Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Haidar Ali Aatish's Photo'

Haidar Ali Aatish

1778 - 1847 | Lucknow, India

Contemporary of Mirza Ghalib, Aatish was one of the shining stars of 19th century Urdu Ghazal.

Contemporary of Mirza Ghalib, Aatish was one of the shining stars of 19th century Urdu Ghazal.

Sher of Haidar Ali Aatish

38.8K
Favorite

SORT BY

gul aate haiñ hastī meñ adam se hama-tan-gosh

bulbul ye naala nahīñ afsāna hai us

gul aate hain hasti mein adam se hama-tan-gosh

bulbul ka ye nala nahin afsana hai us ka

kuchh nazar aatā nahīñ us ke tasavvur ke sivā

hasrat-e-dīdār ne āñkhoñ ko andhā kar diyā

save visions of her, nothing comes to mind

the longing for her sight surely turned me blind

kuchh nazar aata nahin us ke tasawwur ke siwa

hasrat-e-didar ne aankhon ko andha kar diya

save visions of her, nothing comes to mind

the longing for her sight surely turned me blind

Thiik aa.ī tan pe apne qabā-e-barahnagī

baanī libās chhoTe hue baḌe hue

Thik aai tan pe apne qaba-e-barahnagi

bani libas chhoTe hue ya baDe hue

sivā.e rañj kuchh hāsil nahīñ hai is ḳharābe meñ

ġhanīmat jaan jo ārām ne koī dam paayā

siwae ranj kuchh hasil nahin hai is KHarabe mein

ghanimat jaan jo aaram tu ne koi dam paya

pā-ba-gil be-ḳhudī-e-shauq se maiñ rahtā thā

kūcha-e-yār meñ hālat mirī dīvār thī

pa-ba-gil be-KHudi-e-shauq se main rahta tha

kucha-e-yar mein haalat meri diwar ki thi

hamārā kāba-e-maqsūd terā tāq-e-abrū hai

tirī chashm-e-siyah ko ham ne āhu-e-haram paayā

hamara kaba-e-maqsud tera taq-e-abru hai

teri chashm-e-siyah ko hum ne aahu-e-haram paya

aap nāzuk kamar par bojh paḌtā hai bahut

baḌh chale haiñ had se gesū kuchh inheñ kam kījiye

aap ki nazuk kamar par bojh paDta hai bahut

baDh chale hain had se gesu kuchh inhen kam kijiye

duniyā o āḳhirat meñ talabgār haiñ tire

hāsil tujhe samajhte haiñ donoñ jahāñ meñ ham

duniya o aaKHirat mein talabgar hain tere

hasil tujhe samajhte hain donon jahan mein hum

adam se dahr meñ aanā kise gavārā thā

kashāñ kashāñ mujhe laa.ī hai aarzū terī

adam se dahr mein aana kise gawara tha

kashan kashan mujhe lai hai aarzu teri

kufr o islām kuchh qaid nahīñ ai 'ātish'

shaiḳh ho ki barhaman ho par insāñ hove

kufr o islam ki kuchh qaid nahin ai 'atish'

