Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aziz Nabeel's Photo'

Aziz Nabeel

1976 | Qatar

Popular poet based in Qatar

Popular poet based in Qatar

Sher of Aziz Nabeel

8.6K
Favorite

SORT BY

qalam hai haath meñ kirdār bhī mire bas meñ

agar maiñ chāhūñ kahānī badal bhī saktā huuñ

qalam hai hath mein kirdar bhi mere bas mein

agar main chahun kahani badal bhi sakta hun

bhed bharī āvāzoñ ik shor bharā hai siine meñ

khul kar saañs nahīñ lene shart hai goyā jiine meñ

bhed bhari aawazon ka ek shor bhara hai sine mein

khul kar sans nahin lene ki shart hai goya jine mein

bikhar rahī thī havāoñ meñ e.atibār raakh

aur intizār muTThī meñ zindagī kam thī

bikhar rahi thi hawaon mein eatibar ki rakh

aur intizar ki muTThi mein zindagi kam thi

bahkā to bahut bahkā sañbhlā to valī Thahrā

is chāk-garebāñ har rang nirālā thā

bahka to bahut bahka sanbhla to wali Thahra

is chaak-gareban ka har rang nirala tha

saañs letā huā har rang nazar aa.egā

tum kisī roz mire rang meñ aao to sahī

sans leta hua har rang nazar aaega

tum kisi roz mere rang mein aao to sahi

ḳhatm hone ko hai hukūmat-e-shab

ik na.ī sub.h sham.a-dān meñ hai

KHatm hone ko hai hukumat-e-shab

ek nai subh shama-dan mein hai

e'tibār-e-dostī rang huuñ

be-yaqīnī meñ utar jā.ūñgā maiñ

e'tibar-e-dosti ka rang hun

be-yaqini mein utar jaunga main

ajab rūThe hue logoñ se apnī āshnā.ī hai

na milne hamesha ik bahāna saath rakhte haiñ

ajab ruThe hue logon se apni aashnai hai

na milne ka hamesha ek bahana sath rakhte hain

maiñ niiñd kyā tire bāzār-e-shab meñ le aaya

phir is ke baad to ḳhvāboñ bhaav aur baḌhā

main nind kya tere bazar-e-shab mein le aaya

phir is ke baad to KHwabon ka bhaw aur baDha

jaane kitne sūrajoñ faiz hāsil hai use

us mukammal raushnī se jo milā raushan huā

jaane kitne surajon ka faiz hasil hai use

us mukammal raushni se jo mila raushan hua

vo ek raaz! jo muddat se raaz thā nahīñ

us ek raaz se parda uThā diyā gayā hai

wo ek raaz! jo muddat se raaz tha hi nahin

us ek raaz se parda uTha diya gaya hai

ḳhāmushī TūTegī āvāz patthar bhī to ho

jis qadar shor hai andar kabhī bāhar bhī to ho

KHamushi TuTegi aawaz ka patthar bhi to ho

jis qadar shor hai andar kabhi bahar bhi to ho

saikḌoñ rangoñ bārish ho chukegī us ke baad

itr meñ bhīgī huī shāmoñ manzar aa.egā

saikDon rangon ki barish ho chukegi us ke baad

itr mein bhigi hui shamon ka manzar aaega

ek jaise roz-o-shab dhuul hai a.asāb par

koī be-tartīb lamha merī yaksānī meñ rakh

ek jaise roz-o-shab ki dhul hai aasab par

koi be-tartib lamha meri yaksani mein rakh

bahtā huuñ maiñ dariyā ravānī se kahīñ duur

ik pyaas mujhe laa.ī thī paanī se kahīñ duur

bahta hun main dariya ki rawani se kahin dur

ek pyas mujhe lai thi pani se kahin dur

shām-e-ġham maiñ ne jo pūchhā mirā ġham-ḳhvār hai kaun

ik ġhazal 'mīr' ke dīvān se bāhar aa.ī

sham-e-gham main ne jo puchha mera gham-KHwar hai kaun

ek ghazal 'mir' ke diwan se bahar aai

ruuh ke vīrāñ tah-ḳhāne tak roz koī aa jaatā hai

tanhā.ī ke mausam vaalī ḳhālī rāh-guzāroñ se

ruh ke viran tah-KHane tak roz koi aa jata hai

tanhai ke mausam wali KHali rah-guzaron se

ham qāfile se bichhḌe hue haiñ magar 'nabīl'

