inqilabi aurat
ranbhūmī meñ laḌte laḌte maiñ ne kitne saal
ik din jal meñ chhāyā dekhī chaTTe ho ga.e baal
pāpaḌ jaisī huiiñ haDDiyāñ jalne lage haiñ daañt
jagah jagah jhurriyoñ se bhar ga.ī saare tan kī khaal
dekh ke apnā haal huā phir us ko bahut malāl
are maiñ buḌhiyā ho jā.ūñgī aayā na thā ḳhayāl
us ne sochā
gar phir se mil jaa.e javānī
jis ko likhte haiñ dīvānī
aur mastānī
jis meñ us ne inqalāb laane kī Thānī
vahī javānī
ab kī baar nahīñ dūñgī koī qurbānī
bas lā-haul paḌhūñgī aur nahīñ dūñgī koī qurbānī
dil ne kahā
kis soch meñ hai ai pāgal buḌhiyā
kahāñ javānī
ya.anī us ko guzre ab tak kaafī arsa biit chukā hai
ye ḳhayāl bhī der se aayā
bas ab ghar jā
buḌhiyā ne kab us kī maanī
hālāñki ab vo hai naanī
zāhir hai ab aur vo kar bhī kyā saktī thī
āsmān par lekin taare āñkh-micholī khel rahe the
raat ke panchhī bol rahe the
aur kahte the
ye shāyad us kī aadat hai
yā shāyad us kī fitrat hai
ranbhumi mein laDte laDte main ne kitne sal
ek din jal mein chhaya dekhi chaTTe ho gae baal
papaD jaisi huin haDDiyan jalne lage hain dant
jagah jagah jhurriyon se bhar gai sare tan ki khaal
dekh ke apna haal hua phir us ko bahut malal
are main buDhiya ho jaungi aaya na tha KHayal
us ne socha
gar phir se mil jae jawani
jis ko likhte hain diwani
aur mastani
jis mein us ne inqalab lane ki Thani
wahi jawani
ab ki bar nahin dungi koi qurbani
bas la-haul paDhungi aur nahin dungi koi qurbani
dil ne kaha
kis soch mein hai ai pagal buDhiya
kahan jawani
yani us ko guzre ab tak kafi arsa bit chuka hai
ye KHayal bhi der se aaya
bas ab ghar ja
buDhiya ne kab us ki mani
haalanki ab wo hai nani
zahir hai ab aur wo kar bhi kya sakti thi
aasman par lekin tare aankh-micholi khel rahe the
raat ke panchhi bol rahe the
aur kahte the
ye shayad us ki aadat hai
ya shayad us ki fitrat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.