sotā huuñ to jaag uThtī hai qismat merī

roz wo KHwab mein aate hain gale milne ko

main jo sota hun to jag uThti hai qismat meri

aap pahlū meñ jo baiTheñ to sambhal kar baiTheñ

dil-e-betāb ko aadat hai machal jaane

when you come into my arms you should be aware

my restless heart is wont to leap, it may give you a scare

aap pahlu mein jo baiThen to sambhal kar baiThen

dil-e-betab ko aadat hai machal jaane ki

when you come into my arms you should be aware

my restless heart is wont to leap, it may give you a scare

barsāo tiir mujh pe magar itnā jaan lo

pahlū meñ dil hai dil meñ tumhārā ḳhayāl hai

barsao tir mujh pe magar itna jaan lo

pahlu mein dil hai dil mein tumhaara KHayal hai

raat ko aa kar jo tum milte to haañ ik baat thī

sub.h ko sūrat dikhāne āftāb aayā to kyā

raat ko aa kar jo tum milte to han ek baat thi

subh ko surat dikhane aaftab aaya to kya

diid ke qābil hasīñ to haiñ bahut

har nazar dīdār ke qābil nahīñ

did ke qabil hasin to hain bahut

har nazar didar ke qabil nahin

koī fitna na uThā fitna-e-qāmat tarah

koī jaadū nazar aayā na nazar sūrat

koi fitna na uTha fitna-e-qamat ki tarah

koi jadu nazar aaya na nazar ki surat

hamārī kashtī-e-tauba ye huā anjām

bahār aate ġharq-e-sharāb ho ke rahī

hamari kashti-e-tauba ka ye hua anjam

bahaar aate hi gharq-e-sharab ho ke rahi

sabr aa jaa.e is kyā ummīd

maiñ vahī, dil vahī hai hai vahī

sabr aa jae is ki kya ummid

main wahi, dil wahi hai tu hai wahi

charḳh ko madd-e-nazar hai khīñchnā puurī shabīh

māh-e-nau to sirf ḳhāka hai tirī tasvīr

charKH ko madd-e-nazar hai khinchna puri shabih

mah-e-nau to sirf KHaka hai teri taswir ka

be-piye chain nahīñ hosh nahīñ jaan nahīñ

shauq kaahe ko maraz hai mujhe mai-ḳhvārī

be-piye chain nahin hosh nahin jaan nahin

shauq kahe ko maraz hai mujhe mai-KHwari ka

nigāh-e-gul se bulbul yuuñ girī hai

gire jis tarah tinkā āshiyāñ se

nigah-e-gul se bulbul yun giri hai

gire jis tarah tinka aashiyan se

chhupā na raaz mohabbat bū-e-gul tarah

jo baat dil meñ thī vo darmiyāñ nikal aa.ī

chhupa na raaz mohabbat ka bu-e-gul ki tarah

jo baat dil mein thi wo darmiyan nikal aai

sab ga.e pūchhne mizāj un

maiñ gayā apnī dāstāñ le kar

sab gae puchhne mizaj un ka

main gaya apni dastan le kar

tujh se milne par but-e-bedard ye uqda khulā

bholī-bhālī shakl vaale hote haiñ jallād bhī

tujh se milne par but-e-bedard ye uqda khula

bholi-bhaali shakl wale hote hain jallad bhi

jis din mai-e-alast mauj aa ga.ī mujhe

rañg dūñgā ek rañg meñ saare jahāñ ko meñ

jis din mai-e-alast ki mauj aa gai mujhe

rang dunga ek rang mein sare jahan ko mein

us zulf ke phande se nikalnā nahīñ mumkin

haañ maañg koī raah nikāle to nikāle

us zulf ke phande se nikalna nahin mumkin

han mang koi rah nikale to nikale

mahv huuñ is qadar tasavvur meñ

shak ye hotā hai maiñ huuñ hai

mahw hun is qadar tasawwur mein

shak ye hota hai main hun ya tu hai

husn aafat nahīñ to phir kyā hai

qayāmat nahīñ to phir kyā hai

husn aafat nahin to phir kya hai

tu qayamat nahin to phir kya hai

shukr hai bāñdh liyā apne khule bāloñ ko

us ne shīrāza-e-ālam ko bikharne na diyā

shukr hai bandh liya apne khule baalon ko

us ne shiraaza-e-alam ko bikharne na diya

ne o bevafā kyā jaatī duniyā dekh

raah par aane lagā ahd-e-vafā hone lage

tu ne o bewafa kya jati duniya dekh li

rah par aane laga ahd-e-wafa hone lage

ho harī shāḳh-e-tamannā na ho

sīñch denā chashm-e-tar kaam hai

ho hari shaKH-e-tamanna ya na ho

sinch dena chashm-e-tar ka kaam hai

sote meñ vo jo mujh se ham-āġhosh ho ga.e

jitne gile the ḳhvāb-e-farāmosh ho ga.e

sote mein wo jo mujh se ham-aghosh ho gae

jitne gile the KHwab-e-faramosh ho gae

gahan se chāñd nikaltā hai kis tarah dekheñ

naqāb ko ruḳh-e-raushan se khol-khāl ke pheñk

gahan se chand nikalta hai kis tarah dekhen

naqab ko ruKH-e-raushan se khol-khaal ke phenk

sab se pyārī hai jaan duniyā meñ

jaan se baḌh ke jān-e-jāñ hai

sab se pyari hai jaan duniya mein

jaan se baDh ke jaan-e-jaan tu hai

tamīz-e-dair-o-ka.aba hai na fikr-e-dīn-o-duniyā hai

ye rind-e-pāk-tīnat bhī tire allāh vaale haiñ

tamiz-e-dair-o-kaba hai na fikr-e-din-o-duniya hai

ye rind-e-pak-tinat bhi tere allah wale hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now