mujhe sochne de
merī nākām mohabbat kī kahānī mat chheḌ
apnī māyūs umañgoñ kā fasāna na sunā
zindagī talḳh sahī zahr sahī sam hī sahī
dard o āzār sahī jabr sahī ġham hī sahī
lekin is dard-o-ġham o jabr kī vus.at ko to dekh
zulm kī chhāñv meñ dam toḌtī ḳhilqat ko to dekh
apnī māyūs umañgoñ kā fasāna na sunā
merī nākām mohabbat kī kahānī mat chheḌ
jalsa-gāhoñ meñ ye dahshat-zada sahme amboh
rahguzāroñ pe falākat-zada logoñ ke giroh
bhuuk aur pyaas se pazh-murda siyah-fām zamīñ
tīra-o-tār makāñ muflis o bīmār makīñ
nau-e-insāñ meñ ye sarmāya o mehnat kā tazād
amn o tahzīb ke parcham tale qaumoñ kā fasād
har taraf ātish o aahan kā ye sailāb-e-āzīm
nit-na.e tarz pe hotī huī duniyā taqsīm
lahlahāte hue khetoñ pe javānī kā samāñ
aur dahqān ke chhappar meñ na battī na dhuāñ
ye falak-bos mileñ dilkash o sīmīñ bāzār
ye ġhalāzat pe jhapaTte hue bhūke nādār
duur sāhil pe vo shaffāf makānoñ kī qatār
sarsarāte hue pardoñ meñ simaTte gulzār
dar-o-dīvār pe anvār kā sailāb-e-ravāñ
jaise ik shā.er-e-mad.hosh ke ḳhvāboñ kā jahāñ
ye sabhī kyuuñ hai ye kyā hai mujhe kuchh sochne de
kaun insāñ kā ḳhudā hai mujhe kuchh sochne de
apnī māyūs umañgoñ kā fasāna na sunā
merī nākām mohabbat kī kahānī mat chheḌ
meri nakaam mohabbat ki kahani mat chheD
apni mayus umangon ka fasana na suna
zindagi talKH sahi zahr sahi sam hi sahi
dard o aazar sahi jabr sahi gham hi sahi
lekin is dard-o-gham o jabr ki wusat ko to dekh
zulm ki chhanw mein dam toDti KHilqat ko to dekh
apni mayus umangon ka fasana na suna
meri nakaam mohabbat ki kahani mat chheD
jalsa-gahon mein ye dahshat-zada sahme amboh
rahguzaron pe falakat-zada logon ke giroh
bhuk aur pyas se pazh-murda siyah-fam zamin
tira-o-tar makan muflis o bimar makin
nau-e-insan mein ye sarmaya o mehnat ka tazad
amn o tahzib ke parcham tale qaumon ka fasad
har taraf aatish o aahan ka ye sailab-e-azim
nit-nae tarz pe hoti hui duniya taqsim
lahlahate hue kheton pe jawani ka saman
aur dahqan ke chhappar mein na batti na dhuan
ye falak-bos milen dilkash o simin bazar
ye ghalazat pe jhapaTte hue bhuke nadar
dur sahil pe wo shaffaf makanon ki qatar
sarsaraate hue pardon mein simaTte gulzar
dar-o-diwar pe anwar ka sailab-e-rawan
jaise ek shaer-e-madhosh ke KHwabon ka jahan
ye sabhi kyun hai ye kya hai mujhe kuchh sochne de
kaun insan ka KHuda hai mujhe kuchh sochne de
apni mayus umangon ka fasana na suna
meri nakaam mohabbat ki kahani mat chheD
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.