gandhi
vo hadīs-e-rūh payām-e-jāñ jise ham ne sun ke bhulā diyā
vo harīm-e-ġhaib kā armuġhāñ jise pā ke ham ne gañvā diyā
vo mulk-o-millat-e-jāñ-ba-lab jise us ne āb-e-baqā diyā
usī nā-sipās ne haa.e ab use jām-e-marg pilā diyā
hameñ jis ne fat.h dilā.ī thī use ḳhāk-o-ḳhūñ meñ milā diyā
hameñ jis ne raah dikhā.ī thī use rāste se haTā diyā
use ittibā-e-masīh ne vo ajiib dast-e-shifā diyā
jo gire the un ko uThā diyā jo mare the un ko jalā diyā
jo uThā thā sho.ala-e-shor-o-shar use apne ḳhuuñ se bujhā diyā
jo paḌā thā parda nigāhoñ meñ use aap uTh ke uThā diyā
vo ḳhamīda-qad ḳham-e-māh--enau vo nazar-fareb ḳhunuk sī zau
vo nigāh-e-barq-e-amal kī rau ki diloñ ko jis ne hilā diyā
vo faroġh-baḳhsh-e-har-anjuman ki zamāna-bhar meñ thā zau-fagan
vo charāġh-e-bazm gah-e-vatan kisī tīra-dil ne bujhā diyā
vo kitāb-e-sulh kā sar-varaq ki miTā.ī kashmakash-e-firaq
vo qatīl-e-ḳhanjar-e-sabr-o-haq ki vatan pe ḳhud ko miTā diyā
vo bodh aur kirshn kā jā-nashīñ hama-tan amal hama-tan yaqīñ
vo tabassum-e-sahar-āfrīñ ki chaman laboñ se khilā diyā
vo ba-rañg-e-ā.īna sāf-dil vo faroġh-e-fitrat-e-āb-o-gil
ki jihād-e-nafs ne mustaqil use aur husn-e-jilā diyā
vo jalāl-e-sheva-e-sādgī vo jamāl-e-sūrat-e-zindagī
vo zulāl-e-chashma-e-āgahī ki zamāna-bhar ko jagā diyā
vo sharāra barq-e-hayāt kā vo sitārā rāh-e-najāt kā
vo manāra azm-o-sabāt kā jise fitna-sāz ne Dhā diyā
asar us kā ab hai vasī.a-tar ki har ek dil meñ hai us kā ghar
ye samajh ke ḳhush na hoñ fitna-gar ki use payām-e-fanā diyā
tirī shaan kaun ghaTā sake use ḳhud ḳhudā ne baḌhā diyā
ki tujhe baqā-e-davām dī tujhe mansab-e-shohdā diyā
tirī ḳhāmushī vo zabān thī ki diloñ ko josh-e-navā diyā
tan-e-fāqa-kash meñ vo jaan thī ki hisār-e-kibr hilā diyā
vatan-e-azīz ko shaan dī use qaid-e-ġham se chhuḌā diyā
rah-e-ittihād meñ jaan dī jo kahā vo kar ke dikhā diyā
jinheñ zer kar na sakā sitam hue said-e-silsila-e-karam
tirī nekiyoñ ne tirī qasam sar-e-ḳhud-sarī ko jhukā diyā
ye urūs-e-kishvar-e-hind thī hama bekasī hama bad-dilī
use tū ne ġhāza-e-ḳhurramī tire ḳhuuñ ne rañg-e-hinā diyā
tujhe mandiroñ ne sadā.eñ diiñ ki tire karam se amaañ milī
tujhe masjidoñ ne duā.eñ diiñ ki tabāhiyoñ se bachā diyā
ye kamāl-e-pairavī-e-alī ye farāḳh-hauslagī tirī
ki ḳhud apne dushman-e-jāñ ko bhī vahī armuġhān-e-duā diyā
tujhe bekasī ne sipāh dī tujhe mushkilāt ne raah dī
tujhe bijliyoñ ne panāh dī tujhe talḳhiyoñ ne mazā diyā
yahī dharm hai yahī asl diiñ ki ho qaul sach to amal hasīñ
haq-o-ahl-e-haq pe rahe yaqīñ ye payām sab ko sunā diyā
hama raushnī tirī zaat thī hama soz terī hayāt thī
tirī ruuh sham.a thī gul huī tire tan ko phuul banā diyā
tirā faiz dahr meñ aam ho ye ġhubār uTh ke ġhamām ho
tirī ḳhaak terā payām ho ye samajh ke is ko bahā diyā
