Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Arzoo Lakhnavi's Photo'

Arzoo Lakhnavi

1873 - 1951 | Karachi, Pakistan

One of the leading pre-modern poets at lucknow, contemporary of Jigar Moradabadi.

One of the leading pre-modern poets at lucknow, contemporary of Jigar Moradabadi.

Sher of Arzoo Lakhnavi

31.7K
Favorite

SORT BY

ye gul khil rahā hai vo murjhā rahā hai

asar do tarah ke havā ek hai

ye gul khil raha hai wo murjha raha hai

asar do tarah ke hawa ek hi hai

hai mohabbat aisī bañdhī girah jo na ek haath se khul sake

koī ahd toḌe kare daġhā mirā farz hai ki vafā karūñ

hai mohabbat aisi bandhi girah jo na ek hath se khul sake

koi ahd toDe kare dagha mera farz hai ki wafa karun

ḳhizāñ bhes banā kar bahār ne maarā

mujhe do-rañgī-e-lail-o-nahār ne maarā

KHizan ka bhes bana kar bahaar ne mara

mujhe do-rangi-e-lail-o-nahaar ne mara

kis kaam aisī sachchā.ī jo toḌ de ummīdeñ dil

thoḌī tasallī ho to ga.ī maanā ki vo bol ke jhuuT gayā

kis kaam ki aisi sachchai jo toD de ummiden dil ki

thoDi si tasalli ho to gai mana ki wo bol ke jhuT gaya

maḳharab-e-kār huī josh meñ ḳhud ujlat-e-kār

pīchhe haT jā.egī manzil mujhe ma.alūm na thā

maKHarab-e-kar hui josh mein KHud ujlat-e-kar

pichhe haT jaegi manzil mujhe malum na tha

ek dil patthar bane aur ek dil ban jaa.e mom

āḳhir itnā farq kyuuñ taqsīm-e-āb-o-gil meñ hai

ek dil patthar bane aur ek dil ban jae mom

aaKHir itna farq kyun taqsim-e-ab-o-gil mein hai

vahshat ham apnī ba.ad-e-fanā chhoḌ jaa.eñ

ab tum phiroge chaak garebāñ kiye hue

wahshat hum apni baad-e-fana chhoD jaen

ab tum phiroge chaak gareban kiye hue

rokā thā dam bhar lahrātā aañsū

aa aa gayā hai dāñtoñ pasīna

roka tha dam bhar lahraata aansu

aa aa gaya hai danton pasina

bholī bātoñ pe terī dil ko yaqīñ

pahle aatā thā ab nahīñ aatā

bholi baaton pe teri dil ko yaqin

pahle aata tha ab nahin aata

jo dil rakhte haiñ siine meñ vo kāfir ho nahīñ sakte

mohabbat diin hotī hai vafā īmān hotī hai

jo dil rakhte hain sine mein wo kafir ho nahin sakte

mohabbat din hoti hai wafa iman hoti hai

apnī apnī gardish-e-raftār puurī kar to leñ

do sitāre phir kisī din ek ho jā.eñge

apni apni gardish-e-raftar puri kar to len

do sitare phir kisi din ek ja ho jaenge

ḳhālī na andalīb soz-e-nafas gayā

vo chalī ki rañg guloñ jhulas gayā

KHali na andalib ka soz-e-nafas gaya

wo lu chali ki rang gulon ka jhulas gaya

jis qadar nafrat baḌhā.ī utnī qurbat baḌhī

ab jo mahfil meñ nahīñ hai vo tumhāre dil meñ hai

jis qadar nafrat baDhai utni hi qurbat baDhi

ab jo mahfil mein nahin hai wo tumhaare dil mein hai

jitne husn-ābād meñ pahoñche hosh-o-ḳhirad kho kar pahoñche

maal bhī to utne nahīñ ab jitnā kuchh mahsūl paḌā

jitne husn-abaad mein pahonche hosh-o-KHirad kho kar pahonche

mal bhi to utne ka nahin ab jitna kuchh mahsul paDa

dost ne dil ko toḌ ke naqsh-e-vafā miTā diyā

samjhe the ham jise ḳhalīl ka.aba usī ne Dhā diyā

dost ne dil ko toD ke naqsh-e-wafa miTa diya

samjhe the hum jise KHalil kaba usi ne Dha diya

daf.atan tark-e-ta.alluq meñ bhī rusvā.ī hai

uljhe dāman ko chhuḌāte nahīñ jhaTkā de kar

dafatan tark-e-talluq mein bhi ruswai hai

