ek laDka
dayār-e-sharq kī ābādiyoñ ke ūñche Tīloñ par
kabhī aamoñ ke bāġhoñ meñ kabhī khetoñ kī meñDoñ par
kabhī jhīloñ ke paanī meñ kabhī bastī kī galiyoñ meñ
kabhī kuchh niim uryāñ kam-sinoñ kī rañg-raliyoñ meñ
sahar-dam jhuTpuTe ke vaqt rātoñ ke añdhere meñ
kabhī meloñ meñ nāTak-Toliyoñ meñ un ke Dere meñ
ta.āqub meñ kabhī gum titliyoñ ke suunī rāhoñ meñ
kabhī nanhe parindoñ kī nahufta ḳhvāb-gāhoñ meñ
barhana paañv jaltī ret yaḳh-basta havāoñ meñ
gurezāñ bastiyoñ se madrasoñ se ḳhānqāhoñ meñ
kabhī ham-sin hasīnoñ meñ bahut ḳhush-kām o dil-rafta
kabhī pechāñ bagūla saañ kabhī jyuuñ chashm-e-ḳhūñ-basta
havā meñ tairtā ḳhvāboñ meñ bādal kī tarah uḌtā
parindoñ kī tarah shāḳhoñ meñ chhup kar jhūltā muḌtā
mujhe ik laḌkā āvāra-manush āzād sailānī
mujhe ik laḌkā jaise tund chashmoñ kā ravāñ paanī
nazar aatā hai yuuñ lagtā hai jaise ye balā-e-jāñ
mirā ham-zād hai har gaam par har moḌ par jaulāñ
ise ham-rāh paatā huuñ ye saa.e kī tarah merā
ta.āqub kar rahā hai jaise maiñ mafrūr mulzim huuñ
ye mujh se pūchhtā hai aḳhtar-ul-īmān tum hī ho
ḳhudā-e-izz-o-jal kī nematoñ kā mo'tarif huuñ maiñ
mujhe iqrār hai us ne zamīñ ko aise phailāyā
ki jaise bistar-e-kam-ḳhvāb ho dībā-o-maḳhmal ho
mujhe iqrār hai ye ḳhema-e-aflāk kā saaya
usī kī baḳhshisheñ haiñ us ne sūraj chāñd tāroñ ko
fazāoñ meñ sañvārā ik had-e-fāsil muqarrar kī
chaTāneñ chiir kar dariyā nikāle ḳhāk-e-asfal se
mirī taḳhlīq kī mujh ko jahāñ kī pāsbānī dī
samundar motiyoñ mūñgoñ se kāneñ la.al-o-gauhar se
havā.eñ mast-kun ḳhushbuoñ se ma.amūr kar dī haiñ
vo hākim qādir-e-mutlaq hai yaktā aur daanā hai
añdhere ko ujāle se judā kartā hai ḳhud ko maiñ
agar pahchāntā huuñ us kī rahmat aur saḳhāvat hai
usī ne khusravī dī hai la.īmoñ ko mujhe nakbat
usī ne yāva-goyoñ ko mirā ḳhāzin banāyā hai
tavañgar hirzah-kāroñ ko kiyā daryūza-gar mujh ko
magar jab jab kisī ke sāmne dāman pasārā hai
ye laḌkā pūchhtā hai aḳhtar-ul-īmān tum hī ho
ma.īshat dūsroñ ke haath meñ hai mere qabze meñ
juz ik zehn-e-rasā kuchh bhī nahīñ phir bhī magar mujh ko
ḳharosh-e-umr ke itmām tak ik baar uThānā hai
anāsir muntashir ho jaane nabzeñ Duub jaane tak
navā-e-sub.h ho yā nāla-e-shab kuchh bhī gaanā hai
zafar-mandoñ ke aage rizq kī tahsīl kī ḳhātir
kabhī apnā hī naġhma un kā kah kar muskurānā hai
vo ḳhāma-sozī shab-bedāriyoñ kā jo natīja ho
use ik khoTe sikke kī tarah sab ko dikhānā hai
kabhī jab sochtā huuñ apne baare meñ to kahtā huuñ
ki tū ik aabla hai jis ko āḳhir phuuT jaanā hai
ġharaz gardāñ huuñ bād-e-sub.h-gāhī kī tarah lekin
sahar kī aarzū meñ shab kā dāman thāmtā huuñ jab
ye laḌkā pūchhtā hai aḳhtar-ul-īmān tum hī ho
ye laḌkā pūchhtā hai jab to maiñ jhallā ke kahtā huuñ
vo āshufta-mizāj andoh-parvar iztirāb-āsā
jise tum pūchhte rahte ho kab kā mar chukā zālim
use ḳhud apne hāthoñ se kafan de kar fareboñ kā
isī kī ārzūoñ kī lahad meñ pheñk aayā huuñ
maiñ us laḌke se kahtā huuñ vo sho.ala mar chukā jis ne
kabhī chāhā thā ik ḳhāshāk-e-ālam phūñk Dālegā
ye laḌkā muskurātā hai ye āhista se kahtā hai
ye kizb-o-iftirā hai jhuuT hai dekho maiñ zinda huuñ
