ye aansu be-sabab jari nahin hai
ye aañsū be-sabab jaarī nahīñ hai
mujhe rone kī bīmārī nahīñ hai
na pūchho zaḳhm-hā-e-dil kā aalam
chaman meñ aisī gul-kārī nahīñ hai
bahut dushvār samjhānā hai ġham kā
samajh lene meñ dushvārī nahīñ hai
ġhazal hī gungunāne do ki mujh ko
mizāj-e-talḳh-guftārī nahīñ hai
chaman meñ kyuuñ chalūñ kāñToñ se bach kar
ye ā.īn-e-vafādārī nahīñ hai
vo aa.eñ qatl ko jis roz chāheñ
yahāñ kis roz tayyārī nahīñ hai
ye aansu be-sabab jari nahin hai
mujhe rone ki bimari nahin hai
na puchho zaKHm-ha-e-dil ka aalam
chaman mein aisi gul-kari nahin hai
bahut dushwar samjhana hai gham ka
samajh lene mein dushwari nahin hai
ghazal hi gungunane do ki mujh ko
mizaj-e-talKH-guftari nahin hai
chaman mein kyun chalun kanTon se bach kar
ye aain-e-wafadari nahin hai
wo aaen qatl ko jis roz chahen
yahan kis roz tayyari nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.