gandhi ji
rāhbar desh-bhagtī kā vo
shaah thā ik lañgoTī kā vo
pyaar ke vo luTātā thā phuul
thā ahinsā usī kā usuul
narmī se zindagī tañg kī
us ne añgrezoñ se jañg kī
hausle ho ga.e un ke past
aan pahuñchī jo pañdrah august
dil har ik shaad ho hī gayā
desh āzād ho hī gayā
dostī kā sabaq de gayā
mar ke jāved vo ho gayā
phir kareñ yaad us ke usuul
aur chaḌhā.eñ aqīdat ke phuul
rahbar desh-bhagti ka wo
shah tha ek langoTi ka wo
pyar ke wo luTata tha phul
tha ahinsa usi ka usul
narmi se zindagi tang ki
us ne angrezon se jang ki
hausle ho gae un ke past
aan pahunchi jo pandrah august
dil har ek shad ho hi gaya
desh aazad ho hi gaya
dosti ka sabaq de gaya
mar ke jawed wo ho gaya
phir karen yaad us ke usul
aur chaDhaen aqidat ke phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.