id
pahlī baar lagā jīvan meñ
koī nahīñ hai dukh kā sāthī
itne saare log the phir bhī
maiñ ne iid akele kaaTī
soch rahā huuñ sāmne tere
yādoñ kī phulvārī hogī
duur kisī pardes meñ tū ne
kaise iid guzārī hogī
ġhurbat ke aise aalam meñ
kaun dupaTTa laayā hogā
is afrātafrī meñ tū ne
suiT kahāñ se paayā hogā
chūḌī bindī iid ke tohfe
le kar yādeñ aa.iiñ hoñgī
apne man hī man meñ tū ne
duudh siva.iyāñ khaa.ī hoñgī
paanī piinā khānā khānā
bhuul ga.ī hogī bātoñ meñ
din meñ ik uljhan sī hogī
niiñd uḌī hogī rātoñ meñ
koī ḳhabar na chiTThī-pātī
dil meñ thī afsos udāsī
ab aise aalam meñ 'tābāñ'
kyā muñh le kar iid manāte
jaane vaale ruuTh na jaate
pahlī baar lagā jīvan meñ
koī nahīñ hai dukh kā sāthī
maiñ ne iid akele kaaTī
pahli bar laga jiwan mein
koi nahin hai dukh ka sathi
itne sare log the phir bhi
main ne id akele kaTi
soch raha hun samne tere
yaadon ki phulwari hogi
dur kisi pardes mein tu ne
kaise id guzari hogi
ghurbat ke aise aalam mein
kaun dupaTTa laya hoga
is afraatafri mein tu ne
suiT kahan se paya hoga
chuDi bindi id ke tohfe
le kar yaaden aain hongi
apne man hi man mein tu ne
dudh siwaiyan khai hongi
pani pina khana khana
bhul gai hogi baaton mein
din mein ek uljhan si hogi
nind uDi hogi raaton mein
koi KHabar na chiTThi-pati
dil mein thi afsos udasi
ab aise aalam mein 'taban'
kya munh le kar id manate
jaane wale ruTh na jate
pahli bar laga jiwan mein
koi nahin hai dukh ka sathi
main ne id akele kaTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.