phir rasm zamāne kī nibhāne ke liye aa
mil kar ke gale iid manāne ke liye aa
sur taal na.e phir se milāne ke liye aa
Dholak pe zarā thaap lagāne ke liye aa
jo zaḳhm judā.ī ke diye un pe mirī jaañ
sastā sā hī marham tū lagāne ke liye aa
pilloñ ne tire naak meñ dam merī kiyā hai
botal kā sahī duudh pilāne ke liye aa
bin tere kahāñ ḳhatm ho rishvat kī kamā.ī
gul-chharre mire saath uḌāne ke liye aa
bikhrī hai tirī zulf sī har chiiz hī ghar par
ik ik ko Thikāne se sajāne ke liye aa
sīdhā na kahīñ kar de hameñ be-jā akaḌ ye
ḳhud jhukne ko aur mujh ko jhukāne ke liye aa
tū ne bhī mire hijr meñ jo sher kahe haiñ
be-ḳhauf phaTe sar meñ sunāne ke liye aa
maqtā hai tū hī 'rāz' kī is taaza ġhazal kā
is baar jo aa.e to na jaane ke liye aa
phir rasm zamane ki nibhane ke liye aa
mil kar ke gale id manane ke liye aa
sur tal nae phir se milane ke liye aa
Dholak pe zara thap lagane ke liye aa
jo zaKHm judai ke diye un pe meri jaan
sasta sa hi marham tu lagane ke liye aa
pillon ne tere nak mein dam meri kiya hai
botal ka sahi dudh pilane ke liye aa
bin tere kahan KHatm ho rishwat ki kamai
gul-chharre mere sath uDane ke liye aa
bikhri hai teri zulf si har chiz hi ghar par
ek ek ko Thikane se sajaane ke liye aa
sidha na kahin kar de hamein be-ja akaD ye
KHud jhukne ko aur mujh ko jhukane ke liye aa
tu ne bhi mere hijr mein jo sher kahe hain
be-KHauf phaTe sar mein sunane ke liye aa
maqta hai tu hi 'raaz' ki is taza ghazal ka
is bar jo aae to na jaane ke liye aa
- Book : Ghalib aur Durgat (3rt Edition) (Pg. 185)
- Author : T.N. Raz
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.