uljhe daman ko chhuDate nahin jhaTka de kar

vafā tum se kareñge dukh saheñge naaz uThā.eñge

jise aatā hai dil denā use har kaam aatā hai

wafa tum se karenge dukh sahenge naz uThaenge

jise aata hai dil dena use har kaam aata hai

do tund havāoñ par buniyād hai tūfāñ

tum na hasīñ hote meñ na javāñ hotā

do tund hawaon par buniyaad hai tufan ki

ya tum na hasin hote ya mein na jawan hota

ye zorā-zorī ishq thī fitrat jis ne badal Daalī

jaltā huā dil ho kar paanī aañsū ban jaanā kyā jaane

ye zora-zori ishq ki thi fitrat hi jis ne badal Dali

jalta hua dil ho kar pani aansu ban jaana kya jaane

allāh allāh husn ye parda-dārī dekhiye

bhed jis ne kholnā chāhā vo dīvāna huā

allah allah husn ki ye parda-dari dekhiye

bhed jis ne kholna chaha wo diwana hua

siine meñ zabt-e-ġham se chhālā ubhar rahā hai

sho.ale ko band kar ke paanī banā rahe haiñ

sine mein zabt-e-gham se chhaala ubhar raha hai

shoale ko band kar ke pani bana rahe hain

phail ga.ī bāloñ meñ sapedī chauñk zarā karvaT to badal

shaam se ġhāfil sone vaale dekh to kitnī raat rahī

phail gai baalon mein sapedi chaunk zara karwaT to badal

sham se ghafil sone wale dekh to kitni raat rahi

lālach bharī mohabbat nazroñ se gir na jaa.e

bad-e'tiqād dil jhūTī namāz ho kar

lalach bhari mohabbat nazron se gir na jae

bad-e'tiqad dil ki jhuTi namaz ho kar

hamārī nākāmī-e-vafā ne zamāne khol haiñ āñkheñ

charāġh kab bujhā paḌā hai magar añdherā kahīñ nahīñ hai

hamari nakaami-e-wafa ne zamane ki khol di hain aankhen

charagh kab ka bujha paDa hai magar andhera kahin nahin hai

nigāheñ is qadar qātil ki uff uff

adā.eñ is qadar pyārī ki tauba

nigahen is qadar qatil ki uff uff

adaen is qadar pyari ki tauba

ḳhamoshī merī ma.anī-ḳhez thī ai aarzū kitnī

ki jis ne jaisā chāhā vaisā afsāna banā Daalā

KHamoshi meri mani-KHez thi ai aarzu kitni

ki jis ne jaisa chaha waisa afsana bana Dala

fazā mahdūd kab hai ai dil-e-vahshī falak kaisā

nilāhaT hai nazar dekhte haiñ jo nigāhoñ se

faza mahdud kab hai ai dil-e-wahshi falak kaisa

nilahaT hai nazar ki dekhte hain jo nigahon se

dhāre se kabhī kashtī na haTī aur sīdhī ghaaT par aa pahuñchī

sab bahte hue dariyāoñ ke kyā do kināre hote haiñ

dhaare se kabhi kashti na haTi aur sidhi ghaT par aa pahunchi

sab bahte hue dariyaon ke kya do hi kinare hote hain

chaTkī jo kalī koyal kuukī ulfat kahānī ḳhatm huī

kyā kis ne kahī kyā ne sunī ye baat zamāna kyā jaane

chaTki jo kali koyal kuki ulfat ki kahani KHatm hui

kya kis ne kahi kya tu ne suni ye baat zamana kya jaane

haath se kis ne sāġhar paTkā mausam be-kaifī par

itnā barsā TuuT ke bādal Duub chalā mai-ḳhāna bhī

hath se kis ne saghar paTka mausam ki be-kaifi par

itna barsa TuT ke baadal Dub chala mai-KHana bhi

kuchh kahte kahte ishāroñ meñ sharmā ke kisī rah jaanā

vo merā samajh kar kuchh kuchh jo kahnā na thā sab kah jaanā

kuchh kahte kahte ishaaron mein sharma ke kisi ka rah jaana

wo mera samajh kar kuchh ka kuchh jo kahna na tha sab kah jaana

husn o ishq laag meñ aksar chheḌ udhar se hotī hai

sham.a sho.ala jab lahrā.ī uḌ ke chalā parvāna bhī

husn o ishq ki lag mein aksar chheD udhar se hoti hai