dayar-e-sharq ki aabaadiyon ke unche Tilon par
kabhi aamon ke baghon mein kabhi kheton ki meinDon par
kabhi jhilon ke pani mein kabhi basti ki galiyon mein
kabhi kuchh nim uryan kam-sinon ki rang-raliyon mein
sahar-dam jhuTpuTe ke waqt raaton ke andhere mein
kabhi melon mein naTak-Toliyon mein un ke Dere mein
taaqub mein kabhi gum titliyon ke suni rahon mein
kabhi nanhe parindon ki nahufta KHwab-gahon mein
barhana panw jalti ret yaKH-basta hawaon mein
gurezan bastiyon se madrason se KHanqahon mein
kabhi ham-sin hasinon mein bahut KHush-kaam o dil-rafta
kabhi pechan bagula san kabhi jyun chashm-e-KHun-basta
hawa mein tairta KHwabon mein baadal ki tarah uDta
parindon ki tarah shaKHon mein chhup kar jhulta muDta
mujhe ek laDka aawara-manush aazad sailani
mujhe ek laDka jaise tund chashmon ka rawan pani
nazar aata hai yun lagta hai jaise ye bala-e-jaan
mera ham-zad hai har gam par har moD par jaulan
ise ham-rah pata hun ye sae ki tarah mera
taaqub kar raha hai jaise main mafrur mulzim hun
ye mujh se puchhta hai aKHtar-ul-iman tum hi ho
KHuda-e-izz-o-jal ki nematon ka mo'tarif hun main
mujhe iqrar hai us ne zamin ko aise phailaya
ki jaise bistar-e-kam-KHwab ho diba-o-maKHmal ho
mujhe iqrar hai ye KHema-e-aflak ka saya
usi ki baKHshishen hain us ne suraj chand taron ko
fazaon mein sanwara ek had-e-fasil muqarrar ki
chaTanen chir kar dariya nikale KHak-e-asfal se
meri taKHliq ki mujh ko jahan ki pasbani di
samundar motiyon mungon se kanen lal-o-gauhar se
hawaen mast-kun KHushbuon se mamur kar di hain
wo hakim qadir-e-mutlaq hai yakta aur dana hai
andhere ko ujale se juda karta hai KHud ko main
agar pahchanta hun us ki rahmat aur saKHawat hai
usi ne khusrawi di hai laimon ko mujhe nakbat
usi ne yawa-goyon ko mera KHazin banaya hai
tawangar hirzah-karon ko kiya daryuza-gar mujh ko
magar jab jab kisi ke samne daman pasara hai
ye laDka puchhta hai aKHtar-ul-iman tum hi ho
maishat dusron ke hath mein hai mere qabze mein
juz ek zehn-e-rasa kuchh bhi nahin phir bhi magar mujh ko
KHarosh-e-umr ke itmam tak ek bar uThana hai
anasir muntashir ho jaane nabzen Dub jaane tak
nawa-e-subh ho ya nala-e-shab kuchh bhi gana hai
zafar-mandon ke aage rizq ki tahsil ki KHatir
kabhi apna hi naghma un ka kah kar muskurana hai
wo KHama-sozi shab-bedariyon ka jo natija ho
use ek khoTe sikke ki tarah sab ko dikhana hai
kabhi jab sochta hun apne bare mein to kahta hun
ki tu ek aabla hai jis ko aaKHir phuT jaana hai
gharaz gardan hun baad-e-subh-gahi ki tarah lekin
sahar ki aarzu mein shab ka daman thamta hun jab
ye laDka puchhta hai aKHtar-ul-iman tum hi ho
ye laDka puchhta hai jab to main jhalla ke kahta hun
wo aashufta-mizaj andoh-parwar iztirab-asa
jise tum puchhte rahte ho kab ka mar chuka zalim
use KHud apne hathon se kafan de kar farebon ka
isi ki aarzuon ki lahad mein phenk aaya hun
main us laDke se kahta hun wo shoala mar chuka jis ne
kabhi chaha tha ek KHashak-e-alam phunk Dalega
ye laDka muskuraata hai ye aahista se kahta hai
ye kizb-o-iftira hai jhuT hai dekho main zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.