shaiKH ho ya ki barhaman ho par insan howe

jo dekhte tirī zanjīr-e-zulf aalam

asiir hone āzād aarzū karte

jo dekhte teri zanjir-e-zulf ka aalam

asir hone ki aazad aarzu karte

bandish-e-alfāz jaḌne se nagoñ ke kam nahīñ

shā.irī bhī kaam hai 'ātish' murassa-sāz

bandish-e-alfaz jaDne se nagon ke kam nahin

shairi bhi kaam hai 'atish' murassa-saz ka

aadmī kyā vo na samjhe jo suḳhan qadr ko

nutq ne haivāñ se musht-e-ḳhāk ko insāñ kiyā

aadmi kya wo na samjhe jo suKHan ki qadr ko

nutq ne haiwan se musht-e-KHak ko insan kiya

maiñ vo ġham-dost huuñ jab koī taaza ġham huā paidā

na niklā ek bhī mere sivā ummīd-vāroñ meñ

main wo gham-dost hun jab koi taza gham hua paida

na nikla ek bhi mere siwa ummid-waron mein

ye dil lagāne meñ maiñ ne mazā uThāyā hai

milā na dost to dushman se ittihād kiyā

ye dil lagane mein main ne maza uThaya hai

mila na dost to dushman se ittihad kiya

chhuT-puTā vaqt hai bahtā huā dariyā Thahrā

sub.h se shaam huī dil na hamārā Thahrā

chhuT-puTa waqt hai bahta hua dariya Thahra

subh se sham hui dil na hamara Thahra

dostoñ se is qadar sadme uThā.e jaan par

dil se dushman adāvat gila jaatā rahā

doston se is qadar sadme uThae jaan par

dil se dushman ki adawat ka gila jata raha

kūcha-e-yār meñ ho raushnī apne dam

ka.aba o dair kareñ gabr o musalmāñ ābād

kucha-e-yar mein ho raushni apne dam ki

kaba o dair karen gabr o musalman aabaad

vahshat-e-dil ne kiyā hai vo bayābāñ paidā

saikḌoñ kos nahīñ sūrat-e-insāñ paidā

wahshat-e-dil ne kiya hai wo bayaban paida

saikDon kos nahin surat-e-insan paida

ye aarzū thī tujhe gul ke rū-ba-rū karte

ham aur bulbul-e-betāb guftugū karte

ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte

hum aur bulbul-e-betab guftugu karte

bastiyāñ bastiyāñ haiñ gumbad-e-aflāk meñ

saikḌoñ farsañg majnūñ se bayābāñ rah gayā

bastiyan hi bastiyan hain gumbad-e-aflak mein

saikDon farsang majnun se bayaban rah gaya

jo ālā-zarf hote haiñ hamesha jhuk ke milte haiñ

surāhī sar-nigūñ ho kar bharā kartī hai paimāna

jo aala-zarf hote hain hamesha jhuk ke milte hain

surahi sar-nigun ho kar bhara karti hai paimana

aisī ūñchī bhī to dīvār nahīñ ghar tire

raat añdherī koī āvegī na barsāt meñ kyā

aisi unchi bhi to diwar nahin ghar ki tere

raat andheri koi aawegi na barsat mein kya

ai sanam jis ne tujhe chāñd sūrat hai

usī allāh ne mujh ko bhī mohabbat hai

ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai

usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai

payām-bar na mayassar huā to ḳhuub huā

zabān-e-ġhair se kyā sharh-e-ārzū karte

payam-bar na mayassar hua to KHub hua

zaban-e-ghair se kya sharh-e-arzu karte

ajab terī hai ai mahbūb sūrat

nazar se gir ga.e sab ḳhūbsūrat

ajab teri hai ai mahbub surat

nazar se gir gae sab KHubsurat

ātish-e-mast jo mil jaa.e to pūchhūñ us se

ne kaifiyyat uThā.ī hai ḳharābāt meñ kyā

aatish-e-mast jo mil jae to puchhun us se

tu ne kaifiyyat uThai hai KHarabaat mein kya

na paak hogā kabhī husn o ishq jhagḌā

vo qissa hai ye ki jis koī gavāh nahīñ

na pak hoga kabhi husn o ishq ka jhagDa

wo qissa hai ye ki jis ka koi gawah nahin

us balā-e-jāñ se 'ātish' dekhiye kyūñkar bane

dil sivā shīshe se nāzuk dil se nāzuk ḳhū-e-dost

us bala-e-jaan se 'atish' dekhiye kyunkar bane

dil siwa shishe se nazuk dil se nazuk KHu-e-dost

mehñdī lagāne jo ḳhayāl aayā aap ko

sūkhe hue daraḳht hinā ke hare hue

mehndi lagane ka jo KHayal aaya aap ko

sukhe hue daraKHt hina ke hare hue

kisī mahram-e-āb-e-ravāñ yaad aa.ī

habāb ke jo barābar kabhī habāb aayā

kisi ki mahram-e-ab-e-rawan ki yaad aai

