bachpan ka wo zamana
aatā hai yaad mujh ko bachpan kā vo zamāna
rahtā thā saath mere ḳhushiyoñ kā jab ḳhazāna
har roz ghar meñ milte umda lazīz khāne
be-mehnat-o-mashaqqat hāsil thā āb-o-dāna
bachchoñ ke saath rahnā ḳhushiyoñ ke giit gaanā
dil meñ na thī kudūrat thā sab se dostāna
mehñdī ke patte laanā aur piis kar lagānā
phir surḳh haath apne har ek ko dikhānā
āvāz DugDugī kī juuñ hī sunā.ī detī
us kī taraf lapaknā bachchoñ kā vālihāna
har saal pyāre abbū laate the ek bakrā
chāra use khilānā maidān meñ ghumānā
vo duur jā chukā hai aatā nahīñ palaT kar
bachpan kā vo zamāna lagtā hai ik fasāna
daadī ko maiñ ne ik din ye mashvara diyā thā
chehre kī jhurriyoñ ko āsān hai miTānā
chehre pe aap ke haiñ jo be-shumār shikneñ
aayā mirī samajh meñ un se najāt paanā
kapḌe kī saarī shikneñ miTtī haiñ istirī se
āsān sā amal hai ye istirī chalānā
ik garm istirī ko chehre pe aap phereñ
umda hai merā nusḳha hai shart āzmānā
ik roz vālida se jā kar kahā kitchen meñ
ab chhoḌiyegā ammī ye roTiyāñ pakānā
ik peḌ roTiyoñ kā dālān meñ lagā.eñ
us peḌ ko kaheñge roTī kā kārḳhāna
shāḳhoñ se taaza taaza phir roTiyāñ mileñgī
toḌeñge roTiyāñ ham khā.eñge ghar meñ khānā
kaisī ajiib bāteñ aatī thiiñ mere lab par
aaj un ko kah rahā huuñ bāteñ haiñ ahmaqāna
vo pyārī pyārī bāteñ ab yaad aa rahī haiñ
bachpan kā vo zamāna kyā ḳhvāb thā suhānā
aata hai yaad mujh ko bachpan ka wo zamana
rahta tha sath mere KHushiyon ka jab KHazana
har roz ghar mein milte umda laziz khane
be-mehnat-o-mashaqqat hasil tha aab-o-dana
bachchon ke sath rahna KHushiyon ke git gana
dil mein na thi kudurat tha sab se dostana
mehndi ke patte lana aur pis kar lagana
phir surKH hath apne har ek ko dikhana
aawaz DugDugi ki jun hi sunai deti
us ki taraf lapakna bachchon ka walihana
har sal pyare abbu late the ek bakra
chaara use khilana maidan mein ghumana
wo dur ja chuka hai aata nahin palaT kar
bachpan ka wo zamana lagta hai ek fasana
dadi ko main ne ek din ye mashwara diya tha
chehre ki jhurriyon ko aasan hai miTana
chehre pe aap ke hain jo be-shumar shiknen
aaya meri samajh mein un se najat pana
kapDe ki sari shiknen miTti hain istiri se
aasan sa amal hai ye istiri chalana
ek garm istiri ko chehre pe aap pheren
umda hai mera nusKHa hai shart aazmana
ek roz walida se ja kar kaha kitchen mein
ab chhoDiyega ammi ye roTiyan pakana
ek peD roTiyon ka dalan mein lagaen
us peD ko kahenge roTi ka karKHana
shaKHon se taza taza phir roTiyan milengi
toDenge roTiyan hum khaenge ghar mein khana
kaisi ajib baaten aati thin mere lab par
aaj un ko kah raha hun baaten hain ahmaqana
wo pyari pyari baaten ab yaad aa rahi hain
bachpan ka wo zamana kya KHwab tha suhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.