lucknow ki sair
Interesting Fact
(April, 1968)
chaar baaġh station dekho
shahr meñ ek nayā-pan dekho
sajī sajā.ī dulhan dekho
qadam qadam par fashion dekho
aao tumheñ lucknow dikhā.eñ
aur yahāñ kī sair karā.eñ
kitnā achchhā chiḌiyā ghar hai
sher hiran bhālū bandar hai
mor kabūtar aur tītar hai
andar murda ajā.ib ghar hai
aao tumheñ lucknow dikhā.eñ
aur yahāñ kī sair karā.eñ
hazrat ganj kī sair karā.eñ
qaisar baaġh kī laaT dikhā.eñ
aur amīnābād ghumā.eñ
shām-e-avadh rañgīn banā.eñ
aao tumheñ lucknow dikhā.eñ
aur yahāñ kī sair karā.eñ
ye puurī up kā dil hai
is meñ ek chhatar-manzil hai
art schōl lab-e-sāhil hai
nava dekhne ke qābil hai
aao tumheñ lucknow dikhā.eñ
aur yahāñ kī sair karā.eñ
chauk naḳhḳhās husain-ābād
golāganj nazīrābād
pyaar mohabbat meñ āzād
mard-o-zan shīrīñ farhād
aao tumheñ lucknow dikhā.eñ
aur yahāñ kī sair karā.eñ
aao shahd ismārak dikhā.eñ
jhanDe vaale park meñ jaa.eñ
belly-gaurd ko samjhā.eñ
medical collage dikhlā.eñ
aao tumheñ lucknow dikhā.eñ
aur yahāñ kī sair karā.eñ
ye sab shahroñ meñ nyārā hai
naam is kā kitnā pyārā hai
sab kī āñkhoñ kā taarā hai
amn-o-sukūñ kā gahvārā hai
aao tumheñ lucknow dikhā.eñ
aur yahāñ kī sair karā.eñ
chaar bagh station dekho
shahr mein ek naya-pan dekho
saji sajai dulhan dekho
qadam qadam par fashion dekho
aao tumhein lucknow dikhaen
aur yahan ki sair karaen
kitna achchha chiDiya ghar hai
sher hiran bhaalu bandar hai
mor kabutar aur titar hai
andar murda ajaib ghar hai
aao tumhein lucknow dikhaen
aur yahan ki sair karaen
hazrat ganj ki sair karaen
qaisar bagh ki laT dikhaen
aur aminabaad ghumaen
sham-e-awadh rangin banaen
aao tumhein lucknow dikhaen
aur yahan ki sair karaen
ye puri up ka dil hai
is mein ek chhatar-manzil hai
art school lab-e-sahil hai
nawa dekhne ke qabil hai
aao tumhein lucknow dikhaen
aur yahan ki sair karaen
chauk naKHKHas husain-abaad
golaganj nazirabaad
pyar mohabbat mein aazad
mard-o-zan shirin farhad
aao tumhein lucknow dikhaen
aur yahan ki sair karaen
aao shahd ismarak dikhaen
jhanDe wale park mein jaen
belly-gaurd ko samjhaen
medical collage dikhlaen
aao tumhein lucknow dikhaen
aur yahan ki sair karaen
ye sab shahron mein nyara hai
nam is ka kitna pyara hai
sab ki aankhon ka tara hai
amn-o-sukun ka gahwara hai
aao tumhein lucknow dikhaen
aur yahan ki sair karaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.