zindagi tu ne lahu le ke diya kuchh bhi nahin
zindagī tū ne lahū le ke diyā kuchh bhī nahīñ
tere dāman meñ mire vāste kyā kuchh bhī nahīñ
aap in hāthoñ kī chāheñ to talāshī le leñ
mere hāthoñ meñ lakīroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
ham ne dekhā hai ka.ī aise ḳhudāoñ ko yahāñ
sāmne jin ke vo sach-much kā ḳhudā kuchh bhī nahīñ
yā ḳhudā ab ke ye kis rañg meñ aa.ī hai bahār
zard hī zard hai peḌoñ pe harā kuchh bhī nahīñ
dil bhī ik zid pe aḌā hai kisī bachche kī tarah
yā to sab kuchh hī ise chāhiye yā kuchh bhī nahīñ
zindagi tu ne lahu le ke diya kuchh bhi nahin
tere daman mein mere waste kya kuchh bhi nahin
aap in hathon ki chahen to talashi le len
mere hathon mein lakiron ke siwa kuchh bhi nahin
hum ne dekha hai kai aise KHudaon ko yahan
samne jin ke wo sach-much ka KHuda kuchh bhi nahin
ya KHuda ab ke ye kis rang mein aai hai bahaar
zard hi zard hai peDon pe hara kuchh bhi nahin
dil bhi ek zid pe aDa hai kisi bachche ki tarah
ya to sab kuchh hi ise chahiye ya kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.