tumhaare masale kya hain zara hum par ayan karte
tumhāre mas.ale kyā haiñ zarā ham par ayaañ karte
kahīñ se tum bayāñ karte kahīñ se ham bayāñ karte
chalo tum ne kahī jo baat vo ham maan lete haiñ
magar ham apnī bāteñ kis tarah tum par ayaañ karte
kabhī to jhāñk kar dekho zarā apne garebāñ meñ
hamārī samt us ke baad tum nok-e-sināñ karte
ulajh paḌte ho tum apne buzurgoñ se are tauba
zarā bhī sharm aanī chāhiye lambī zabāñ karte
baḌā ehsān hai begam sudhārā aap ne mujh ko
vagarna zindagī kaTtī mirī ḳhar-mastiyāñ karte
vo kitnī jhiḌkiyāñ khāte haiñ sub.h-o-shām biivī kī
magar vaa.iz ko dekhā aap ne āh-o-fuġhāñ karte
tumhāre qariya-e-jāñ meñ hamārī bādshāhat hai
magar dekhā kisī ne ham ko sair-e-gulsitāñ karte
tumhaare masale kya hain zara hum par ayan karte
kahin se tum bayan karte kahin se hum bayan karte
chalo tum ne kahi jo baat wo hum man lete hain
magar hum apni baaten kis tarah tum par ayan karte
kabhi to jhank kar dekho zara apne gareban mein
hamari samt us ke baad tum nok-e-sinan karte
ulajh paDte ho tum apne buzurgon se are tauba
zara bhi sharm aani chahiye lambi zaban karte
baDa ehsan hai begam sudhaara aap ne mujh ko
wagarna zindagi kaTti meri KHar-mastiyan karte
wo kitni jhiDkiyan khate hain subh-o-sham biwi ki
magar waiz ko dekha aap ne aah-o-fughan karte
tumhaare qariya-e-jaan mein hamari baadshahat hai
magar dekha kisi ne hum ko sair-e-gulsitan karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.