jo bojh hai dil par use kam karte rahenge
jo bojh hai dil par use kam karte rahenge
shā'ir haiñ to har naak meñ dam karte rahenge
ye pārTī achchhī hai na vo pārTī achchhī
leader ko zarūrī hai udham karte rahenge
le ā.eñge sāmān ko custam se bachā kar
is tarah se ham sair-e-haram karte rahenge
ahbāb ko le Dūbeñge ahvāl sunā kar
vābastoñ ko vābasta-e-ġham karte rahenge
ye roz-e-mulāqāt hī mā'lūm thā ham ko
mā'shūq jo haiñ aap sitam karte rahenge
beTe jo chale jā.eñge sasurāl ke ghar ko
ham baap haiñ aulād kā ġham karte rahenge
ham naam pe firqoñ ke laḌā.enge 'rahīm' ab
yuuñ parvarish-e-dair-o-haram karte rahenge
jo bojh hai dil par use kam karte rahenge
sha'ir hain to har nak mein dam karte rahenge
ye parTi achchhi hai na wo parTi achchhi
leader ko zaruri hai udham karte rahenge
le aaenge saman ko custam se bacha kar
is tarah se hum sair-e-haram karte rahenge
ahbab ko le Dubenge ahwal suna kar
wabaston ko wabasta-e-gham karte rahenge
ye roz-e-mulaqat hi ma'lum tha hum ko
ma'shuq jo hain aap sitam karte rahenge
beTe jo chale jaenge sasural ke ghar ko
hum bap hain aulad ka gham karte rahenge
hum nam pe firqon ke laDaenge 'rahim' ab
yun parwarish-e-dair-o-haram karte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.