mahatma-gandhi ka qatl
mashriq kā diyā gul hotā hai maġhrib pe siyāhī chhātī hai
har dil san sā ho jaatā hai har saañs kī lau tharrātī hai
uttar dakhkhin pūrab pachchhim har samt se ik chīḳh aatī hai
nau-e-insāñ kāñdhoñ pe liye gāñdhī kī arthī jaatī hai
ākāsh ke taare bujhte haiñ dhartī se dhuāñ sā uThtā hai
duniyā ko ye lagtā hai jaise sar se koī saayā uThtā hai
kuchh der ko nabz-e-ālam bhī chalte chalte ruk jaatī hai
har mulk kā parcham girtā hai har qaum ko hichkī aatī hai
tahzīb jahāñ tharrātī hai tārīḳh-e-bashar sharmātī hai
maut apne kaTe par ḳhud jaise dil hī dil meñ pachhtātī hai
insāñ vo uThā jis kā saanī sadiyoñ meñ bhī duniyā jan na sakī
mūrat vo miTī naqqāsh se bhī joban ke dobāra ban na sakī
dekhā nahīñ jaatā āñkhoñ se ye manzar-e-ibratnāk-e-vatan
phūloñ ke lahū ke pyāse haiñ apne hī ḳhas-o-ḳhāshāk-e-vatan
hāthoñ se bujhāyā ḳhud apne vo sho.ala-e-rūh pāk-e-vatan
daaġh us se siyah-tar koī nahīñ dāman pe tire ai ḳhāk-e-vatan
paiġhām-e-ajal laa.ī apne us sab se baḌe mohsin ke liye
ai vā.e-tulū-e-āzādī āzād hue us din ke liye
jab nāḳhun-e-hikmat hī TuuTe dushvār ko āsāñ kaun kare
jab ḳhushk huā abr-e-bārāñ hī shāḳhoñ ko gul-afshāñ kaun kare
jab sho.ala-e-mīnā sard ho ḳhud jāmoñ ko farozāñ kaun kare
jab sūraj hī gul ho jaa.e tāroñ meñ charāġhāñ kaun kare
nāshād vatan afsos tirī qismat kā sitāra TuuT gayā
uñglī ko pakaḌ kar chalte the jis kī vahī rahbar chhūT gayā
us husn se kuchh hastī meñ tirī azdād hue the aa ke baham
ik ḳhvāb-o-haqīqat kā sañgam miTTī pe qadam nazroñ meñ iram
ik jism-e-nahīf-o-zār magar ik azm-e-javān-o-mustahkam
chashm-e-bīnā ma.asūm kā dil ḳhurshīd nafas zauq-e-shabnam
vo ijz-e-ġhurūr-e-sultāñ bhī jis ke aage jhuk jaatā thā
vo mom ki jis se Takrā kar lohe ko pasīna aatā thā
siine meñ jo de kāñToñ ko bhī jā us gul kī latāfat kyā kahiye
jo zahar piye amrit kar ke us lab kī halāvat kyā kahiye
jis saañs meñ duniyā jaañ paa.e us saañs kī nik.hat kyā kahiye
jis maut pe hastī naaz kare us maut kī azmat kyā kahiye
ye maut na thī qudrat ne tire sar par rakkhā ik tāj-e-hayāt
thī ziist tirī merāj-e-vafā aur maut tirī merāj-e-hayāt
yaksāñ nazdīk-o-dūr pe thā bārān-e-faiz-e-ām tirā
har dasht-o-chaman har koh-o-daman meñ gūñjā hai paiġhām tirā
har ḳhushk-o-tar hastī pe raqam hai ḳhatt-e-jalī meñ naam tirā
har zarre meñ terā ma.abad har qatra tīrath dhaam tirā
us lutf-o-karam ke aa.iiñ meñ mar kar bhī na kuchh tarmīm huī
is mulk ke kone kone meñ miTTī bhī tirī taqsīm huī
tārīḳh meñ qaumoñ kī ubhre kaise kaise mumtāz bashar
kuchh mulk ke taḳht-nashīñ kuchh taḳht-falak ke tāj-basar
apnoñ ke liye jām-o-sahbā auroñ ke liye shamshīr-o-tabar
nard-e-insāñ Taptī hī rahī duniyā kī bisāt-e-tāqat par
maḳhlūq ḳhudā kī ban ke sipar maidāñ meñ dilāvar ek tū hī