wo hadis-e-ruh payam-e-jaan jise hum ne sun ke bhula diya
wo harim-e-ghaib ka armughan jise pa ke hum ne ganwa diya
wo mulk-o-millat-e-jaan-ba-lab jise us ne aab-e-baqa diya
usi na-sipas ne hae ab use jam-e-marg pila diya
hamein jis ne fath dilai thi use KHak-o-KHun mein mila diya
hamein jis ne rah dikhai thi use raste se haTa diya
use ittiba-e-masih ne wo ajib dast-e-shifa diya
jo gire the un ko uTha diya jo mare the un ko jala diya
jo uTha tha shoala-e-shor-o-shar use apne KHun se bujha diya
jo paDa tha parda nigahon mein use aap uTh ke uTha diya
wo KHamida-qad KHam-e-mah--enau wo nazar-fareb KHunuk si zau
wo nigah-e-barq-e-amal ki rau ki dilon ko jis ne hila diya
wo farogh-baKHsh-e-har-anjuman ki zamana-bhar mein tha zau-fagan
wo charagh-e-bazm gah-e-watan kisi tira-dil ne bujha diya
wo kitab-e-sulh ka sar-waraq ki miTai kashmakash-e-firaq
wo qatil-e-KHanjar-e-sabr-o-haq ki watan pe KHud ko miTa diya
wo bodh aur kirshn ka ja-nashin hama-tan amal hama-tan yaqin
wo tabassum-e-sahar-afrin ki chaman labon se khila diya
wo ba-rang-e-aina saf-dil wo farogh-e-fitrat-e-ab-o-gil
ki jihad-e-nafs ne mustaqil use aur husn-e-jila diya
wo jalal-e-shewa-e-sadgi wo jamal-e-surat-e-zindagi
wo zulal-e-chashma-e-agahi ki zamana-bhar ko jaga diya
wo sharara barq-e-hayat ka wo sitara rah-e-najat ka
wo manara azm-o-sabaat ka jise fitna-saz ne Dha diya
asar us ka ab hai wasia-tar ki har ek dil mein hai us ka ghar
ye samajh ke KHush na hon fitna-gar ki use payam-e-fana diya
teri shan kaun ghaTa sake use KHud KHuda ne baDha diya
ki tujhe baqa-e-dawam di tujhe mansab-e-shohda diya
teri KHamushi wo zaban thi ki dilon ko josh-e-nawa diya
tan-e-faqa-kash mein wo jaan thi ki hisar-e-kibr hila diya
watan-e-aziz ko shan di use qaid-e-gham se chhuDa diya
rah-e-ittihad mein jaan di jo kaha wo kar ke dikha diya
jinhen zer kar na saka sitam hue said-e-silsila-e-karam
teri nekiyon ne teri qasam sar-e-KHud-sari ko jhuka diya
ye urus-e-kishwar-e-hind thi hama bekasi hama bad-dili
use tu ne ghaza-e-KHurrami tere KHun ne rang-e-hina diya
tujhe mandiron ne sadaen din ki tere karam se aman mili
tujhe masjidon ne duaen din ki tabahiyon se bacha diya
ye kamal-e-pairawi-e-ali ye faraKH-hauslagi teri
ki KHud apne dushman-e-jaan ko bhi wahi armughan-e-dua diya
tujhe bekasi ne sipah di tujhe mushkilat ne rah di
tujhe bijliyon ne panah di tujhe talKHiyon ne maza diya
yahi dharm hai yahi asl din ki ho qaul sach to amal hasin
haq-o-ahl-e-haq pe rahe yaqin ye payam sab ko suna diya
hama raushni teri zat thi hama soz teri hayat thi
teri ruh shama thi gul hui tere tan ko phul bana diya
tera faiz dahr mein aam ho ye ghubar uTh ke ghamam ho
teri KHak tera payam ho ye samajh ke is ko baha diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.