Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Chakbast Brij Narayan's Photo'

Chakbast Brij Narayan

1882 - 1926 | Lucknow, India

Leading early 20th century poet. Famous for his Nazm on Ramayan. Wrote oft-quoted sher 'Zindagi kya hai anasir men zahur-e-tartib…'.

Leading early 20th century poet. Famous for his Nazm on Ramayan. Wrote oft-quoted sher 'Zindagi kya hai anasir men zahur-e-tartib…'.

Sher of Chakbast Brij Narayan

11.9K
Favorite

SORT BY

manzil-e-ibrat hai duniyā ahl-e-duniyā shaad haiñ

aisī dil-jam.ī se hotī hai pareshānī mujhe

manzil-e-ibrat hai duniya ahl-e-duniya shad hain

aisi dil-jami se hoti hai pareshani mujhe

dard-e-dil pās-e-vafā jazba-e-īmāñ honā

ādmiyat hai yahī aur yahī insāñ honā

dard-e-dil pas-e-wafa jazba-e-iman hona

aadmiyat hai yahi aur yahi insan hona

nayā bismil huuñ maiñ vāqif nahīñ rasm-e-shahādat se

batā de ai zālim taḌapne adā kyā hai

naya bismil hun main waqif nahin rasm-e-shahadat se

bata de tu hi ai zalim taDapne ki ada kya hai

ḳhudā ne ilm baḳhshā hai adab ahbāb karte haiñ

yahī daulat hai merī aur yahī jāh-o-hasham merā

KHuda ne ilm baKHsha hai adab ahbab karte hain

yahi daulat hai meri aur yahi jah-o-hasham mera

ek sāġhar bhī ināyat na huā yaad rahe

sāqiyā jaate haiñ mahfil tirī ābād rahe

ek saghar bhi inayat na hua yaad rahe

saqiya jate hain mahfil teri aabaad rahe

charāġh qaum raushan hai arsh par dil ke

use havā ke farishte bujhā nahīñ sakte

charagh qaum ka raushan hai arsh par dil ke

use hawa ke farishte bujha nahin sakte

mazā hai ahd-e-javānī meñ sar paTakne

lahū meñ phir ye ravānī rahe rahe na rahe

maza hai ahd-e-jawani mein sar paTakne ka

lahu mein phir ye rawani rahe rahe na rahe

is ko nā-qadrī-e-ālam sila kahte haiñ

mar chuke ham to zamāne ne bahut yaad kiyā

is ko na-qadri-e-alam ka sila kahte hain

mar chuke hum to zamane ne bahut yaad kiya

ye kaisī bazm hai aur kaise us ke saaqī haiñ

sharāb haath meñ hai aur pilā nahīñ sakte

ye kaisi bazm hai aur kaise us ke saqi hain

sharab hath mein hai aur pila nahin sakte

adab ta.alīm jauhar hai zevar hai javānī

vahī shāgird haiñ jo ḳhidmat-e-ustād karte haiñ

adab talim ka jauhar hai zewar hai jawani ka

wahi shagird hain jo KHidmat-e-ustad karte hain

vatan ḳhaak se mar kar bhī ham ko uns baaqī hai

mazā dāmān-e-mādar hai is miTTī ke dāman meñ

watan ki KHak se mar kar bhi hum ko uns baqi hai

maza daman-e-madar ka hai is miTTi ke daman mein

hai mirā zabt-e-junūñ josh-e-junūñ se baḌh kar

nañg hai mere liye chāk-e-garebāñ honā

hai mera zabt-e-junun josh-e-junun se baDh kar

nang hai mere liye chaak-e-gareban hona

gunah-gāroñ meñ shāmil haiñ gunāhoñ se nahīñ vāqif

sazā ko jānte haiñ ham ḳhudā jaane ḳhatā kyā hai

gunah-garon mein shamil hain gunahon se nahin waqif

saza ko jaante hain hum KHuda jaane KHata kya hai

kiyā hai faash parda kufr-o-dīñ is qadar maiñ ne

ki dushman hai barhaman aur adū shaiḳh-e-haram merā

kiya hai fash parda kufr-o-din ka is qadar main ne

ki dushman hai barhaman aur adu shaiKH-e-haram mera

zabān-e-hāl se ye lucknow ḳhaak kahtī hai

miTāyā gardish-e-aflāk ne jāh-o-hasham merā

zaban-e-haal se ye lucknow ki KHak kahti hai

miTaya gardish-e-aflak ne jah-o-hasham mera

ik silsila havas hai insāñ zindagī

is ek musht-e-ḳhāk ko ġham do-jahāñ ke haiñ

ek silsila hawas ka hai insan ki zindagi

is ek musht-e-KHak ko gham do-jahan ke hain

agar dard-e-mohabbat se na insāñ āshnā hotā

na kuchh marne ġham hotā na jiine mazā hotā

agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota

na kuchh marne ka gham hota na jine ka maza hota

azīzān-e-vatan ko ġhuncha o barg o samar jaanā

ḳhudā ko bāġhbāñ aur qaum ko ham ne shajar jaanā

azizan-e-watan ko ghuncha o barg o samar jaana

KHuda ko baghban aur qaum ko hum ne shajar jaana

zindagī kyā hai anāsir meñ zuhūr-e-tartīb

maut kyā hai inhīñ ajzā pareshāñ honā

zindagi kya hai anasir mein zuhur-e-tartib

maut kya hai inhin ajza ka pareshan hona

jo kahe to shikāyat zikr kam kar deñ

magar yaqīñ tire va.adoñ pe nahīñ sakte

jo tu kahe to shikayat ka zikr kam kar den

magar yaqin tere wadon pe la nahin sakte

lucknow meñ phir huī ārāsta bazm-e-suḳhan

baad muddat phir huā zauq-e-ġhazal-ḳhvānī mujhe

lucknow mein phir hui aarasta bazm-e-suKHan

baad muddat phir hua zauq-e-ghazal-KHwani mujhe

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now