ghazal ka silsila tha yaad hoga
ġhazal kā silsila thā yaad hogā
vo jo ik ḳhvāb sā thā yaad hogā
bahāreñ hī bahāreñ nāchtī thiiñ
hamārā bhī ḳhudā thā yaad hogā
samundar ke kināre sīpiyoñ se
kisī ne dil likhā thā yaad hogā
laboñ par chup sī rahtī hai hamesha
koī va.ada huā thā yaad hogā
tumhāre bhūlne ko yaad kar ke
koī rotā rahā thā yaad hogā
baġhal meñ the hamāre ghar to lekin
galī kā fāsla thā yaad hogā
hamārā haal to sab jānte haiñ
hamārā haal kyā thā yaad hogā
ghazal ka silsila tha yaad hoga
wo jo ek KHwab sa tha yaad hoga
bahaaren hi bahaaren nachti thin
hamara bhi KHuda tha yaad hoga
samundar ke kinare sipiyon se
kisi ne dil likha tha yaad hoga
labon par chup si rahti hai hamesha
koi wada hua tha yaad hoga
tumhaare bhulne ko yaad kar ke
koi rota raha tha yaad hoga
baghal mein the hamare ghar to lekin
gali ka fasla tha yaad hoga
hamara haal to sab jaante hain
hamara haal kya tha yaad hoga
- Book : Sare waraq tumhare (Pg. 25)
- Author : Tufail Chaturvedi
- Publication : National Publishing House (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.