adib ki mahbuba
Interesting Fact
Unusual Humorous poem containing names of number of famous poets.
tumhārī ulfat meñ harmonium pe 'mīr' kī ġhazleñ gā rahā huuñ
bahattar in meñ chhupe haiñ nashtar jo sab ke sab aazmā rahā huuñ
bahut dinoñ se tumhāre jalve 'ḳhadīja-mastūr' ho ga.e haiñ
hai shukr-e-bārī ki sāmne apne aaj phir tum ko pā rahā huuñ
lihāf 'ismat' kā oḌh kar tum fasāne 'manTo' ke paḌh rahī ho
pahan ke 'bedī' kā garm coat aaj tum se āñkheñ milā rahā huuñ
tumhāre ghar 'nūn-mīm-rāshid' kā le ke aayā sifārshī ḳhat
magar ta.ajjub hai phir bhī tum se nahīñ maiñ kuchh 'faiz' pā rahā huuñ
bahut hai sīdhī sī baat merī na jaane tum kyuuñ nahīñ samajhtīñ
qasam ḳhudā kī kalām-e-'ġhālib' nahīñ maiñ tum ko sunā rahā huuñ
tumhārī zulf-e-siyah pe tanqīd kis se likhvāūñ tum hī bolo
'shrī-ibādat-barelvī' ko maiñ taar de kar bulā rahā huuñ
maiñ tum pe huuñ 'jāñ-nisār-aḳhtar' qasam hai 'munshī-fidā-alī' kī
bahut dinoñ se maiñ tum pe 'sāhir' se jaadū Tone karā rahā huuñ
agar ho tum 'hājara' to phir mujh se mil ke 'masrūr' kyuuñ nahīñ ho
tumhāre aage 'opendr-nāth-ashk' ban ke aañsū bahā rahā huuñ
hasīñ ho zehra-jamāl ho tum mujhe satā kar nihāl ho tum
tumhāre ye zulm 'qurrat-ul-ain' ko batāne maiñ jā rahā huuñ
mirī mohabbat kī dāstāñ sun ke ro paḌe 'josh-malsiyānī'
sukhā ke pañkhe se un ke aañsū abhī vahāñ se maiñ aa rahā huuñ
mirī tabāhī pe chhāp deñge nuqūsh kā ek ḳhaas number
'tufail-sāhab' ke paas saare musavvade le ke jā rahā huuñ
'vazīr-āġhā' paThān haiñ saath saath yāroñ ke yaar bhī haiñ
pakaḌ ke vo tum ko piiT deñge maiñ kal unheñ saath lā rahā huuñ
'hakīm-yūsuf-alī' ne jab merī nabz dekhī to ro ke bole
'jigar' hai zaḳhmī tabāh gurde ye baat tum se chhupā rahā huuñ
malīhābād aaj jā rahā huuñ maiñ 'josh' lā.ūñ ki aam lā.ūñ
haiñ donoñ chīzeñ vahāñ kī achchhī maiñ lā.ūñ kyā tilmilā rahā huuñ
jo hukm do 'vājida-tabassum' kā kuchh tabassum maiñ tum ko lā duuñ
tumhāre hoñToñ pe ġham kī maujoñ ko dekh kar tilmilā rahā huuñ
fasāna-e-ishq muḳhtasar hai qasam ḳhudā kī na bor honā
'firāq-gorakhpurī' kī ġhazleñ nahīñ maiñ tum ko sunā rahā huuñ
mirī mohabbat kī dāstāñ ko gad.he kī mat sarguzisht samjho
maiñ 'kirshn-chandr' nahīñ huuñ zālim yaqīn tum ko dilā rahā huuñ
pilāo āñkhoñ se taaki mujh ko kuchh 'āl-e-ahmad-surūr' aa.e
bahut haiñ ġham mujh ko āshiqī ke binā piye Dagmagā rahā huuñ
tumhaari ulfat mein harmonium pe 'mir' ki ghazlen ga raha hun
bahattar in mein chhupe hain nashtar jo sab ke sab aazma raha hun
bahut dinon se tumhaare jalwe 'KHadija-mastur' ho gae hain
hai shukr-e-bari ki samne apne aaj phir tum ko pa raha hun
lihaf 'ismat' ka oDh kar tum fasane 'manTo' ke paDh rahi ho
pahan ke 'bedi' ka garm coat aaj tum se aankhen mila raha hun
tumhaare ghar 'nun-mim-rashid' ka le ke aaya sifarshi KHat
magar tajjub hai phir bhi tum se nahin main kuchh 'faiz' pa raha hun
bahut hai sidhi si baat meri na jaane tum kyun nahin samajhtin
qasam KHuda ki kalam-e-'ghaalib' nahin main tum ko suna raha hun
tumhaari zulf-e-siyah pe tanqid kis se likhwaun tum hi bolo
'shri-ibaadat-barelwi' ko main tar de kar bula raha hun
main tum pe hun 'jaan-nisar-aKHtar' qasam hai 'munshi-fida-ali' ki
bahut dinon se main tum pe 'sahir' se jadu Tone kara raha hun
agar ho tum 'hajara' to phir mujh se mil ke 'masrur' kyun nahin ho
tumhaare aage 'opendr-nath-ashk' ban ke aansu baha raha hun
hasin ho zehra-jamal ho tum mujhe sata kar nihaal ho tum
tumhaare ye zulm 'qurrat-ul-ain' ko batane main ja raha hun
meri mohabbat ki dastan sun ke ro paDe 'josh-malsiyani'
sukha ke pankhe se un ke aansu abhi wahan se main aa raha hun
meri tabahi pe chhap denge nuqush ka ek KHas number
'tufail-sahab' ke pas sare musawwade le ke ja raha hun
'wazir-agha' paThan hain sath sath yaron ke yar bhi hain
pakaD ke wo tum ko piT denge main kal unhen sath la raha hun
'hakim-yusuf-ali' ne jab meri nabz dekhi to ro ke bole
'jigar' hai zaKHmi tabah gurde ye baat tum se chhupa raha hun
malihabaad aaj ja raha hun main 'josh' laun ki aam laun
hain donon chizen wahan ki achchhi main laun kya tilmila raha hun
jo hukm do 'wajida-tabassum' ka kuchh tabassum main tum ko la dun
tumhaare honTon pe gham ki maujon ko dekh kar tilmila raha hun
fasana-e-ishq muKHtasar hai qasam KHuda ki na bor hona
'firaq-gorakhpuri' ki ghazlen nahin main tum ko suna raha hun
meri mohabbat ki dastan ko gadhe ki mat sarguzisht samjho
main 'kirshn-chandr' nahin hun zalim yaqin tum ko dila raha hun
pilao aankhon se taki mujh ko kuchh 'al-e-ahmad-surur' aae
bahut hain gham mujh ko aashiqi ke bina piye Dagmaga raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.