īmāñ ke payambar aa.e bahut insāñ kā payambar ek tū hī
bāzū-e-fardā uḌ uḌ ke thake tirī rif.at tak jā na sake
zehnoñ kī tajallī kaam aa.ī ḳhāke bhī tire haath aa na sake
alfāz-o-ma.anī ḳhatm hue unvāñ bhī tirā apnā na sake
nazroñ ke kañval jal jal ke bujhe parchhā.īñ bhī terī pā na sake
har ilm-o-yaqīñ se bālā-tar tū hai vo sipehr-e-tābinda
suufī kī jahāñ nīchī hai nazar shā.ir kā tasavvur sharminda
pastī-e-siyāsat ko tū ne apne qāmat se rif.at dī
īmāñ kī tañg-ḳhayālī ko insāñ ke ġham kī vus.at dī
har saañs se dars-e-aman diyā har jabr pe dād-e-ulfat dī
qātil ko bhī gar lab hil na sake āñkhoñ se duā-e-rahmat dī
hinsā ko ahinsā kā apnī paiġhām sunāne aayā thā
nafrat kī maarī duniyā meñ ik prem sandesa laayā thā
us prem sandese ko tere sīnoñ kī amānat banñā hai
sīnoñ se kudūrat dhone ko ik mauj-e-nadāmat banñā hai
us mauj ko baḌhte baḌhte phir sailāb-e-mohabbat banñā hai
us sail-e-ravāñ ke dhāre ko is mulk kī qismat banñā hai
jab tak na bahegā ye dhārā shādāb na hogā baaġh tirā
ai ḳhāk-e-vatan dāman se tire Dhulne kā nahīñ ye daaġh tirā
jaate jaate bhī to ham ko ik ziist kā unvāñ de ke gayā
bujhtī huī sham-e-mahfil ko phir sho.ala-e-raqsāñ de ke gayā
bhaTke hue gām-e-insāñ ko phir jāda-e-insāñ de ke gayā
har sāhil-e-zulmat ko apnā mīnār-e-daraḳhshāñ de ke gayā
tū chup hai lekin sadiyoñ tak gūñjegī sadā-e-sāz tirī
duniyā ko añdherī rātoñ meñ Dhāras degī āvāz tirī
mashriq ka diya gul hota hai maghrib pe siyahi chhati hai
har dil san sa ho jata hai har sans ki lau tharraati hai
uttar dakhkhin purab pachchhim har samt se ek chiKH aati hai
nau-e-insan kandhon pe liye gandhi ki arthi jati hai
aakash ke tare bujhte hain dharti se dhuan sa uThta hai
duniya ko ye lagta hai jaise sar se koi saya uThta hai
kuchh der ko nabz-e-alam bhi chalte chalte ruk jati hai
har mulk ka parcham girta hai har qaum ko hichki aati hai
tahzib jahan tharraati hai tariKH-e-bashar sharmati hai
maut apne kaTe par KHud jaise dil hi dil mein pachhtati hai
insan wo uTha jis ka sani sadiyon mein bhi duniya jan na saki
murat wo miTi naqqash se bhi joban ke dobara ban na saki
dekha nahin jata aankhon se ye manzar-e-ibratnak-e-watan
phulon ke lahu ke pyase hain apne hi KHas-o-KHashak-e-watan
hathon se bujhaya KHud apne wo shoala-e-ruh pak-e-watan
dagh us se siyah-tar koi nahin daman pe tere ai KHak-e-watan
paigham-e-ajal lai apne us sab se baDe mohsin ke liye
ai wae-tulu-e-azadi aazad hue us din ke liye
jab naKHun-e-hikmat hi TuTe dushwar ko aasan kaun kare
jab KHushk hua abr-e-baran hi shaKHon ko gul-afshan kaun kare
jab shoala-e-mina sard ho KHud jamon ko farozan kaun kare
jab suraj hi gul ho jae taron mein charaghan kaun kare
nashad watan afsos teri qismat ka sitara TuT gaya
ungli ko pakaD kar chalte the jis ki wahi rahbar chhuT gaya
