urdu
maiñ urdu huuñ
mujhe ġhairoñ se kyā ḳhatra
kabhī dushman se hotā hī nahīñ ḳhatra kisī ko bhī
sabab tum bhī samajhte ho
ki dushman har ghaḌī har pal
muqābil hī rahā kartā hai dushman ke
muqābil se to maidānoñ meñ akasr jañg hotī hai
natīja jañg kā tum bhī samajhte ho
mahāz-e-jañg pur-ḳhatar hai nahīñ hotā
shikast-o-fat.h hotī hai
to phir ḳhatra kahāñ se hai
suno rūdād-e-ġham
dil thaam kar sunñā zarā logo
mujhe ḳhatra hai apnoñ se
mujhe ḳhatra hai shā.ir aur dānish-var adīboñ se
mujhe naqqād se ḳhatra muhaqqiq se mujhe ḳhatra
ye saare log vo haiñ jo ta.alluq se mire ab tak
zamīñ se arsh tak
da.ave to karte haiñ bulandī ke
muhāfiz ḳhud ko urdu kā kahā karte haiñ ye akasr
ye da.avā sab bajā lekin
koī pūchhe zarā un se
tumhāre pyāre bachchoñ meñ koī aisā bhī bachcha hai
ki jis ko aap ne urdu se bahra-var kiyā ab tak
agar koī ye pūchhegā
shikan māthe pe aa.egī nafī meñ sar jhukā.eñge
yahī qātil to haiñ mere
yahī to mere apne haiñ
unheñ se mujh ko ḳhatra hai
unheñ pahchān lo logo
unheñ pahchān lo logo
main urdu hun
mujhe ghairon se kya KHatra
kabhi dushman se hota hi nahin KHatra kisi ko bhi
sabab tum bhi samajhte ho
ki dushman har ghaDi har pal
muqabil hi raha karta hai dushman ke
muqabil se to maidanon mein akasr jang hoti hai
natija jang ka tum bhi samajhte ho
mahaz-e-jang pur-KHatar hai nahin hota
shikast-o-fath hoti hai
to phir KHatra kahan se hai
suno rudad-e-gham
dil tham kar sunna zara logo
mujhe KHatra hai apnon se
mujhe KHatra hai shair aur danish-war adibon se
mujhe naqqad se KHatra muhaqqiq se mujhe KHatra
ye sare log wo hain jo talluq se mere ab tak
zamin se arsh tak
dawe to karte hain bulandi ke
muhafiz KHud ko urdu ka kaha karte hain ye akasr
ye dawa sab baja lekin
koi puchhe zara un se
tumhaare pyare bachchon mein koi aisa bhi bachcha hai
ki jis ko aap ne urdu se bahra-war kiya ab tak
agar koi ye puchhega
shikan mathe pe aaegi nafi mein sar jhukaenge
yahi qatil to hain mere
yahi to mere apne hain
unhen se mujh ko KHatra hai
unhen pahchan lo logo
unhen pahchan lo logo
- Book : Gubar-e-shams (Pg. 227)
- Author : Shams Ramzi
- Publication : Urdu Tahzeeb, Delhi (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.