zamin jab bhi hui karbala hamare liye
zamīn jab bhī huī karbalā hamāre liye
to āsmān se utrā ḳhudā hamāre liye
unheñ ġhurūr ki rakhte haiñ tāqat o kasrat
hameñ ye naaz bahut hai ḳhudā hamāre liye
tumhāre naam pe jis aag meñ jalā.e ga.e
vo aag phuul hai vo kīmiyā hamāre liye
bas ek lau meñ usī lau ke gird ghūmte haiñ
jalā rakhā hai jo us ne diyā hamāre liye
vo jis pe raat sitāre liye utartī hai
vo ek shaḳhs duā hī duā hamāre liye
vo nuur nuur damaktā huā sā ik chehrā
vo ā.inoñ meñ hayā hī hayā hamāre liye
darūd paḌhte hue us kī diid ko nikleñ
to sub.h phuul bichhā.e sabā hamāre liye
ajiib kaifiyat-e-jazb-o-hāl rakhtī hai
tumhāre shahr kī āb-o-havā hamāre liye
diye jalā.e hue saath saath rahtī hai
tumhārī yaad tumhārī duā hamāre liye
zamīn hai na zamāñ niiñd hai na be-dārī
vo chhāñv chhāñv sā ik silsila hamāre liye
suḳhan-varoñ meñ kahīñ ek ham bhī the lekin
suḳhan kā aur hī thā zā.iqa hamāre liye
zamin jab bhi hui karbala hamare liye
to aasman se utra KHuda hamare liye
unhen ghurur ki rakhte hain taqat o kasrat
hamein ye naz bahut hai KHuda hamare liye
tumhaare nam pe jis aag mein jalae gae
wo aag phul hai wo kimiya hamare liye
bas ek lau mein usi lau ke gird ghumte hain
jala rakha hai jo us ne diya hamare liye
wo jis pe raat sitare liye utarti hai
wo ek shaKHs dua hi dua hamare liye
wo nur nur damakta hua sa ek chehra
wo aainon mein haya hi haya hamare liye
darud paDhte hue us ki did ko niklen
to subh phul bichhae saba hamare liye
ajib kaifiyat-e-jazb-o-haal rakhti hai
tumhaare shahr ki aab-o-hawa hamare liye
diye jalae hue sath sath rahti hai
tumhaari yaad tumhaari dua hamare liye
zamin hai na zaman nind hai na be-dari
wo chhanw chhanw sa ek silsila hamare liye
suKHan-waron mein kahin ek hum bhi the lekin
suKHan ka aur hi tha zaiqa hamare liye
- Book : Veeran sarai ka diya (Pg. 145)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.