baba gandhi
svārāj kā jhanDā bhārat meñ gaḌvā diyā gāñdhī baabā ne
dil qaum-o-vatan ke dushman kā dahlā diyā gāñdhī baabā ne
ulfat kī raah meñ mar jaanā par naam jahāñ meñ kar jaanā
ye paaTh vatan ke bachchoñ ko sikhlā diyā gāñdhī baabā ne
ik dharm kī tāqat dikhlā kar zālim ke chhakke chhoḌvā kar
bhārat kā lohā duniyā se manvā diyā gāñdhī baabā ne
ai qaum vatan ke parvāno lo apne farz ko pahchāno
ab jail se ye paiġhām hameñ bhijvā diyā gāñdhī baabā ne
charḳhe kī top chalā do tum ġhairoñ ke chhakke chhuḌā do tum
ye hind kā chakr-sudarshan hai samjhā diyā gāñdhī baabā ne
nafrat thī ġharīboñ se jin ko haiñ shaad achhūtoñ se mil kar
ik prem-pyālā duniyā ko pilvā diyā gāñdhī baabā ne
girdāb meñ qaum kī kashtī thī tūfān bapā the aafat ke
nation kā beḌā sāhil par lagvā diyā gāñdhī baabā ne
bhagvān bhagat ne himmat kī ik prem-jvālā jaag uThī
karvā kar shīr-o-shakar sab ko dikhlā diyā gāñdhī baabā ne
hañs hañs kar qaum ke bachchoñ ne sīnoñ par goliyāñ khaa.ī haiñ
bhārat kī rah meñ mar miTnā sikhlā diyā gāñdhī baabā ne
ġhairoñ ke jhāñsoñ meñ aanā dushvār hai hind ke lāloñ ko
āñkhoñ se ġhaflat kā parda uThvā diyā gāñdhī baabā ne
swaraj ka jhanDa bhaarat mein gaDwa diya gandhi baba ne
dil qaum-o-watan ke dushman ka dahla diya gandhi baba ne
ulfat ki rah mein mar jaana par nam jahan mein kar jaana
ye paTh watan ke bachchon ko sikhla diya gandhi baba ne
ek dharm ki taqat dikhla kar zalim ke chhakke chhoDwa kar
bhaarat ka loha duniya se manwa diya gandhi baba ne
ai qaum watan ke parwano lo apne farz ko pahchano
ab jail se ye paigham hamein bhijwa diya gandhi baba ne
charKHe ki top chala do tum ghairon ke chhakke chhuDa do tum
ye hind ka chakr-sudarshan hai samjha diya gandhi baba ne
nafrat thi gharibon se jin ko hain shad achhuton se mil kar
ek prem-pyala duniya ko pilwa diya gandhi baba ne
girdab mein qaum ki kashti thi tufan bapa the aafat ke
nation ka beDa sahil par lagwa diya gandhi baba ne
bhagwan bhagat ne himmat ki ek prem-jwala jag uThi
karwa kar shir-o-shakar sab ko dikhla diya gandhi baba ne
hans hans kar qaum ke bachchon ne sinon par goliyan khai hain
bhaarat ki rah mein mar miTna sikhla diya gandhi baba ne
ghairon ke jhanson mein aana dushwar hai hind ke lalon ko
aankhon se ghaflat ka parda uThwa diya gandhi baba ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.