ye shahr apne harifon se haara thoDi hai
ye shahr apne harīfoñ se haarā thoḌī hai
ye baat sab pe magar āshkārā thoḌī hai
tirā firāq to rizq-e-halāl hai mujh ko
ye phal parā.e shajar se utārā thoḌī hai
jo 'ishq kartā hai chaltī havā se laḌtā hai
ye jhagḌā sirf hamārā tumhārā thoḌī hai
dar-e-nigāh pe us ke jo ham ne 'umr gañvā.ī
ye fā.eda hai mirī jaañ ḳhasāra thoḌī hai
ye log tujh se hameñ duur kar rahe haiñ magar
tire baġhair hamārā guzārā thoḌī hai
'jamāl' aaj to jaane kī mat karo jaldī
ki phir nasīb ye sohbat dubāra thoḌī hai
ye shahr apne harifon se haara thoDi hai
ye baat sab pe magar aashkara thoDi hai
tera firaq to rizq-e-halal hai mujh ko
ye phal parae shajar se utara thoDi hai
jo 'ishq karta hai chalti hawa se laDta hai
ye jhagDa sirf hamara tumhaara thoDi hai
dar-e-nigah pe us ke jo hum ne 'umr ganwai
ye faeda hai meri jaan KHasara thoDi hai
ye log tujh se hamein dur kar rahe hain magar
tere baghair hamara guzara thoDi hai
'jamal' aaj to jaane ki mat karo jaldi
ki phir nasib ye sohbat dubara thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.