Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gautam-budh

Seemab Akbarabadi

gautam-budh

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    husn jab afsurda phūloñ tarah pāmāl thā

    jab mohabbat ġhalat duniyā meñ isti.māl thā

    be-ḳhudī ke naam par jab daur-e-jām-e-bāda thā

    jab taljallī-e-haqīqat se har ik dil saada thā

    ziist aur maut idrāk duniyā ko na thā

    zulm ehsās jab be-bāk duniyā ko na thā

    band āñkheñ kar ke is duniyā ke makrūhāt se

    ne hāsil ziyā-e-dil, tajalliyyāt se

    barf-zāroñ ko tire anfās ne garmā diyā

    tere istiġhnā ne taḳht-e-saltanat Thukrā diyā

    yaad terī aaj bhī hindustāñ meñ taaza hai

    chīn, jāpān aur tibbat tak tirā āvāza hai

    raushnī jis na hogī maañd vo mash.al hai

    sar-zamīn-e-hind irfānī-e-avval hai

    husn jab afsurda phulon ki tarah pamal tha

    jab mohabbat ka ghalat duniya mein istimal tha

    be-KHudi ke nam par jab daur-e-jam-e-baada tha

    jab taljalli-e-haqiqat se har ek dil sada tha

    zist ka aur maut ka idrak duniya ko na tha

    zulm ka ehsas jab be-bak duniya ko na tha

    band aankhen kar ke is duniya ke makruhat se

    tu ne hasil ki ziya-e-dil, tajalliyyat se

    barf-zaron ko tere anfas ne garma diya

    tere istighna ne taKHt-e-saltanat Thukra diya

    yaad teri aaj bhi hindustan mein taza hai

    chin, japan aur tibbat tak tera aawaza hai

    raushni jis ki na hogi mand wo mashal hai tu

    sar-zamin-e-hind ka irfani-e-awwal hai tu

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now