gandhi
shahīdoñ kā sartāj jannat-maqām
mohabbat kī me.arāj zī-ehtirām
ġhulāmān-e-ālam kī pusht-o-panāh
ahinsā ke bandoñ kī ummīd-gāh
vo ġham bhī vatan kā thā ġham-ḳhvār bhī
razākār bhī aur sālār bhī
ahinsā kā pairav magar sher-e-mard
mohabbat meñ yaktā sadāqat meñ fard
huā jis ke dam se ba-sad ehtishām
siyāsat se ūñchā sadāqat kā naam
vo aadam kī azmat kā ā.īna-dār
vo zarra ki chamkā thā ḳhurshīd-dār
vo jis ne diyā ādamiyat ko auj
vo jis ne laḌā.ī ahinsā kī fauj
qafas hai koī ab na sayyād hai
vatan jis kī hikmat se āzād hai
vo nūr-e-ziyā-bār sīmā-e-ḳhair
vo jūyā-e-ḳhair-o-shanāsā-e-ḳhair
farishta-ḳhisāl-o-farishta-siyar
malak dar-haqīqat ba-zāhir bashar
mohabbat kī vo ik shabīh-e-hasīñ
uḳhuvvat kā vo ek māh-e-mubīñ
vo haq āgahī kī kachhāroñ kā sher
sadāqat ke maidāñ kā mard-e-diler
falak-āfrīñ aur gardūñ-tarāz
marīzān-e-pastī kā vo chārasāz
vo kotāh-bīnoñ kī sham-e-shu.ūr
vo gumrāhiyoñ meñ hidāyat kā nuur
vo jis ne uThāyā zamāne kā baar
kiyā jis ne jābir ko be-iḳhtiyār
vo be-misl qaa.id muassar ḳhatīb
vo lashkar meñ jis ke amīr-o-ġharīb
vo jis ne karoḌoñ ke kaaTe haiñ band
vo arfa.a vo a.alā vo sab se buland
vo jis kī atā hai nirālī atā
vo jis ne diyā ik nayā falsafa
zamīñ par bahā us jarī kā lahū
tafūbar tū ai charḳh-e-gardāñ tafū
shahidon ka sartaj jannat-maqam
mohabbat ki mearaj zi-ehtiram
ghulaman-e-alam ki pusht-o-panah
ahinsa ke bandon ki ummid-gah
wo gham bhi watan ka tha gham-KHwar bhi
razakar bhi aur salar bhi
ahinsa ka pairaw magar sher-e-mard
mohabbat mein yakta sadaqat mein fard
hua jis ke dam se ba-sad ehtisham
siyasat se uncha sadaqat ka nam
wo aadam ki azmat ka aaina-dar
wo zarra ki chamka tha KHurshid-dar
wo jis ne diya aadamiyat ko auj
wo jis ne laDai ahinsa ki fauj
qafas hai koi ab na sayyaad hai
watan jis ki hikmat se aazad hai
wo nur-e-ziya-bar sima-e-KHair
wo juya-e-KHair-o-shanasa-e-KHair
farishta-KHisal-o-farishta-siyar
malak dar-haqiqat ba-zahir bashar
mohabbat ki wo ek shabih-e-hasin
uKHuwwat ka wo ek mah-e-mubin
wo haq aagahi ki kachhaaron ka sher
sadaqat ke maidan ka mard-e-diler
falak-afrin aur gardun-taraaz
marizan-e-pasti ka wo chaarasaz
wo kotah-binon ki sham-e-shuur
wo gumrahiyon mein hidayat ka nur
wo jis ne uThaya zamane ka bar
kiya jis ne jabir ko be-iKHtiyar
wo be-misl qaid muassar KHatib
wo lashkar mein jis ke amir-o-gharib
wo jis ne karoDon ke kaTe hain band
wo arfa wo aala wo sab se buland
wo jis ki ata hai nirali ata
wo jis ne diya ek naya falsafa
zamin par baha us jari ka lahu
tafubar tu ai charKH-e-gardan tafu
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 296)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.