tujhe kya KHabar mere be-KHabar mera silsila koi aur hai
tujhe kyā ḳhabar mire be-ḳhabar mirā silsila koī aur hai
jo mujhī ko mujh se baham kare vo gurez-pā koī aur hai
mire mausamoñ ke bhī taur the mire barg-o-bār hī aur the
magar ab ravish hai alag koī magar ab havā koī aur hai
yahī shahr shahr-e-qarār hai to dil-e-shikasta kī ḳhair ho
mirī aas hai kisī aur se mujhe pūchhtā koī aur hai
ye vo mājrā-e-firāq hai jo mohabbatoñ se na khul sakā
ki mohabbatoñ hī ke darmiyāñ sabab-e-jafā koī aur hai
haiñ mohabbatoñ kī amānateñ yahī hijrateñ yahī qurbateñ
diye bām-o-dar kisī aur ne to rahā basā koī aur hai
ye fazā ke rañg khule khule isī pesh-o-pas ke haiñ silsile
abhī ḳhush-navā koī aur thā abhī par-kushā koī aur hai
dil-e-zūd-ranj na kar gila kisī garm o sard raqīb kā
ruḳh-e-nā-sazā to hai rū-ba-rū pas-e-nā-sazā koī aur hai
bahut aa.e hamdam o chāra-gar jo numūd-o-nām ke ho ga.e
jo zavāl-e-ġham kā bhī ġham kare vo ḳhush-āshnā koī aur hai
ye 'nasīr' shām-e-supurdagī kī udaas udaas sī raushnī
ba-kanār-e-gul zarā dekhnā ye tumhī ho yā koī aur hai
tujhe kya KHabar mere be-KHabar mera silsila koi aur hai
jo mujhi ko mujh se baham kare wo gurez-pa koi aur hai
mere mausamon ke bhi taur the mere barg-o-bar hi aur the
magar ab rawish hai alag koi magar ab hawa koi aur hai
yahi shahr shahr-e-qarar hai to dil-e-shikasta ki KHair ho
meri aas hai kisi aur se mujhe puchhta koi aur hai
ye wo majra-e-firaq hai jo mohabbaton se na khul saka
ki mohabbaton hi ke darmiyan sabab-e-jafa koi aur hai
hain mohabbaton ki amanaten yahi hijraten yahi qurbaten
diye baam-o-dar kisi aur ne to raha basa koi aur hai
ye faza ke rang khule khule isi pesh-o-pas ke hain silsile
abhi KHush-nawa koi aur tha abhi par-kusha koi aur hai
dil-e-zud-ranj na kar gila kisi garm o sard raqib ka
ruKH-e-na-saza to hai ru-ba-ru pas-e-na-saza koi aur hai
bahut aae hamdam o chaara-gar jo numud-o-nam ke ho gae
jo zawal-e-gham ka bhi gham kare wo KHush-ashna koi aur hai
ye 'nasir' sham-e-supurdagi ki udas udas si raushni
ba-kanar-e-gul zara dekhna ye tumhi ho ya koi aur hai
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 20.12.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.