mahatma-gandhi
baapū ne har insān ko insāñ samjhā
bahbūdī-e-har-fard ko īmāñ samjhā
injīl ko qur.ān ko aur giitā ko
siine se lagāyā unheñ yaksāñ samjhā
ta.amīr-e-vatan se thī mohabbat us ko
sachchā.ī kā updesh diyā baapū ne
taḳhrīb-parastī se thī nafrat us ko
parchār ahinsā kā kiyā baapū ne
ye desh kā thā ektā-vādī leader
qurbānī-o-īsār ke jazbe ke tufail
marġhūb thī tanzīm-e-jamā.at us ko
chhīnā huā svārāj liyā baapū ne
nafrat se bharī aag bujhā dī us ne
tahrīk-e-navā khulī dabā dī us ne
vahshat-zada māhaul-e-siyah meñ ai charḳh
ik sham.a uḳhuvvat kī jallādī us ne
bapu ne har insan ko insan samjha
bahbudi-e-har-fard ko iman samjha
injil ko quran ko aur gita ko
sine se lagaya unhen yaksan samjha
tamir-e-watan se thi mohabbat us ko
sachchai ka updesh diya bapu ne
taKHrib-parasti se thi nafrat us ko
parchaar ahinsa ka kiya bapu ne
ye desh ka tha ekta-wadi leader
qurbani-o-isar ke jazbe ke tufail
marghub thi tanzim-e-jamaat us ko
chhina hua swaraj liya bapu ne
nafrat se bhari aag bujha di us ne
tahrik-e-nawa khuli daba di us ne
wahshat-zada mahaul-e-siyah mein ai charKH
ek shama uKHuwwat ki jalladi us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.