Sher of Bekhud Dehlvi
mohabbat aur majnūñ ham to saudā is ko kahte haiñ
fidā lailā pe thā āñkhoñ kā andhā is ko kahte haiñ
mohabbat aur majnun hum to sauda is ko kahte hain
fida laila pe tha aankhon ka andha is ko kahte hain
dil churā kar le gayā thā koī shaḳhs
pūchhne se fā.eda, thā koī shaḳhs
dil chura kar le gaya tha koi shaKHs
puchhne se faeda, tha koi shaKHs
dushman ke ghar se chal ke dikhā do judā judā
ye bāñkpan kī chaal ye nāz-o-adā kī hai
dushman ke ghar se chal ke dikha do juda juda
ye bankpan ki chaal ye naz-o-ada ki hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nāma-bar ye to kahī baat pate kī tū ne
zikr us bazm meñ rahtā to hai akasr apnā
nama-bar ye to kahi baat pate ki tu ne
zikr us bazm mein rahta to hai akasr apna
dil huā jaan huī un kī bhalā kyā qīmat
aisī chīzoñ ke kahīñ daam diye jaate haiñ
dil hua jaan hui un ki bhala kya qimat
aisi chizon ke kahin dam diye jate hain
-
Tag : Dil
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum ko āshufta-mizājoñ kī ḳhabar se kyā kaam
tum sañvārā karo baiThe hue gesū apne
tum ko aashufta-mizajon ki KHabar se kya kaam
tum sanwara karo baiThe hue gesu apne
hameñ piine se matlab hai jagah kī qaid kyā 'beḳhud'
usī kā naam jannat rakh diyā botal jahāñ rakh dī
hamein pine se matlab hai jagah ki qaid kya 'beKHud'
usi ka nam jannat rakh diya botal jahan rakh di
dil vo kāfir hai ki mujh ko na diyā chiin kabhī
bevafā tū bhī use le ke pashemāñ hogā
dil wo kafir hai ki mujh ko na diya chin kabhi
bewafa tu bhi use le ke pasheman hoga
takiya haTtā nahīñ pahlū se ye kyā hai 'beḳhud'
koī botal to nahīñ tum ne chhupā rakkhī hai
takiya haTta nahin pahlu se ye kya hai 'beKHud'
koi botal to nahin tum ne chhupa rakkhi hai
baat vo kahiye ki jis baat ke sau pahlū hoñ
koī pahlū to rahe baat badalne ke liye
baat wo kahiye ki jis baat ke sau pahlu hon
koi pahlu to rahe baat badalne ke liye
dil vo kāfir hai ki mujh ko na diyā chain kabhī
bevafā tū bhī ise le ke pashemāñ hogā
dil wo kafir hai ki mujh ko na diya chain kabhi
bewafa tu bhi ise le ke pasheman hoga
kuchh tarah rindoñ ne dī kuchh mohtasib bhī dab gayā
chheḌ aapas meñ sar-e-bāzār ho kar rah ga.ī
kuchh tarah rindon ne di kuchh mohtasib bhi dab gaya
chheD aapas mein sar-e-bazar ho kar rah gai
sun ke saarī dāstān-e-rañj-o-ġham
kah diyā us ne ki phir ham kyā kareñ
sun ke sari dastan-e-ranj-o-gham
kah diya us ne ki phir hum kya karen
jhūTā jo kahā maiñ ne to sharmā ke vo bole
allāh bigāḌe na banī baat kisī kī
jhuTa jo kaha main ne to sharma ke wo bole
allah bigaDe na bani baat kisi ki
ab aap koī kaam sikhā dījiye ham ko
ma.alūm huā ishq ke qābil to nahīñ ham
ab aap koi kaam sikha dijiye hum ko
malum hua ishq ke qabil to nahin hum
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dī qasam vasl meñ us but ko ḳhudā kī to kahā
tujh ko aatā hai ḳhudā yaad hamāre hote
di qasam wasl mein us but ko KHuda ki to kaha
tujh ko aata hai KHuda yaad hamare hote
mahfil vahī makān vahī aadmī vahī
yā ham na.e haiñ yā tirī aadat badal ga.ī
mahfil wahi makan wahi aadmi wahi
