cricket match
bezār ho ga.e the jo shā.er hayāt se
cricket kā match khel liyā shā.erāt se
vāqif na the jo dosto! aurat kī zaat se
chauke lagā rahe the ḳhayāloñ meñ raat se
aa.ī jo sub.h shaam ke naqshe bigaḌ ga.e
sarroñ se ham ġharīboñ ke stump ukhaḌ ga.e
nāz-o-adā o husn ne jaadū jagā diye
pahle to opner ke hī chhake chhuḌā diye
one-down pe jo aa.e to stump uḌā diye
rāh-e-farār ke bhī to raste bhulā diye
go catch very-low thā magar be-dhaḌak liyā
ik mohtaram ko ik ne galī meñ lapak liyā
kyā kyā bayān kījiye ik ik kā bāñkpan
jalva-figan zamīñ pe thī tāroñ kī anjuman
husn-o-shabāb o ishq se bharpūr har badan
shā.er pavilion meñ the pahne hue kafan
jitnī thiiñ beautiful vo slip par galī pe thiiñ
jitnī thiiñ over-age sabhī baundary pe thiiñ
pariyoñ ke jis tarah se pare koh-qāf par
ik long-on par thī to ik long-off par
ik thī cover meñ ek hasīna mid-off par
jo short-pīch thī geñd vo aatī thī naaf par
Thahre na vo crease pe jo the baḌe baḌe
mujh jaise tīm-tām to wicketoñ pe phaT paḌe
vo laal geñd phuul ho jaise gulāb kā
jis tarah dast-e-nāz meñ sāġhar sharāb kā
saaya havā meñ nāchtā thā āftāb kā
bumper meñ saarā zor thā husn-o-shabāb kā
aise bhī apne ishq kā maidāñ banāte the
empire har apeal par uñglī uThāte the
jab ball pheñktī thī vo gesū sañvār ke
nazdīk aur hote the hālāt haar ke
kahte the match dekhne vaale pukār ke
ustād jā rahe haiñ shab-e-ġham guzār ke
ustād kah rahe the ki phaTkār match par
do do jhapaT rahī haiñ sharīfoñ ke catch par
bezar ho gae the jo shaer hayat se
cricket ka match khel liya shaeraat se
waqif na the jo dosto! aurat ki zat se
chauke laga rahe the KHayalon mein raat se
aai jo subh sham ke naqshe bigaD gae
sarron se hum gharibon ke stump ukhaD gae
naz-o-ada o husn ne jadu jaga diye
pahle to opner ke hi chhake chhuDa diye
one-down pe jo aae to stump uDa diye
rah-e-farar ke bhi to raste bhula diye
go catch wery-low tha magar be-dhaDak liya
ek mohtaram ko ek ne gali mein lapak liya
kya kya bayan kijiye ek ek ka bankpan
jalwa-figan zamin pe thi taron ki anjuman
husn-o-shabab o ishq se bharpur har badan
shaer pawilion mein the pahne hue kafan
jitni thin beautiful wo slip par gali pe thin
jitni thin ower-age sabhi baundary pe thin
pariyon ke jis tarah se pare koh-qaf par
ek long-on par thi to ek long-off par
ek thi cower mein ek hasina mid-off par
jo short-pich thi gend wo aati thi naf par
Thahre na wo crease pe jo the baDe baDe
mujh jaise tim-tam to wicketon pe phaT paDe
wo lal gend phul ho jaise gulab ka
jis tarah dast-e-naz mein saghar sharab ka
saya hawa mein nachta tha aaftab ka
bumper mein sara zor tha husn-o-shabab ka
aise bhi apne ishq ka maidan banate the
empire har apeal par ungli uThate the
jab ball phenkti thi wo gesu sanwar ke
nazdik aur hote the haalat haar ke
kahte the match dekhne wale pukar ke
ustad ja rahe hain shab-e-gham guzar ke
ustad kah rahe the ki phaTkar match par
do do jhapaT rahi hain sharifon ke catch par
- Book : kulliyat-e-saghar khyaamii (Pg. 233)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.