naya janm
abhī ik saal guzrā hai yahī mausam yahī din the
magar maiñ apne kamre meñ bahut afsurda baiThā thā
na koī sāñvle mahbūb kī yādoñ kā afsāna
na aivān-e-zamistāñ kī taraf jaane kī kuchh ḳhvāhish
kisī ne haal pūchhā to bahut hī be-niyāzī se
kahā jī haañ ḳhudā kā shukr hai maiñ ḳhairiyat se huuñ
koī ye pūchhtā kyuuñ aaj kal koī ġhazal likkhī
na jaane baat kyā hai in dinoñ kuchh aisā lagtā hai
tumhārī har ġhazal meñ miir kā andāz miltā hai
har ik misre se jaise dhīmī dhīmī aañch uThtī hai
tumhāre sher paḌh kar jaane kyuuñ mahsūs hotā hai
ki koī saaz par maddham suroñ meñ gungunātā hai
magar ik baat pūchhūñ tum ḳhafā to ho na jāoge
ye āḳhir kyā sabab hai aaj kal nazmeñ nahīñ likhte
tumhārī āp-bītī bhī abhī tak nā-mukammal hai
ise to nāqidān-e-fan ne sunte hī sarāhā hai
maiñ sab suntā magar ye dil hī dil meñ sochtā rahtā
mire ahbāb kyā jāneñ ki mujh par kyā guzartī hai
mire afkār pe ye kaisī vīrānī sī chhā.ī hai
bahut kuchh sochtā huuñ phir bhī ab sochā nahīñ jaatā
bahut kuchh chāhtā huuñ phir bhī koī bas nahīñ chaltā
magar is bebasī meñ bhī mire dil kī ye hālat thī
kabhī jab koī achchhī chiiz paḌhne ke liye miltī
to pahroñ ruuh par ik vajd kī sī kaifiyat hotī
ragoñ meñ merī jaise ḳhuuñ kī gardish tez ho jaatī
lahū kā ek ik qatra ye kahtā maiñ to zinda huuñ
mirī pāmāliyoñ meñ pal rahī hai ik tavānā.ī
yahī aalam rahā to jaane maiñ kis roz uTh baiThūñ
basant aayā to yuuñ aayā ki maiñ bhī jaise uTh baiThā
saverā hote hī har samt se jhoñke havāoñ ke
na.ī ḳhushbū liye mujh ko jagāne ke liye aa.e
jidhar bhī aañkh uThātā huuñ shafaq kī muskurāhaT hai
vahī sūraj hai lekin aur hī kuchh jagmagāhaT hai
na jaane kaise kaise phuul ab mujh ko bulāte haiñ
na jaane kitne kitne rañg se dil ko lubhāte haiñ
fazā meñ duur tak phaile hue vo khet sarsoñ ke
ye kahte haiñ ki ab armāñ nikālo apne barsoñ ke
tumhāre sāmne phailā huā maidān saarā hai
koī āvāz detā hai ki aao tum hamāre ho
mirī dhartī ke beTe merī duniyā ke dulāre ho
tumhārī aañkh meñ jo ḳhvāb so.e haiñ vo mere haiñ
tumhāre ashk ne jo biij bo.e haiñ vo mere haiñ
isī vaadī meñ phir se lauT kar ab tum ko aanā hai
tumhārī hī ye bastī hai tumhīñ ko phir basānā hai
ab is bastī meñ rakhte hī qadam kuchh aisā lagtā hai
ki is kā zarra zarra patta patta kuchh nayā sā hai
har ik raste pe jaise kuchh na.e chehre se milte haiñ
yahī jī chāhtā hai jo mile ab us se ye pūchheñ
tumhārā naam kyā hai? tum kahāñ ke rahne vaale ho
kuchh aisā jaan paḌtā hai ki pahle bhī mile haiñ ham
rahe haiñ saath yā ik dūsre ko jānte haiñ ham
agar tum saath the to tum bhī shāyad dost the mere
mujhe yaad aayā donoñ saath hī college meñ paḌhte the
vo saare dostoñ kā jam.a honā mere kamre meñ
vo gap shap qahqahe vo apne apne ishq ke qisse
vo mīras road kī bāteñ vo charche ḳhūb-rūyoñ ke
kabhī āvāragardī apnī un vīrān saḌkoñ kī
kabhī bātoñ meñ rāteñ kāTnā sunsān jāḌoñ kī
kabhī vo chāndnī meñ apnā yuuñ hī ghūmte rahnā
kabhī vo chaa.e kī mezoñ pe ghanToñ baiThnā sab kā
vo bāteñ ilm-o-hikmat kī kabhī shikve-shikāyat kī
tumheñ to yaad hogā un meñ hī ik dost shā.ir thā
zarā dekho to mujh ko ġhaur se shāyad vo maiñ hī thā
bahut din meñ mile haiñ ham to aao aaj jī bhar kar
hañseñ boleñ kahīñ āvāragardī ke liye nikleñ
chaleñ aur chal ke saare dostoñ ko phir bulā laa.eñ
sajā.eñ aaj phir mahfil kahīñ piine pilāne kī
maiñ tum ko aaj apnī kuchh na.ī bāteñ batā.ūñgā
maiñ tum ko aaj apnī kuchh na.ī nazmeñ sunā.ūñgā
abhi ek sal guzra hai yahi mausam yahi din the