ya hum nae hain ya teri aadat badal gai
maut aa rahī hai va.ade pe yā aa rahe ho tum
kam ho rahā hai dard dil-e-be-qarār kā
maut aa rahi hai wade pe ya aa rahe ho tum
kam ho raha hai dard dil-e-be-qarar ka
chalne kī nahīñ aaj koī ghaat kisī kī
sunñe ke nahīñ vasl meñ ham baat kisī kī
chalne ki nahin aaj koi ghat kisi ki
sunne ke nahin wasl mein hum baat kisi ki
dil to lete ho magar ye bhī rahe yaad tumheñ
jo hamārā na huā kab vo tumhārā hogā
dil to lete ho magar ye bhi rahe yaad tumhein
jo hamara na hua kab wo tumhaara hoga
savāl-e-vasl par kuchh soch kar us ne kahā mujh se
abhī va.ada to kar sakte nahīñ haiñ ham magar dekho
sawal-e-wasl par kuchh soch kar us ne kaha mujh se
abhi wada to kar sakte nahin hain hum magar dekho
adā.eñ dekhne baiThe ho kyā ā.īne meñ apnī
diyā hai jis ne tum jaise ko dil us kā jigar dekho
adaen dekhne baiThe ho kya aaine mein apni
diya hai jis ne tum jaise ko dil us ka jigar dekho
-
Tag : Ada
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
muñh meñ vaa.iz ke bhī bhar aatā hai paanī aksar
jab kabhī tazkira-e-jām-e-sharāb aatā hai
munh mein waiz ke bhi bhar aata hai pani aksar
jab kabhi tazkira-e-jam-e-sharab aata hai
dil mohabbat se bhar gayā 'beḳhud'
ab kisī par fidā nahīñ hotā
dil mohabbat se bhar gaya 'beKHud'
ab kisi par fida nahin hota
aap hoñ ham hoñ mai-e-nāb ho tanhā.ī ho
dil meñ rah rah ke ye armān chale aate haiñ
aap hon hum hon mai-e-nab ho tanhai ho
dil mein rah rah ke ye arman chale aate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raah meñ baiThā huuñ maiñ tum sañg-e-rah samjho mujhe
aadmī ban jā.ūñgā kuchh Thokareñ khāne ke ba.ad
rah mein baiTha hun main tum sang-e-rah samjho mujhe
aadmi ban jaunga kuchh Thokaren khane ke baad
aap ko rañj huā aap ke dushman ro.e
maiñ pashemān huā haal sunā kar apnā
aap ko ranj hua aap ke dushman roe
main pasheman hua haal suna kar apna
aap sharmā ke na farmā.eñ hameñ yaad nahīñ
ġhair kā zikr hai ye aap kī rūdād nahīñ
aap sharma ke na farmaen hamein yaad nahin
ghair ka zikr hai ye aap ki rudad nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
javāb soch ke vo dil meñ muskurāte haiñ
abhī zabān pe merī savāl bhī to na thā
jawab soch ke wo dil mein muskuraate hain
abhi zaban pe meri sawal bhi to na tha
riñd-mashrab koī 'beḳhud' sā na hogā vallāh
pī ke masjid hī meñ ye ḳhāna-ḳharāb aatā hai
rind-mashrab koi 'beKHud' sa na hoga wallah
pi ke masjid hi mein ye KHana-KHarab aata hai
-
Tag : Rind
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chashm-e-bad-dūr vo bhole bhī haiñ nādāñ bhī haiñ
zulm bhī mujh pe kabhī soch-samajh kar na huā
chashm-e-bad-dur wo bhole bhi hain nadan bhi hain
zulm bhi mujh pe kabhi soch-samajh kar na hua
aa.ina dekh kar vo ye samjhe
mil gayā husn-e-be-misāl hameñ
aaina dekh kar wo ye samjhe
mil gaya husn-e-be-misal hamein
saḳht-jāñ huuñ mujhe ik vaar se kyā hotā hai
aisī choTeñ koī do-chār to aane diije
saKHt-jaan hun mujhe ek war se kya hota hai
aisi choTen koi do-chaar to aane dije
na dekhe hoñge rind-e-lā-ubālī tum ne 'beḳhud' se
ki aise log ab āñkhoñ se ojhal hote jaate haiñ