habab ke jo barabar kabhi habab aaya

koī but-ḳhāne ko jaatā hai koī ka.abe ko

phir rahe gabr o musalmāñ haiñ tirī ghaat meñ kyā

koi but-KHane ko jata hai koi kabe ko

phir rahe gabr o musalman hain teri ghat mein kya

ḳhudā darāz kare umr charḳh-e-nīlī

ye bekasoñ ke mazāroñ shāmiyāna hai

KHuda daraaz kare umr charKH-e-nili ki

ye bekason ke mazaron ka shamiyana hai

ba.ad farhād ke phir koh-kanī maiñ ne

ba.ad majnūñ ke kiyā maiñ ne bayābāñ ābād

baad farhad ke phir koh-kani main ne ki

baad majnun ke kiya main ne bayaban aabaad

libās-e-ka.aba hāsil kiyā sharaf us ne

jo kū-e-yār meñ kaalī koī ghaTā aa.ī

libas-e-kaba ka hasil kiya sharaf us ne

jo ku-e-yar mein kali koi ghaTa aai

kaun se din haath meñ aayā mire dāmān-e-yār

kab zamīn-o-āsmāñ fāsla jaatā rahā

kaun se din hath mein aaya mere daman-e-yar

kab zamin-o-asman ka fasla jata raha

yaar ko maiñ ne mujhe yaar ne sone na diyā

raat bhar tāla-e-bedār ne sone na diyā

yar ko main ne mujhe yar ne sone na diya

raat bhar tala-e-bedar ne sone na diya

qaid-e-maz.hab giraftārī se chhuT jaatā hai

ho na dīvāna to hai aql se insāñ ḳhālī

qaid-e-mazhab ki giraftari se chhuT jata hai

ho na diwana to hai aql se insan KHali

qad meñ to kar chukā thā vo ahmaq barābarī

majbūr sarv ko tirī raftār ne kiyā

qad mein to kar chuka tha wo ahmaq barabari

majbur sarw ko teri raftar ne kiya

shīrīñ ke shefta hue parvez o kohkan

shā.er huuñ maiñ ye kahtā huuñ mazmūn laḌ gayā

shirin ke shefta hue parwez o kohkan

shaer hun main ye kahta hun mazmun laD gaya

har shab shab-e-barāt hai har roz roz-e-īd

sotā huuñ haath gardan-e-mīnā meñ Daal ke

each night is a night of love, each day a day divine

I sleep with my arms entwined around a flask of wine

har shab shab-e-baraat hai har roz roz-e-id

sota hun hath gardan-e-mina mein Dal ke

each night is a night of love, each day a day divine

I sleep with my arms entwined around a flask of wine

mujh meñ aur sham.a meñ hotī thī ye bāteñ shab-e-hijr

aaj raat bacheñge to to sahar dekheñ ge

mujh mein aur shama mein hoti thi ye baaten shab-e-hijr

aaj ki raat bachenge to to sahar dekhen ge

uTh ga.ī haiñ sāmne se kaisī kaisī sūrateñ

roiye kis ke liye kis kis mātam kījiye

uTh gai hain samne se kaisi kaisi suraten

roiye kis ke liye kis kis ka matam kijiye

fasl-e-bahār aa.ī piyo sūfiyo sharāb

bas ho chukī namāz musallā uThā.iye

fasl-e-bahaar aai piyo sufiyo sharab

bas ho chuki namaz musalla uThaiye

koī to dosh se bār-e-safar utāregā

hazāroñ rāhzan ummīd-vār raah meñ hai

koi to dosh se bar-e-safar utarega

hazaron rahzan ummid-war rah mein hai

āsmān aur zamīñ hai tafāvut har-chand

ai sanam duur se chāñd mukhḌā dikhlā

aasman aur zamin ka hai tafawut har-chand

ai sanam dur hi se chand sa mukhDa dikhla

ai falak kuchh to asar husn-e-amal meñ hotā

shīsha ik roz to vaa.iz ke baġhal meñ hotā

ai falak kuchh to asar husn-e-amal mein hota

shisha ek roz to waiz ke baghal mein hota

tire abru-e-pevasta aalam meñ fasāna hai

kisī ustād shā.er ye bait-e-āshiqāna hai

tere abru-e-pewasta ka aalam mein fasana hai

kisi ustad shaer ka ye bait-e-ashiqana hai

na jab tak ham-pyāla ho koī maiñ mai nahīñ piitā

nahīñ mehmāñ to faaqa hai ḳhalīlullāh ke ghar meñ

na jab tak ham-pyala ho koi main mai nahin pita

nahin mehman to faqa hai KHalilullah ke ghar mein

lage muñh bhī chiḌhāne dete dete gāliyāñ sāhab

zabāñ bigḌī to bigḌī thī ḳhabar liije dahan bigḌā

lage munh bhi chiDhane dete dete galiyan sahab

zaban bigDi to bigDi thi KHabar lije dahan bigDa

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now