magar main apne kamre mein bahut afsurda baiTha tha
na koi sanwle mahbub ki yaadon ka afsana
na aiwan-e-zamistan ki taraf jaane ki kuchh KHwahish
kisi ne haal puchha to bahut hi be-niyazi se
kaha ji han KHuda ka shukr hai main KHairiyat se hun
koi ye puchhta kyun aaj kal koi ghazal likkhi
na jaane baat kya hai in dinon kuchh aisa lagta hai
tumhaari har ghazal mein mir ka andaz milta hai
har ek misre se jaise dhimi dhimi aanch uThti hai
tumhaare sher paDh kar jaane kyun mahsus hota hai
ki koi saz par maddham suron mein gungunata hai
magar ek baat puchhun tum KHafa to ho na jaoge
ye aaKHir kya sabab hai aaj kal nazmen nahin likhte
tumhaari aap-biti bhi abhi tak na-mukammal hai
ise to naqidan-e-fan ne sunte hi saraha hai
main sab sunta magar ye dil hi dil mein sochta rahta
mere ahbab kya jaanen ki mujh par kya guzarti hai
mere afkar pe ye kaisi virani si chhai hai
bahut kuchh sochta hun phir bhi ab socha nahin jata
bahut kuchh chahta hun phir bhi koi bas nahin chalta
magar is bebasi mein bhi mere dil ki ye haalat thi
kabhi jab koi achchhi chiz paDhne ke liye milti
to pahron ruh par ek wajd ki si kaifiyat hoti
ragon mein meri jaise KHun ki gardish tez ho jati
lahu ka ek ek qatra ye kahta main to zinda hun
meri pamaliyon mein pal rahi hai ek tawanai
yahi aalam raha to jaane main kis roz uTh baiThun
basant aaya to yun aaya ki main bhi jaise uTh baiTha
sawera hote hi har samt se jhonke hawaon ke
nai KHushbu liye mujh ko jagane ke liye aae
jidhar bhi aankh uThata hun shafaq ki muskurahaT hai
wahi suraj hai lekin aur hi kuchh jagmagahaT hai
na jaane kaise kaise phul ab mujh ko bulate hain
na jaane kitne kitne rang se dil ko lubhate hain
faza mein dur tak phaile hue wo khet sarson ke
ye kahte hain ki ab arman nikalo apne barson ke
tumhaare samne phaila hua maidan sara hai
koi aawaz deta hai ki aao tum hamare ho
meri dharti ke beTe meri duniya ke dulare ho
tumhaari aankh mein jo KHwab soe hain wo mere hain
tumhaare ashk ne jo bij boe hain wo mere hain
isi wadi mein phir se lauT kar ab tum ko aana hai
tumhaari hi ye basti hai tumhin ko phir basana hai
ab is basti mein rakhte hi qadam kuchh aisa lagta hai
ki is ka zarra zarra patta patta kuchh naya sa hai
har ek raste pe jaise kuchh nae chehre se milte hain
yahi ji chahta hai jo mile ab us se ye puchhen
tumhaara nam kya hai? tum kahan ke rahne wale ho
kuchh aisa jaan paDta hai ki pahle bhi mile hain hum
rahe hain sath ya ek dusre ko jaante hain hum
agar tum sath the to tum bhi shayad dost the mere
mujhe yaad aaya donon sath hi college mein paDhte the
wo sare doston ka jama hona mere kamre mein
wo gap shap qahqahe wo apne apne ishq ke qisse
wo miras road ki baaten wo charche KHub-ruyon ke
kabhi aawaragardi apni un viran saDkon ki
kabhi baaton mein raaten kaTna sunsan jaDon ki
kabhi wo chandni mein apna yun hi ghumte rahna
kabhi wo chae ki mezon pe ghanTon baiThna sab ka
wo baaten ilm-o-hikmat ki kabhi shikwe-shikayat ki
tumhein to yaad hoga un mein hi ek dost shair tha
zara dekho to mujh ko ghaur se shayad wo main hi tha
bahut din mein mile hain hum to aao aaj ji bhar kar
hansen bolen kahin aawaragardi ke liye niklen
chalen aur chal ke sare doston ko phir bula laen
sajaen aaj phir mahfil kahin pine pilane ki
main tum ko aaj apni kuchh nai baaten bataunga
main tum ko aaj apni kuchh nai nazmen sunaunga
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 136)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.