jamhuriyat zindabaad
apne bhārat meñ jo ujālā hai
use jamhūriyat ne Dhālā hai
ye haqīqat hai saarī duniyā se
apnā dastūr bhī nirālā hai
sab ko yaksāñ huqūq jis ne diye
is meñ maujūd sab havāla hai
kyā hī chhabbīs january kā ye din
azmat-o-ehtishām vaalā hai
ham sabhī ehtirām karte haiñ
aaj kā din buland-o-bālā hai
hotā jaatā hai mulk phir bhī buland
laakh duniyā ne bech Daalā hai
jin ke ghar the kabhī añdheroñ meñ
ab vahāñ bhī baḌā ujālā hai
ye hai jamhūriyat kā hī sadqa
jis ne sūraj nayā nikālā hai
mas.ale vo bhī jald hal hoñge
aaj jin mas.aloñ se paalā hai
haiñ yahāñ bā-kamāl log bahut
desh kā jin se bol baalā hai
tujh ko jamhūriyat salām mirā
tū mohabbat kā ik shivāla hai
apne hindostāñ ko dekho ‘mohī’
jis kī āġhosh meñ himāla hai
apne bhaarat mein jo ujala hai
use jamhuriyat ne Dhaala hai
ye haqiqat hai sari duniya se
apna dastur bhi nirala hai
sab ko yaksan huquq jis ne diye
is mein maujud sab hawala hai
kya hi chhabbis january ka ye din
azmat-o-ehtisham wala hai
hum sabhi ehtiram karte hain
aaj ka din buland-o-baala hai
hota jata hai mulk phir bhi buland
lakh duniya ne bech Dala hai
jin ke ghar the kabhi andheron mein
ab wahan bhi baDa ujala hai
ye hai jamhuriyat ka hi sadqa
jis ne suraj naya nikala hai
masale wo bhi jald hal honge
aaj jin masalon se pala hai
hain yahan ba-kamal log bahut
desh ka jin se bol baala hai
tujh ko jamhuriyat salam mera
tu mohabbat ka ek shiwala hai
apne hindostan ko dekho ‘mohi’
jis ki aaghosh mein himala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.