shama ki shoala jab lahrai uD ke chala parwana bhi

javāb dene ke badle vo shakl dekhte haiñ

ye kyā huā mere chehre ko arz-e-hāl ke ba.ad

jawab dene ke badle wo shakl dekhte hain

ye kya hua mere chehre ko arz-e-haal ke baad

ham ko itnā bhī rihā.ī ḳhushī meñ nahīñ hosh

TuuTī zanjīr ki ḳhud paañv hamārā TuuTā

hum ko itna bhi rihai ki KHushi mein nahin hosh

TuTi zanjir ki KHud panw hamara TuTa

ḳhamosh jalne dil ke koī gavāh nahīñ

ki sho.ala surḳh nahīñ hai dhuāñ siyāh nahīñ

KHamosh jalne ka dil ke koi gawah nahin

ki shoala surKH nahin hai dhuan siyah nahin

halkā thā nadāmat se sarmāya ibādat

ik qatre meñ bah nikle tasbīh ke sau daane

halka tha nadamat se sarmaya ibaadat ka

ek qatre mein bah nikle tasbih ke sau dane

avval-e-shab vo bazm raunaq sham.a bhī thī parvāna bhī

raat ke āḳhir hote hote ḳhatm thā ye afsāna bhī

awwal-e-shab wo bazm ki raunaq shama bhi thi parwana bhi

raat ke aaKHir hote hote KHatm tha ye afsana bhi

vo qissa-e-dard-āgīñ chup kar diyā thā jis ne

tum se na sunā jaatā mujh se na bayāñ hotā

wo qissa-e-dard-agin chup kar diya tha jis ne

tum se na suna jata mujh se na bayan hota

kam jo Thahre jafā se merī vafā

to ye pasañg hai tarāzū

kam jo Thahre jafa se meri wafa

to ye pasang hai taraazu ka

har saañs hai ik naġhma har naġhma hai mastāna

kis darja dukhe dil rañgīn hai afsāna

har sans hai ek naghma har naghma hai mastana

kis darja dukhe dil ka rangin hai afsana

har ik shaam kahtī hai phir sub.h hogī

añdhere meñ sūraj nazar aa rahā hai

har ek sham kahti hai phir subh hogi

andhere mein suraj nazar aa raha hai

dukh vo detā hai us pe hai ye haal

lene jaatā huuñ jab nahīñ aatā

dukh wo deta hai us pe hai ye haal

lene jata hun jab nahin aata

shauq chaḌhtī dhuup jaatā vaqt ghaTtī chhāñv hai

bā-vafā jo aaj haiñ kal be-vafā ho jā.eñge

shauq chaDhti dhup jata waqt ghaTti chhanw hai

ba-wafa jo aaj hain kal be-wafa ho jaenge

'ārzū' jaam lo jhijak kaisī

lo aur dahshat-e-gunāh ga.ī

'arzu' jam lo jhijak kaisi

pi lo aur dahshat-e-gunah gai

sukūn-e-dil nahīñ jis vaqt se us bazm meñ aa.e

zarā chiiz ghabrāhaT meñ kyā jaane kahāñ rakh

sukun-e-dil nahin jis waqt se us bazm mein aae

zara si chiz ghabrahaT mein kya jaane kahan rakh di

kah ke ye aur kuchh kahā na gayā

ki mujhe aap se shikāyat hai

kah ke ye aur kuchh kaha na gaya

ki mujhe aap se shikayat hai

jazb-e-nigāh-e-sho.abada-gar dekhte rahe

duniyā unhīñ thī vo jidhar dekhe rahe

jazb-e-nigah-e-shoabada-gar dekhte rahe

duniya unhin ki thi wo jidhar dekhe rahe

hasratoñ dil se qabza uTh gayā

ġhāsiboñ hukmrānī ḳhatm hai

hasraton ka dil se qabza uTh gaya

ghasibon ki hukmrani KHatm hai

is chheḌ meñ bante haiñ hoshyār bhī dīvāne

lahrāyā jahāñ sho.ala andhe hue parvāne

is chheD mein bante hain hoshyar bhi diwane

lahraya jahan shoala andhe hue parwane

mujhe rahne ko vo milā hai ghar ki jo āfatoñ hai rahguzar

tumheñ ḳhāksāroñ kyā ḳhabar kabhī nīche utre ho baam se

mujhe rahne ko wo mila hai ghar ki jo aafaton ki hai rahguzar

tumhein KHaksaron ki kya KHabar kabhi niche utre ho baam se

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now