ubaal
ye hāñDī ubalne lagī
ye miTTī kī hāñDī ubalne lagī hai
ye miTTī kī dīvānī hāñDī ubalne lagī hai
hazāroñ baras se mirī aatmā uuñgh meñ phañs ga.ī thī
jab insān do pattharoñ ko ragaḌ kar kuhan-sāl sūraj kī surḳh aatmā ko bulāne lagā thā
magar tez aañch aur bahut tez bū ne jhiñjhoḌā to ab aañkh phāḌe hue
dam-ba-ḳhud hai
ubalne lagīñ sabziyāñ phuul phal gosht dāleñ anaaj
abhī shorbe ke khadakne kī āvāz chhā.ī huī thī
abhī sāñp-chhatrī lagā.e hue bhaap niile ḳhalāoñ kī jānib ravāñ hai
vo jis kī ziyāfat kī tayyāriyāñ thiiñ kahāñ hai
mirī aatmā jaag kar chīḳhtī hai
ye hāñDī ubalne lagī hai
ye miTTī kī hāñDī ubalne lagī hai
ye miTTī kī dīvānī hāñDī ubalne lagī hai
ye hanDi ubalne lagi
ye miTTi ki hanDi ubalne lagi hai
ye miTTi ki diwani hanDi ubalne lagi hai
hazaron baras se meri aatma ungh mein phans gai thi
jab insan do pattharon ko ragaD kar kuhan-sal suraj ki surKH aatma ko bulane laga tha
magar tez aanch aur bahut tez bu ne jhinjhoDa to ab aankh phaDe hue
dam-ba-KHud hai
ubalne lagin sabziyan phul phal gosht dalen anaj
abhi shorbe ke khadakne ki aawaz chhai hui thi
abhi sanp-chhatri lagae hue bhap nile KHalaon ki jaanib rawan hai
wo jis ki ziyafat ki tayyariyan thin kahan hai
meri aatma jag kar chiKHti hai
ye hanDi ubalne lagi hai
ye miTTi ki hanDi ubalne lagi hai
ye miTTi ki diwani hanDi ubalne lagi hai
- Book : Intekhaab amiiq hanfii (Pg. 38)
- Author : shamiim hanfii
- Publication : urdu academy (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.