auraton ki assembly
vo shānoñ pe zarkār āñchal uchhāle
idhar se udhar mast zulfoñ ko Daale
miyāñ aur bachche ḳhudā ke havāle
hasīñ haath meñ narm file sambhāle
kis andāz se naaz farmā rahī hai
ki jaise chaman meñ bahār aa rahī hai
mabāhis meñ yuuñ garm-guftār haiñ sab
ki bas laḌne marne ko tayyār haiñ sab
fusūñ-kār haiñ sab tarah-dār haiñ sab
barābar barābar kī sarkār haiñ sab
idhar asġharī bhaḌak ga.ī akbarī se
idhar tifl rone lage gallery se
''spēchoñ'' meñ goTe-kanārī kī bāteñ
baho kī kifāyat-shi.ārī kī bāteñ
paḌosan kī parhez-gārī kī bāteñ
ġharaz har biyāhī kuñvārī kī bāteñ
ravāñ haiñ hujūm-e-tajallī ke dhāre
ye āñchal sameTe vo gesū sañvāre
dam-e-guftugū koī jiite na haare
sitāroñ se Takrā rahe haiñ sitāre
buā ko to dekho na gahnā na paatā
bajaT haath meñ jaise dhobin kā khātā
ba-andāz-e-ġhaiz-o-ġhazab boltī haiñ
ba-āvāz-e-shor-o-shaġhab boltī haiñ
nahīñ boltī haiñ to kab boltī haiñ
ye jab boltī haiñ to sab boltī haiñ
ma.an apne ḳhvāboñ meñ gum ho ga.ī haiñ
abhī jāgtī thiiñ abhī so ga.ī haiñ
wo shanon pe zarkar aanchal uchhaale
idhar se udhar mast zulfon ko Dale
miyan aur bachche KHuda ke hawale
hasin hath mein narm file sambhaale
kis andaz se naz farma rahi hai
ki jaise chaman mein bahaar aa rahi hai
mabahis mein yun garm-guftar hain sab
ki bas laDne marne ko tayyar hain sab
fusun-kar hain sab tarah-dar hain sab
barabar barabar ki sarkar hain sab
idhar asghari bhaDak gai akbari se
idhar tifl rone lage gallery se
speechon mein goTe-kanari ki baaten
baho ki kifayat-shiari ki baaten
paDosan ki parhez-gari ki baaten
gharaz har biyahi kunwari ki baaten
rawan hain hujum-e-tajalli ke dhaare
ye aanchal sameTe wo gesu sanware
dam-e-guftugu koi jite na haare
sitaron se Takra rahe hain sitare
bua ko to dekho na gahna na pata
bajaT hath mein jaise dhobin ka khata
ba-andaz-e-ghaiz-o-ghazab bolti hain
ba-awaz-e-shor-o-shaghab bolti hain
nahin bolti hain to kab bolti hain
ye jab bolti hain to sab bolti hain
man apne KHwabon mein gum ho gai hain
abhi jagti thin abhi so gai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.