na dekhe honge rind-e-la-ubaali tum ne 'beKHud' se
ki aise log ab aankhon se ojhal hote jate hain
-
Tag : Self-Praise
'beḳhud' zarūr raat ko so.e ho pī ke tum
ye to kaho namāz paḌhī yā qazā huī
'beKHud' zarur raat ko soe ho pi ke tum
ye to kaho namaz paDhi ya qaza hui
na dekhnā kabhī ā.īna bhuul kar dekho
tumhāre husn kā paidā javāb kar degā
na dekhna kabhi aaina bhul kar dekho
tumhaare husn ka paida jawab kar dega
dil meñ phir vasl ke armān chale aate haiñ
mere rūThe hue mehmān chale aate haiñ
dil mein phir wasl ke arman chale aate hain
mere ruThe hue mehman chale aate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'beḳhud' to mar miTe jo kahā us ne naaz se
ik sher aa gayā hai hameñ aap kā pasand
'beKHud' to mar miTe jo kaha us ne naz se
ek sher aa gaya hai hamein aap ka pasand
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye kah ke mere sāmne Taalā raqīb ko
mujh se kabhī kī jaan na pahchān jā.iye
ye kah ke mere samne Tala raqib ko
mujh se kabhi ki jaan na pahchan jaiye
vo kuchh muskurānā vo kuchh jheñp jaanā
javānī adā.eñ sikhātī haiñ kyā kyā
wo kuchh muskurana wo kuchh jhenp jaana
jawani adaen sikhati hain kya kya
tumhārī yaad merā dil ye donoñ chalte purze haiñ
jo in meñ se koī miTtā mujhe pahle miTā jaatā
tumhaari yaad mera dil ye donon chalte purze hain
jo in mein se koi miTta mujhe pahle miTa jata
baat karne kī shab-e-vasl ijāzat de do
mujh ko dam bhar ke liye ġhair kī qismat de do
baat karne ki shab-e-wasl ijazat de do
mujh ko dam bhar ke liye ghair ki qismat de do
-
Tag : Ijazat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tirī teġh kā laal kar dūñgā muñh
jo ye khelne mujh se aa.egī rañg
teri tegh ka lal kar dunga munh
jo ye khelne mujh se aaegi rang
tumhāre haath ḳhālī jeb ḳhālī zulf ḳhālī thī
na the tum chor dil ke lo idhar dekho ye kyā niklā
tumhaare hath KHali jeb KHali zulf KHali thi
na the tum chor dil ke lo idhar dekho ye kya nikla
is jabīn-e-araq-afshāñ pe na chuniye afshāñ
ye sitāre kahīñ mil jaa.eñ na sayyāroñ meñ
is jabin-e-araq-afshan pe na chuniye afshan
ye sitare kahin mil jaen na sayyaron mein
paḌhe jaao 'beḳhud' ġhazal par ġhazal
vo but ban ga.e haiñ sune jā.eñge
paDhe jao 'beKHud' ghazal par ghazal
wo but ban gae hain sune jaenge
jaadū hai yā tilism tumhārī zabān meñ
tum jhuuT kah rahe the mujhe e'tibār thā
jadu hai ya tilism tumhaari zaban mein
tum jhuT kah rahe the mujhe e'tibar tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apne jalve kā vo ḳhud aap tamāshā.ī hai
ā.īne us ne lagā rakkhe haiñ dīvāroñ meñ
apne jalwe ka wo KHud aap tamashai hai
aaine us ne laga rakkhe hain diwaron mein
hameñ islām se itnā ta'alluq hai abhī baaqī
butoñ se jab bigaḌtī hai ḳhudā ko yaad karte haiñ
hamein islam se itna ta'alluq hai abhi baqi
buton se jab bigaDti hai KHuda ko yaad karte hain
bole vo muskurā ke bahut iltijā ke ba.ad
jī to ye chāhtā hai tirī maan jā.iye
bole wo muskura ke bahut iltija ke baad
ji to ye chahta hai teri man jaiye
-
Tag : Ada
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download