us husn se kuchh hasti mein teri azdad hue the aa ke baham
ek KHwab-o-haqiqat ka sangam miTTi pe qadam nazron mein iram
ek jism-e-nahif-o-zar magar ek azm-e-jawan-o-mustahkam
chashm-e-bina masum ka dil KHurshid nafas zauq-e-shabnam
wo ijz-e-ghurur-e-sultan bhi jis ke aage jhuk jata tha
wo mom ki jis se Takra kar lohe ko pasina aata tha
sine mein jo de kanTon ko bhi ja us gul ki latafat kya kahiye
jo zahar piye amrit kar ke us lab ki halawat kya kahiye
jis sans mein duniya jaan pae us sans ki nikhat kya kahiye
jis maut pe hasti naz kare us maut ki azmat kya kahiye
ye maut na thi qudrat ne tere sar par rakkha ek taj-e-hayat
thi zist teri meraj-e-wafa aur maut teri meraj-e-hayat
yaksan nazdik-o-dur pe tha baran-e-faiz-e-am tera
har dasht-o-chaman har koh-o-daman mein gunja hai paigham tera
har KHushk-o-tar hasti pe raqam hai KHatt-e-jali mein nam tera
har zarre mein tera mabad har qatra tirath dham tera
us lutf-o-karam ke aain mein mar kar bhi na kuchh tarmim hui
is mulk ke kone kone mein miTTi bhi teri taqsim hui
tariKH mein qaumon ki ubhre kaise kaise mumtaz bashar
kuchh mulk ke taKHt-nashin kuchh taKHt-falak ke taj-basar
apnon ke liye jam-o-sahba auron ke liye shamshir-o-tabar
nard-e-insan Tapti hi rahi duniya ki bisat-e-taqat par
maKHluq KHuda ki ban ke sipar maidan mein dilawar ek tu hi
iman ke payambar aae bahut insan ka payambar ek tu hi
bazu-e-farda uD uD ke thake teri rifat tak ja na sake
zehnon ki tajalli kaam aai KHake bhi tere hath aa na sake
alfaz-o-mani KHatm hue unwan bhi tera apna na sake
nazron ke kanwal jal jal ke bujhe parchhain bhi teri pa na sake
har ilm-o-yaqin se baala-tar tu hai wo sipehr-e-tabinda
sufi ki jahan nichi hai nazar shair ka tasawwur sharminda
pasti-e-siyasat ko tu ne apne qamat se rifat di
iman ki tang-KHayali ko insan ke gham ki wusat di
har sans se dars-e-aman diya har jabr pe dad-e-ulfat di
qatil ko bhi gar lab hil na sake aankhon se dua-e-rahmat di
hinsa ko ahinsa ka apni paigham sunane aaya tha
nafrat ki mari duniya mein ek prem sandesa laya tha
us prem sandese ko tere sinon ki amanat banna hai
sinon se kudurat dhone ko ek mauj-e-nadamat banna hai
us mauj ko baDhte baDhte phir sailab-e-mohabbat banna hai
us sail-e-rawan ke dhaare ko is mulk ki qismat banna hai
jab tak na bahega ye dhaara shadab na hoga bagh tera
ai KHak-e-watan daman se tere Dhulne ka nahin ye dagh tera
jate jate bhi to hum ko ek zist ka unwan de ke gaya
bujhti hui sham-e-mahfil ko phir shoala-e-raqsan de ke gaya
bhaTke hue gam-e-insan ko phir jada-e-insan de ke gaya
har sahil-e-zulmat ko apna minar-e-daraKHshan de ke gaya
tu chup hai lekin sadiyon tak gunjegi sada-e-saz teri
duniya ko andheri raaton mein Dhaaras degi aawaz teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.