bachchon ki tauba
ham ne bakrī ke bachchoñ ko kamroñ meñ nachānā chhoḌ diyā
nārāz na ho ammī ham ne har shauq purānā chhoḌ diyā
daddy ke suiT pahan kar ham sofoñ par dance nahīñ karte
saare ghar kī buniyādoñ ko ab ham ne hilānā chhoḌ diyā
daadā abbā kā ab chashma bakre ko nahīñ pahnāte ham
naanā abbā kī laThiyā ab ham ne chhupānā chhoḌ diyā
bandar ko sehrā bāñdh ke ham dūlhā na banā.eñge ammī
ab ghūñghaT kaaḌh bandariyā ko Dolī meñ biThānā chhoḌ diyā
nadiyā ke gahre paanī meñ khaa.e na ka.ī din se ġhote
ghar hī meñ paḌe ab saḌte haiñ nadiyā pe nahānā chhoḌ diyā
ab sabr ke mīThe phal aaheñ bhar bhar kar khāte haiñ
mālan ko banā baiThe ḳhāla maalī ko rulānā chhoḌ diyā
ghar meñ baiThe sādhū ban kar ab ilm kī maalā japte haiñ
ḳhargoshoñ ke pīchhe jañgal meñ kuttoñ ko bhagāna chhoḌ diyā
pinjroñ meñ band jo rahtī thiiñ vo phir se uḌā deñ sab chiḌiyāñ
murġhoñ meñ sulh karāte haiñ murġhoñ ko laḌānā chhoḌ diyā
ab ham ne kabhī khānā khā kar kapḌoñ se haath nahīñ poñchhe
dekho ka.ī din se dhobī ne ronā chillānā chhoḌ diyā
har ek baġhāvat chhoḌī hai har ek sharārat ruḳhsat hai
ab ghar meñ farishte aate haiñ shaitān ne aanā chhoḌ diyā
ham se phir bhī nārāz ho kyoñ kyā tum sautelī ammī ho
apne in pyāre bachchoñ ko ab muñh bhī lagānā chhoḌ diyā
jin āñkhoñ meñ roz sharārat thī in āñkhoñ meñ aañsū ab dekho
in aap kī pyārī āñkhoñ ko ab ham ne rulānā chhoḌ diyā
hai ghar kī fazā sahmī sahmī ġhamgīn haiñ bachchoñ ke chehre
kab hañs ke kahūñgī ai bachcho kyoñ ham ko satānā chhoḌ diyā
hum ne bakri ke bachchon ko kamron mein nachana chhoD diya
naraaz na ho ammi hum ne har shauq purana chhoD diya
daddy ke suiT pahan kar hum sofon par dance nahin karte
sare ghar ki buniyaadon ko ab hum ne hilana chhoD diya
dada abba ka ab chashma bakre ko nahin pahnate hum
nana abba ki laThiya ab hum ne chhupana chhoD diya
bandar ko sehra bandh ke hum dulha na banaenge ammi
ab ghunghaT kaDh bandariya ko Doli mein biThana chhoD diya
nadiya ke gahre pani mein khae na kai din se ghote
ghar hi mein paDe ab saDte hain nadiya pe nahana chhoD diya
ab sabr ke miThe phal aahen bhar bhar kar khate hain
malan ko bana baiThe KHala mali ko rulana chhoD diya
ghar mein baiThe sadhu ban kar ab ilm ki mala japte hain
KHargoshon ke pichhe jangal mein kutton ko bhagana chhoD diya
pinjron mein band jo rahti thin wo phir se uDa den sab chiDiyan
murghon mein sulh karaate hain murghon ko laDana chhoD diya
ab hum ne kabhi khana kha kar kapDon se hath nahin ponchhe
dekho kai din se dhobi ne rona chillana chhoD diya
har ek baghawat chhoDi hai har ek shararat ruKHsat hai
ab ghar mein farishte aate hain shaitan ne aana chhoD diya
hum se phir bhi naraaz ho kyon kya tum sauteli ammi ho
apne in pyare bachchon ko ab munh bhi lagana chhoD diya
jin aankhon mein roz shararat thi in aankhon mein aansu ab dekho
in aap ki pyari aankhon ko ab hum ne rulana chhoD diya
hai ghar ki faza sahmi sahmi ghamgin hain bachchon ke chehre
kab hans ke kahungi ai bachcho kyon hum ko satana chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.