ik rāsta alag se nikāle hue to haiñ

hum qafile se bichhDe hue hain magar 'nabil'

ek rasta alag se nikale hue to hain

ādatan maiñ kisī ehsās ke pīchhe lapkā

daf.atan ek ġhazal dasht-e-suḳhan se niklī

aadatan main kisi ehsas ke pichhe lapka

dafatan ek ghazal dasht-e-suKHan se nikli

ādatan suljhā rahā thā gutthiyāñ kal raat maiñ

dil pareshāñ thā bahut aur mas.ala koī na thā

aadatan suljha raha tha gutthiyan kal raat main

dil pareshan tha bahut aur masala koi na tha

maiñ dastaras se tumhārī nikal bhī saktā huuñ

ye soch lo ki maiñ rasta badal bhī saktā huuñ

TRANSLATION

From your grasp, I can even slip away,

Remember, I can even change my way.

Sagar Akbarabadi

main dastaras se tumhaari nikal bhi sakta hun

ye soch lo ki main rasta badal bhi sakta hun

TRANSLATION

From your grasp, I can even slip away,

Remember, I can even change my way.

Sagar Akbarabadi

jab jaal machhere ne sameTā hai alassub.h

TuuTā huā ik chāñd bhī tālāb se niklā

jab jal machhere ne sameTa hai alassubh

TuTa hua ek chand bhi talab se nikla

musāfiroñ se kaho apnī pyaas bāñdh rakheñ

safar ruuh meñ sahrā koī utar chukā hai

musafiron se kaho apni pyas bandh rakhen

safar ki ruh mein sahra koi utar chuka hai

qaid kar ke ghar ke andar apnī tanhā.ī ko maiñ

muskurātā gungunātā ghar se bāhar aa gayā

qaid kar ke ghar ke andar apni tanhai ko main

muskuraata gungunata ghar se bahar aa gaya

roz dastak koī detā hai siine meñ 'nabīl'

roz mujh meñ kisī āvāz ke par khulte haiñ

roz dastak si koi deta hai sine mein 'nabil'

