gandhi-jayanti
bhuul ga.ī hai aaj to rahbar-e-haq-nigāh ko
bhuul ga.ī hai aaj tū mard-e-jahāñ-panāh ko
bhuul ga.ī hai aaj tū zabt ke bādshāh ko
tujh se kahūñ to kyā kahūñ ai mirī bā-murād qaum
ai mirī zindabād qaum ai mirī zindabād qaum
tere mahant to abhī mast haiñ zāt-pāt meñ
tere baḌe baḌe gurū ġharq haiñ chhūt-chhāt meñ
aah ki DhūñDhtī hai tū nuur añdherī raat meñ
tujh se kahūñ to kyā kahūñ ai mirī bā-murād qaum
ai mirī zindabād qaum ai mirī zindabād qaum
aah ki tū ne zabt ke dars ko bhī bhulā diyā
aah ki tū ne qalb se nām-e-safā miTā diyā
aah ki dostoñ ko bhī tū ne adū banā diyā
tujh se kahūñ to kyā kahūñ ai mirī bā-murād qaum
ai mirī zindabād qaum ai mirī zindabād qaum
tere mushīr be-amal tere vazīr be-amal
tere ġharīb be-amal tere amiir be-amal
tere safīr be-amal tere kabīr be-amal
tujh se kahūñ to kyā kahūñ ai mirī bā-murād qaum
ai mirī zindabād qaum ai mirī zindabād qaum
uf ki qadam qadam pe hai terā sharīk ahrman
uf ki tujhe nasīb haiñ firqa-parast rāhzan
uf ki tujhe aziiz haiñ charb-zabān-o-bad-suḳhan
tujh se kahūñ to kyā kahūñ ai mirī bā-murād qaum
ai mirī zindabād qaum ai mirī zindabād qaum
uf ki jahālatoñ pe bhī aql kā hai gumāñ tujhe
uf ki abhī pasand hai jahl kī dāstāñ tujhe
uf ki hai firqa dostī detī abhī amaañ tujhe
tujh se kahūñ to kyā kahūñ ai mirī bā-murād qaum
ai mirī zindabād qaum ai mirī zindabād qaum
zulm kiye haiñ tū ne jo zulm ke shāhidoñ se pūchh
qatl kiye haiñ kis qadar apne mujāhidoñ se pūchh
piite haiñ roz kitnī mai jhuuT ke zāhidoñ se pūchh
tujh se kahūñ to kyā kahūñ ai mirī bā-murād qaum
ai mirī zindabād qaum ai mirī zindabād qaum
dars-e-mahātmā kā bhī tujh par koī asar nahīñ
qaul-e-mahātmā pe bhī aaj tirī nazar nahīñ
kaun hai us kā jā-nashīñ is kī tujhe ḳhabar nahīñ
tujh se kahūñ to kyā kahūñ ai mirī bā-murād qaum
ai mirī zindabād qaum ai mirī zindabād qaum
tujh ko batā.e kaun aaj asl meñ rāhbar hai kaun
tujh ko batā.e kaun aaj banda-e-mo.tabar hai kaun
tujh ko batā.e kaun aaj pīr-e-javāñ-nazar hai kaun
tujh se kahūñ to kyā kahūñ ai mirī bā-murād qaum
ai mirī zindabād qaum ai mirī zindabād qaum
dekh na chashm-e-shauq se pattharoñ ke to taur tū
qadr-e-javāhar-e-hasīñ dekh ba-chashm-e-ġhaur tū
varna hazār zillateñ tere liye haiñ aur tū
tujh se kahūñ to kyā kahūñ ai mirī bā-murād qaum
ai mirī zindabād qaum ai mirī zindabād qaum
bhul gai hai aaj to rahbar-e-haq-nigah ko
bhul gai hai aaj tu mard-e-jahan-panah ko
bhul gai hai aaj tu zabt ke baadshah ko
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
tere mahant to abhi mast hain zat-pat mein
tere baDe baDe guru gharq hain chhut-chhat mein
aah ki DhunDhti hai tu nur andheri raat mein
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
aah ki tu ne zabt ke dars ko bhi bhula diya
aah ki tu ne qalb se nam-e-safa miTa diya
aah ki doston ko bhi tu ne adu bana diya
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
tere mushir be-amal tere wazir be-amal
tere gharib be-amal tere amir be-amal
tere safir be-amal tere kabir be-amal
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
uf ki qadam qadam pe hai tera sharik ahrman
uf ki tujhe nasib hain firqa-parast rahzan
uf ki tujhe aziz hain charb-zaban-o-bad-suKHan
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
uf ki jahaalaton pe bhi aql ka hai guman tujhe
uf ki abhi pasand hai jahl ki dastan tujhe
uf ki hai firqa dosti deti abhi aman tujhe
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
zulm kiye hain tu ne jo zulm ke shahidon se puchh
qatl kiye hain kis qadar apne mujahidon se puchh
pite hain roz kitni mai jhuT ke zahidon se puchh
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
dars-e-mahatma ka bhi tujh par koi asar nahin
qaul-e-mahatma pe bhi aaj teri nazar nahin
kaun hai us ka ja-nashin is ki tujhe KHabar nahin
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
tujh ko batae kaun aaj asl mein rahbar hai kaun
tujh ko batae kaun aaj banda-e-motabar hai kaun
tujh ko batae kaun aaj pir-e-jawan-nazar hai kaun
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
dekh na chashm-e-shauq se pattharon ke to taur tu
qadr-e-jawahar-e-hasin dekh ba-chashm-e-ghaur tu
warna hazar zillaten tere liye hain aur tu
tujh se kahun to kya kahun ai meri ba-murad qaum
ai meri zindabaad qaum ai meri zindabaad qaum
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 313)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.