wahan pahuncha diya hai ishq ne ab marhala dil ka
wahan pahuncha diya hai ishq ne ab marhala dil ka
Abr Ahsani Ganauri
MORE BYAbr Ahsani Ganauri
vahāñ pahuñchā diyā hai ishq ne ab marhala dil kā
jahāñ sab farq miT jaatā hai bismil aur qātil kā
judā.ī kā vafā kā jaur kā ulfat kī mushkil kā
rahā hai sāmnā har sañg se ā.īna-e-dil kā
chalo achchhā huā tum aa ga.e dam toḌtā thā maiñ
yahī dushvār thī saa.at yahī thā vaqt mushkil kā
palaT aatā huuñ maiñ māyūs ho kar un maqāmoñ se
jahāñ se silsila nazdīk-tar hotā hai manzil kā
kamāl-e-shauq meñ majnūñ anā lailā kā qaa.el hai
agar aise meñ parda ḳhud-baḳhud uTh jaa.e mahmil kā
araq se tar jabīñ ḳhanjar meñ laġhzish ruḳh pe ghabrāhaT
adab ai saḳht-jāñ parda khulā jaatā hai qātil kā
khaḌā hai 'abr' dar par kuchh nahīñ dete na do lekin
nahīñ dil toḌte arbāb-e-himmat apne saa.il kā
wahan pahuncha diya hai ishq ne ab marhala dil ka
jahan sab farq miT jata hai bismil aur qatil ka
judai ka wafa ka jaur ka ulfat ki mushkil ka
raha hai samna har sang se aaina-e-dil ka
chalo achchha hua tum aa gae dam toDta tha main
yahi dushwar thi saat yahi tha waqt mushkil ka
palaT aata hun main mayus ho kar un maqamon se
jahan se silsila nazdik-tar hota hai manzil ka
kamal-e-shauq mein majnun ana laila ka qael hai
agar aise mein parda KHud-baKHud uTh jae mahmil ka
araq se tar jabin KHanjar mein laghzish ruKH pe ghabrahaT
adab ai saKHt-jaan parda khula jata hai qatil ka
khaDa hai 'abr' dar par kuchh nahin dete na do lekin
nahin dil toDte arbab-e-himmat apne sail ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.