roz mujh mein kisi aawaz ke par khulte hain

merī āvārgī ke qadam chuum kar

raqs kartī rahī rahguzar der tak

meri aawargi ke qadam chum kar

raqs karti rahi rahguzar der tak

us ke husn tamhīd haiñ saare mausam

maiñ use aaj bhī utnā hasīñ jāntā huuñ

us ke hi husn ki tamhid hain sare mausam

main use aaj bhi utna hi hasin jaanta hun

laa.e ga.e pahle to sar-e-dasht-e-ijāzat

maare ga.e phir vādī-e-inkār meñ ham log

lae gae pahle to sar-e-dasht-e-ijazat

mare gae phir wadi-e-inkar mein hum log

savāl thā ki justujū 'azīm hai ki aarzū

so yuuñ huā ki 'umr-bhar javāb likh rahe the ham

sawal tha ki justuju 'azim hai ki aarzu

so yun hua ki 'umr-bhar jawab likh rahe the hum

ka.ī āñkheñ mujh meñ jaag uThīñ ka.ī mausam mujh meñ aa nikle

mire ḳhvāb na.e karne ke liye mirī vahshat kam karne ke liye

kai aankhen mujh mein jag uThin kai mausam mujh mein aa nikle

mere KHwab nae karne ke liye meri wahshat kam karne ke liye

lahrāyā hai paanī dhanak-rang dupaTTa

barsāt ne ghanghor ghaTāoñ se nikal kar

lahraya hai pani ka dhanak-rang dupaTTa

barsat ne ghanghor ghaTaon se nikal kar

hameñ to apnī justujū bhī ḳhud se duur le ga.ī

tumhārī justujū to phir tumhārī justujū huī

hamein to apni justuju bhi KHud se dur le gai

tumhaari justuju to phir tumhaari justuju hui

shā.erī ishq ġham rizq kitābeñ ghar-bār

kitnī samtoñ meñ ba-yak-vaqt guzar hai merā

shaeri ishq gham rizq kitaben ghar-bar

kitni samton mein ba-yak-waqt guzar hai mera

chāñd taare ik diyā aur raat komal badan

sub.h-dam bikhre paḌe the chaar merī tarah

chand tare ek diya aur raat ka komal badan

subh-dam bikhre paDe the chaar su meri tarah

bujhī-bujhī ye bāteñ dhuāñ-dhuāñ lahja

kisī 'azāb meñ andar se jal rahe ho kyā

bujhi-bujhi si ye baaten dhuan-dhuan lahja

kisi 'azab mein andar se jal rahe ho kya

haath ḳhālī na the jab ghar se ravāna huā maiñ

sab ne jholī meñ mirī apnī zarūrat rakh

hath KHali na the jab ghar se rawana hua main

sab ne jholi mein meri apni zarurat rakh di

yahīñ kahīñ to chamaktī thī ik tilismī jhiil

yahīñ kahīñ to maiñ Duubā thā apne ḳhvāb ke saath

yahin kahin to chamakti thi ek tilismi jhil

yahin kahin to main Duba tha apne KHwab ke sath

charāġh thartharātī lau meñ har os qatre meñ har kiran meñ

tumhārī āñkheñ kahāñ nahīñ thiiñ tumhārā chehra kahāñ nahīñ thā

charagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein

tumhaari aankhen kahan nahin thin tumhaara chehra kahan nahin tha

jaan letā huuñ har ik chehre ke poshīda nuqūsh

tum samajhte ho ki maiñ kuchh bhī nahīñ jāntā huuñ

jaan leta hun har ek chehre ke poshida nuqush

tum samajhte ho ki main kuchh bhi nahin jaanta hun

guzar rahā huuñ kisī ḳhvāb ke ilāqe se

zamīñ sameTe hue āsmāñ uThā.e hue

guzar raha hun kisi KHwab ke ilaqe se

zamin sameTe hue aasman uThae hue

usī chashm-e-kushāda meñ rang bante haiñ

usī pe ḳhatm hai qāmat bhī mah-jabīnī bhī

usi ki chashm-e-kushada mein rang bante hain

usi pe KHatm hai qamat bhi mah-jabini bhi

ek taḳhtī amn ke paiġhām

Taañg diije ūñche mīnāroñ ke beach

ek taKHti amn ke paigham ki

Tang dije unche minaron ke beach

dhuup TuuTī huī taḳhtī pe bārish ne likhā

ghar ke andar baiTh kar mausam andāza na kar

dhup ki TuTi hui taKHti pe barish ne likha

ghar ke andar baiTh kar mausam ka andaza na kar

yūñhī vo bhī pūchhtā hai tum kaise ho kis haal meñ ho

yūñhī maiñ bhī kah detā huuñ sab kuchh achchhā chaltā hai

yunhi wo bhi puchhta hai tum kaise ho kis haal mein ho

yunhi main bhi kah deta hun sab kuchh achchha chalta hai

na jaane kaisī mahrūmī pas-e-raftār chaltī hai

hamesha mere aage aage ik dīvār chaltī hai

na jaane kaisi mahrumi pas-e-raftar chalti hai

hamesha mere aage aage ek diwar chalti hai

vo rahā thā to rokā nahīñ use tum ne

vo chukā hai to ab haath mal rahe ho kyā

wo ja raha tha to roka nahin use tum ne

wo ja chuka hai to ab hath mal rahe ho kya

tum ne āvāz ko zanjīr se kasnā chāhā

dekh lo ho ga.e ab haath tumhāre zaḳhmī

tum ne aawaz ko zanjir se kasna chaha

dekh lo ho gae ab hath tumhaare zaKHmi

ye kis ke lams bārish meñ rang rang huuñ maiñ

ye kaun mujh se guzartā hai āb-o-tāb ke saath

ye kis ke lams ki barish mein rang rang hun main

ye kaun mujh se guzarta hai aab-o-tab ke sath

mirā tarīqa zarā muḳhtalif hai sūraj se

jahāñ pe Duubā vahīñ se ubharne vaalā huuñ

mera tariqa zara muKHtalif hai suraj se

jahan pe Duba wahin se ubharne wala hun

tumhārā saath agar ho to joḌ saktā huuñ

vo silsila jo sar-e-dāstān TuuT gayā

tumhaara sath agar ho to joD sakta hun

wo silsila jo sar-e-dastan TuT gaya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now