mahatma-gandhi
sunā rahā huuñ tumheñ dāstān gāñdhī kī
zamāne-bhar se nirālī hai shaan gāñdhī kī
rahe rahe na rahe is meñ jaan gāñdhī kī
na ruk sakī na rukegī zabān gāñdhī kī
yahī sabab hai jo vo dil se sab ko pyārā hai
vatan kā apne chamaktā huā sitārā hai
banā thā mast koī aur koī saudā.ī
har ek samt thī ġhaflat kī jab ghaTā chhā.ī
to us kī aql-e-rasā kaam vaqt par aa.ī
marīz-e-mulk hai mamnūn-e-chāra-farmā.ī
na.e ḳhayāl meñ ik ik kā dil asiir huā
udhar amiir huā aur udhar faqīr huā
jafā-o-jaur ne kī ḳhuub apnī barbādī
ḳharāb-hāl na dil raat kyuuñ huuñ fariyādī
banā diyā thā qafas kā burī tarah aadī
magar hai shukr milā ham ko dars-e-āzādī
zamāna kahtā hai gāñdhī mahātmā vo hai
bashar nahīñ hai haqīqat meñ devtā vo hai
jo dil meñ yaad hai to lab pe naam us kā hai
jo hai to zikr faqat sub.h-o-shām us kā hai
bhalā.ī sab kī ho jis se vo kaam us kā hai
jahāñ bhī jaao vahīñ ehtirām us kā hai
uThā.e sar koī kyā sar uThā nahīñ saktā
muqāble ke liye aage aa nahīñ saktā
kisī se us ko mohabbat kisī se ulfat hai
kisī ko us kī hai us ko kisī kī hasrat hai
vafā-o-lutf tarahhum kī ḳhaas aadat hai
ġharaz karam hai mudārāt hai ināyat hai
kisī ko dekh hī saktā nahīñ hai mushkil meñ
ye baat kyuuñ hai ki rakhtā hai dard vo dil meñ
vo rashk-e-sham-e-hidāyāt hai anjuman ke liye
vo misl-e-rūh-e-ravāñ unsur-e-badan ke liye
vo ek sāġhar-e-nau mahfil-e-kuhan ke liye
vo ḳhaas maslah-e-kul shaiḳh-o-barahman ke liye
lagan use hai ki sab mālik-e-vatan ho jaa.eñ
qafas se chhūT ke zīnat-dah-e-chaman ho jaa.eñ
jafā-shi.ār se hotā hai bar-sar-e-paikār
na paas top na golā na qabze meñ talvār
zamāna tāba-e-irshād hukm par tayyār
vo paak shakl se paidā haiñ josh ke āsār
kisī ḳhayāl se charḳhe ke bal pe laḌtā hai
khaḌī hai fauj ye tanhā magar akaḌtā hai
tarah tarah ke sitam dil par apne sahtā hai
hazār koī kahe kuchh ḳhamosh rahtā hai
kahāñ sharīk haiñ āñkhoñ se ḳhuun bahtā hai
suno suno ki ye ik kahne vaalā kahtā hai
jo aabrū tumheñ rakhnī ho josh meñ aao
raho na be-ḳhud-o-be-hosh hosh meñ aao
usī ko ghere amīr-o-ġharīb rahte haiñ
nadīm-o-mūnish-o-yār-o-habīb rahte haiñ
adab ke saath adab se adiib rahte haiñ
nasīb-var haiñ vo baḌe ḳhush-nasīb rahte haiñ
koī batā.e to yuuñ dekh-bhāl kis kī hai
jo us se baat kare ye majāl kis kī hai
rifāh-e-ām se raġhbat hai aur matlab hai
anokhī baat nirālī ravish nayā Dhab hai
yahī ḳhayāl thā pahle yahī ḳhayāl ab hai
faqat hai diin yahī bas yahī to maz.hab hai
agar bajā hai to 'bismil' kī arz bhī sun lo
chaman hai sāmne do-chār phuul tum chun lo
suna raha hun tumhein dastan gandhi ki
zamane-bhar se nirali hai shan gandhi ki
rahe rahe na rahe is mein jaan gandhi ki
na ruk saki na rukegi zaban gandhi ki
yahi sabab hai jo wo dil se sab ko pyara hai
watan ka apne chamakta hua sitara hai
bana tha mast koi aur koi saudai
har ek samt thi ghaflat ki jab ghaTa chhai
to us ki aql-e-rasa kaam waqt par aai
mariz-e-mulk hai mamnun-e-chaara-farmai
nae KHayal mein ek ek ka dil asir hua
udhar amir hua aur udhar faqir hua
jafa-o-jaur ne ki KHub apni barbaadi
KHarab-haal na dil raat kyun hun fariyaadi
bana diya tha qafas ka buri tarah aadi
magar hai shukr mila hum ko dars-e-azadi
zamana kahta hai gandhi mahatma wo hai
bashar nahin hai haqiqat mein dewta wo hai
jo dil mein yaad hai to lab pe nam us ka hai
jo hai to zikr faqat subh-o-sham us ka hai
bhalai sab ki ho jis se wo kaam us ka hai
jahan bhi jao wahin ehtiram us ka hai
uThae sar koi kya sar uTha nahin sakta
muqable ke liye aage aa nahin sakta
kisi se us ko mohabbat kisi se ulfat hai
kisi ko us ki hai us ko kisi ki hasrat hai
wafa-o-lutf tarahhum ki KHas aadat hai
gharaz karam hai mudaraat hai inayat hai
kisi ko dekh hi sakta nahin hai mushkil mein
ye baat kyun hai ki rakhta hai dard wo dil mein
wo rashk-e-sham-e-hidayat hai anjuman ke liye
wo misl-e-ruh-e-rawan unsur-e-badan ke liye
wo ek saghar-e-nau mahfil-e-kuhan ke liye
wo KHas maslah-e-kul shaiKH-o-barahman ke liye
lagan use hai ki sab malik-e-watan ho jaen
qafas se chhuT ke zinat-dah-e-chaman ho jaen
jafa-shiar se hota hai bar-sar-e-paikar
na pas top na gola na qabze mein talwar
zamana taba-e-irshad hukm par tayyar
wo pak shakl se paida hain josh ke aasar
kisi KHayal se charKHe ke bal pe laDta hai
khaDi hai fauj ye tanha magar akaDta hai
tarah tarah ke sitam dil par apne sahta hai
hazar koi kahe kuchh KHamosh rahta hai
kahan sharik hain aankhon se KHun bahta hai
suno suno ki ye ek kahne wala kahta hai
jo aabru tumhein rakhni ho josh mein aao
raho na be-KHud-o-be-hosh hosh mein aao
usi ko ghere amir-o-gharib rahte hain
nadim-o-munish-o-yar-o-habib rahte hain
adab ke sath adab se adib rahte hain
nasib-war hain wo baDe KHush-nasib rahte hain
koi batae to yun dekh-bhaal kis ki hai
jo us se baat kare ye majal kis ki hai
rifah-e-am se raghbat hai aur matlab hai
anokhi baat nirali rawish naya Dhab hai
yahi KHayal tha pahle yahi KHayal ab hai
faqat hai din yahi bas yahi to mazhab hai
agar baja hai to 'bismil' ki arz bhi sun lo
chaman hai samne do-chaar phul tum chun lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.