zindagi se baDi saza hi nahin
zindagī se baḌī sazā hī nahīñ
aur kyā jurm hai patā hī nahīñ
itne hissoñ meñ baT gayā huuñ maiñ
mere hisse meñ kuchh bachā hī nahīñ
zindagī maut terī manzil hai
dūsrā koī rāsta hī nahīñ
sach ghaTe yā baḌhe to sach na rahe
jhuuT kī koī intihā hī nahīñ
zindagī ab batā kahāñ jaa.eñ
zahr bāzār meñ milā hī nahīñ
jis ke kāran fasād hote haiñ
us kā koī atā-patā hī nahīñ
kaise autār kaise paiġhambar
aisā lagtā hai ab ḳhudā hī nahīñ
chāhe sone ke frame meñ jaḌ do
ā.īna jhuuT boltā hī nahīñ
apnī rachnāoñ meñ vo zinda hai
'nūr' sansār se gayā hī nahīñ
zindagi se baDi saza hi nahin
aur kya jurm hai pata hi nahin
itne hisson mein baT gaya hun main
mere hisse mein kuchh bacha hi nahin
zindagi maut teri manzil hai
dusra koi rasta hi nahin
sach ghaTe ya baDhe to sach na rahe
jhuT ki koi intiha hi nahin
zindagi ab bata kahan jaen
zahr bazar mein mila hi nahin
jis ke karan fasad hote hain
us ka koi ata-pata hi nahin
kaise autar kaise paighambar
aisa lagta hai ab KHuda hi nahin
chahe sone ke frame mein jaD do
aaina jhuT bolta hi nahin
apni rachnaon mein wo zinda hai
'nur' sansar se gaya hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.